Zakham khane ki Adat

by Pooja on February 25, 2008, 03:22:16 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 4491 times)
Pooja
Guest

KHWAABO KA TAAJ AB BANAYA NAHI JAATA
EK KADAM BHI AB APNE AAP KO AZMAYA NAHI JAATA...
LOG TO GHAM KO BHI APNE,
MUSKAAN KE SAAYE MEIN CHUPA LETE HAI
HUME TO AB KHUSHI MEIN BHI MUSKURAYA NAHI JAATA...

HAQEEQAT HI KUCH AISE KHEL KHELTI HAI ZINDAGI SE
KE AB KHWAABO KO AANKHON MEIN LAYA NAHI JAATA....

JAANE WALE AB PEECHE MUD KAR NAHI DEKHTE
AB HUMSE BHI BAAR-BAAR BOOLAYA NAHI JAATA.....

"KHWAISH" KO PHIR BHI YAKEEN HAI APNI MOHAABAT MEIN
SACHA PYAAR HO TO KISI SE BHI TUKRAYA NAHI JAATA....



Khwabo ko bana bana kar torra karte hai
Khud hi khud ka ab to dil torra karte hai

Zakham khate rahe hai itne barso tujhse
Zakham khane ki ab adat ko piroya karte hai

Her kisi ka gum kyun lagta hai apna
Her ek ke gum per, ab roya karte hai

Dard sehna hai ban gaya haqiqat ab meri
Bahano se khud ko dard diya karte hai

Do din bhi na roye agar yah ankhia
Phir yaad tujhko kar, roya karte hai

Jaane wala chala gaya chord kar Duch zakham
Unhi zakhmo se aor zakhmo ko paaya karte hai

Khwabo ko bana bana kar torra karte hai
Khud hi khud ka ab to dil torra karte hai!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
maih khane mein madira nahi hai by saahill in Ghazals
Zakhm aisa jise khane ko machal jaoge... by theyash in Ghazals
Chot khane ke bad--- Kumaar by kumaar in Quotable Phrase and Quotes
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 25, 2008, 06:59:04 PM »
Bohot khoob Pooja and Khwaish.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2 on: February 25, 2008, 07:11:30 PM »
Kya baat he!!
Kya Khoob Kha : <Her ek ke gum per, ab roya karte hai>

Han aysa hi hota he shaerana dil.

Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: February 25, 2008, 07:18:15 PM »
Thanks Talat and Sayyid Randeri !!

Jo dil mehsoos karta hai, bas unhi bhawnao ko shabdo ke roop main likhne ki koshish karati rahti hu...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 25, 2008, 07:48:22 PM »
WAH WAH WAH...BAHUT KHOOB POOJA.

EK TAMMANA SI THI IS DIL KO AAPKE KAREEB AANE KI
SACH TO YEH HAI KE KHWAAB MEIN BHI KABHI,
UMEED NA THI AAPSE YUH BICHAD JAANE KI....

SHAYAD MAIN HI PYAAR KO SAMAJ NA PAAYA
ISLIYE AAJ AISI SAZA MILI HAI MUJHE
KISI SE DIL LAGAANE KI...

ZAKHM KHANE KI AADAT YUHI NAHI HO JAATI HAI DOST
ZAKHM GEHRE BHI TAB HOTE HAI,
JAB DARD HADD SE ZYAADA GUZAR JAAYE
AUR LABO PAR KOI SHIKAYAT NA HO,
HUMEIN AADAT RAHE HAMESHA CHUP REH JAANE KI...

LOGO KA KYA HAI, HAR BAAT PAR CHARCHE KARENGE,
KOI NAHI PUCHEGA..AAKHIR KYA KHWAISH THI USS DEEWANE KI....

KUCH BAATEIN AISI HOTI HAI ZINDAGI MEIN KE
INSAAN CHAAH KAR BHI KHWAAB NAHI DEKH PAATA
YUH SAMAJLO, KHUDA KO BHI AADAT HAI
INSAAN KO AAZMAANE KI....

DIL KI HAR BAAT KEH DOON TO AAPKO CHOT NA PAHUNCHE
ISLIYE "KHWAISH" BHI AB SEEKH RAHA HAI WOH ADA
AAPSE APNE GHAM CHUPAANE KI.....


Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: February 25, 2008, 08:11:29 PM »
wah kaya baat hai khwaish ji... bahoot hi acha likha hai apne!!!

Kareeb aa kar bhi kabhi kabhi koi kareeb nahi hota
Bichard kar bhi kyun, kabhi kabhi koi juda nahi hota

Pyar kaya hai yah samjhane mai lagega waqat tujhe
Yah pyar bhi hai, kai roop rango ko liye hota

Zakham kaya hai, sirf ahsaas hai tere khud ke
Zakham dene ka pyar mai koi riwaz nahi hota

Dard jab guzar jaata hai apni hado se baher
Us deewangi – e - dard ka koi izhaar nahi hota

Shikayat kaya karega koi bhi yaha kisi se dost
Apno se pyar main koi takraar nahi hota

Kuch baatein hoti hai khamosh samjh jaane ke liye’
Her ek baat ka vistaar –e- haal nahi hota

Khuda bhi ajmaata hai unhi deewano ko
Jinko samjhane ke layak wo khud nahi hota

Dil ki her baat tere shabdo se chu jaati hai is dil ko
Aor Pooja ke pass kuch kahne ko phir wo zajbaat nahi hota!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 25, 2008, 08:37:24 PM »
BAHUT BAHUT KHOOOOB POOJA...

KOI CHAAHE KITNA BHI KAREEB AA JAAYE
PAR FAASLE KABHI MIT NAHI PAATE
JAHAN PAR APNI MAJBOORIYAN
APNI MOHAABAT SE BADHKAR DIKHE
WAHA APNE DIL KI BAAT KOI KEH NAHI PAATE....

HUMSE ZYAADA PYAAR KO KAUN SAMAJ PAAYA HAI ISS JAHAN MEIN
AB TO AISA LAGTA HAI BIN TADAPE AB HUM REH NAHI PAATE...

ZAKHM BHI APNE AB HUMSE DARTE HAI "KHWAISH"
KEHTE HAI KE YEH DAWA BHI NAHI KARTE APNE ZAKHMO PAR
AUR HUMEIN BHI HAI UMAR BHAR RULAATE...

NA JAANE KYON HAR DIN YEH SOCHTE HAI KE
TUJHE AB KOI APNA HAAL NA BATAYENGE
PAR TUJHE DEKHTE HI SAB KEH DETE HAI,
HAAL-E-DIL TUJHSE BINA KAHE BHI
HUM REH NAHI PAATE....

YEH NA SAMJNA KE "KHWAISH" ROTA NAHI HAI TERI YAAD MEIN
BAHUT ROYE HAI HUM SHAYAD ISLIYE
AB AANSU BHI APNE AANKHON SE BEH NAHI PAATE...

HUM TO WOH LIKHTE HAI JO DIL KALAM BANKAR LIKHWATA HAI
HUM APNA DARD APNE DIL MEIN KABHI SEH NAHI PAATE

JAZBAATO KA SAMUNDAR HAI AAPKE DIL MEIN "POOJA"
AAP LIKHE DIL SE TO HUM,
WAH WAH KAHE BIN REH NAHI PAATE....








Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 25, 2008, 08:46:08 PM »
wah kaya baat hai!!!

Mil kar bhi kai fasle rah jaate hai
Rooh ke milan ke samne sab jhuk jaate hai

Majboori nahi rahti koi bhi man main
Jab man ek dooje se mil jaate hai

Her kisi ko apna payar sab se nayara lagta hai
Yah agar kah de to her dil phir tadap jaate hai

Zakham apno se na daraya karo khud ko
Apno ke zakham se, kai baar apne bhi tadap jaate hai

Roti hai jab bhi teri ankhia, na jaane kyun
Baadal kahin aor bhi baras jaate hai

Dil ki baat insaan kahta hai apno ke hi samne
Kahne ko ajnabi her roj bahoot mil jaate hai

Jazbaato ke samunder mai na jaane kaha kho gai Pooja
Usko to her mord per naye naye zakham mil jaate hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 25, 2008, 09:16:05 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...BAHUT ACHE...


DAAWA YEH ISHQ KA HAI "KHWAISH"
WOH MUJHE KABHI BHOOLA NA PAAYEGI...

HAM KAL SAATH NA BHI HO TO
USSE MERI BAHUT YAAD AAYEGI...

HUMSAAYA KI TALAASH MEIN PHIRTE HAI LOG DAR-BADAR
MERI YAADON KE SAATH WOH KABHI TO APNE AAP KO AAZMAYEGI...

MAIN YEH NAHI KEHTA KE USSE MUJHSE PYAAR THA
PAR MUJHE YAAD KAR KABHI TO AANSU BAHAYEGI....

HUM NA HONGE SAATH TO KYA HUA???
JASHNE-MEHFILE HONGI,NAYE LOG HONGE
PAR KABHI TO MEHFIL MEIN BHI APNE
ASHKO KO APNE MUSKAAN KE PICHE CHUPAYEGI....

ZAKHM AGAR HO TO KABHI NA KABHI DARD ZAROOR DENGE "KHWAISH"
DAWA KE LIYE MUJHE WOH HAMESHA APNE PAAS PAAYEGI...

ISSE HI SHAYAD MOHABBAT KEHTE HAI "KHWAISH"
HUM NA HONGE SAATH UNKE,PHIR BHI BAHAARE UNKO
MOHABBAT KI DAASTAAN SUNAYEGI....

DAAWA YEH ISHQ KA HAI "KHWAISH"
WOH MUJHE KABHI NA BHOOLA PAAYEGI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 25, 2008, 09:41:51 PM »
Bahoot khoob khwaish ji…. Apki kavitaye na jaane kaya se kaya likhwa jaati hai… bahoot acha likha hai apne…

Ishaq hai tujhe usse deewana na samjhna
Pyar hai yah tera, uska bahana na samjhna

Hai wo tumhare pass, tumhare jazbaato ke sath
Kah jaaye agar wo koi such, usko koi bharm na samjhna

Sath hota hai kaya, yah to Pooja kabhi samjh nahi paai
Usko yaadon se ajj bhi hai bahar, yaha koi veerana na samjhna

Mehfil kabhi saji hi nahi, koi bhi ayya ya gaya
Meri shayri hai mere zakham, inko koi tarana na samjhna

Jo hota hai pass wo kabhi door ho sakta nahi
PHIR BHI RAHTI HAI EK KAMI SI DIL MAI
Jise dil samjh kar bhi, chahta nahi hai samjhana

Daawa na karo e-dost ki khud ki najar lag jaati hai
Nasihat hai yah, isse kahin apko tokna, na samjhna

Zakham khane ki adat kuch is kadar ho gai hai mujhko
Ro du agar bin baat ke, To deewana na samjhna!!!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: February 26, 2008, 09:47:23 AM »
Bohat acha likha hai pooja aur khwaish ji g88. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 26, 2008, 04:29:54 PM »
shukaria honey ji!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: February 27, 2008, 12:42:23 PM »
Bahut Khoob Pooja di...
Humesha ki tarah, bahut achha likha hai aapne..

Khawaish ji... Aapke replies bhi bahut achhe lage...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: February 27, 2008, 01:02:57 PM »
Wah Wah Kya Baat Hai POOJA JI & KHWAISH Ji.. Kamaal kar diya aap Dono ne.. !!

Bahut bahut Khooooooob Likha Hai aap dono ne.. Daad Kubool karen.. Usual Smile Usual Smile

Vicky
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: February 27, 2008, 03:33:46 PM »
bahoot bahoot shukaria Shikha and Vicky... app dono bhi kuch likh jaate to acha lagta!!!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:25:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer