Zakham khane ki Adat

by Pooja on February 25, 2008, 03:22:16 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Author  (Read 4547 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: February 27, 2008, 03:56:25 PM »
Very good going... Pooja di and Khwaish ji ... keep up.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
maih khane mein madira nahi hai by saahill in Ghazals
Zakhm aisa jise khane ko machal jaoge... by theyash in Ghazals
Chot khane ke bad--- Kumaar by kumaar in Quotable Phrase and Quotes
Pooja
Guest
«Reply #16 on: February 27, 2008, 04:48:31 PM »
Apne zakhmo se lipat kar rote hai
Dard bhi kaise kaise hote hai
Lub per aa kar ruk jaaye siski
Tanha jab bhi hum hote hai
Apne zakhmo se lipat kar rote hai.......

Yaadon ke khayalo se kaha jaaye
Hai kon si jagah jahan sab dafan kar ayye
Her roj na jaane kitani moute hum marte hai
Apne zakhmo se lipat kar rote hai…..

Door tak faila hai andhiara
Andhiaro main hi gumo ko liye sote hai
Subah ki ab koi umeend nahi.. Bebas kyun hum itne hote hai
Apne zakhmo se lipat kar rote hai
Dard bhi kaise kaise hote hai..............
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: February 27, 2008, 08:07:08 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA ROJAJI,SHIKHAJI,VICKYJI AND HONEY
THANX FOR APPRECIATING..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: February 27, 2008, 08:19:26 PM »
Apne zakhmo se lipat kar rote hai
Dard bhi kaise kaise hote hai
Lub per aa kar ruk jaaye siski
Tanha jab bhi hum hote hai
Apne zakhmo se lipat kar rote hai.......

Yaadon ke khayalo se kaha jaaye
Hai kon si jagah jahan sab dafan kar ayye
Her roj na jaane kitani moute hum marte hai
Apne zakhmo se lipat kar rote hai…..

Door tak faila hai andhiara
Andhiaro main hi gumo ko liye sote hai
Subah ki ab koi umeend nahi.. Bebas kyun hum itne hote hai
Apne zakhmo se lipat kar rote hai
Dard bhi kaise kaise hote hai..............


BAHUT KHOOB POOJAJI.....BAHUT HI ACHA LIKHA HAI AAPNE..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: February 27, 2008, 08:19:53 PM »
shukaria khwaish ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: February 27, 2008, 08:35:23 PM »
AAJ KOI MUJHSE PUCHO IS DIL PAR KYA GUZRI
TERI NARAAZGI SE ISS BECHARE PAR KYA GUZRI

HAR RAAT CHAND KI CHAANDNI KO NIHAARNE  WALO
KABHI SOCHA BHI HAI
TILTILMILATE SITAARO PAR KYA GUZRI...

KOI NAHI JAANTA IS DIL KI TADAP KO
YAHAN TAK KE DIL BHI NAHI JAANTA USKI DHADKANO PAR KYA GUZRI...

MAYUSI KUCH AISE CHAAI KE AANKHON SE ROSHNI BHI GUUM HO GAYI THI
KOI TO PUCHE IS DEEWANE PAR KYA GUZRI....

YEH KEH DENA KE SHAAYAD KABHI BAAT BHI NA  HOGI
IS ALFAASO SE "KHWAISH" PAR KYA GUZRI....

KHATA KARNA AUR PHIR APNI KHATA  KABOOL KARNA
BHI BAHUT MUSHKIL HAI AAJ KE JAHAN MEIN
AAJ MANANE-MANANE MEIN HUM JAANTE HAI
HUM PAR KYA GUZRI....

BICHAD BHI JAAYE ZINDAGI KI RAAHON MEIN
TO MUSKAAN KO HONTO PAR SAJAAYE HUE BICHADNA
AAJ "KHWAISH" HI JAANTA HAI USKI AANKHON PAR KYA GUZRI....





Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: February 27, 2008, 09:14:55 PM »
Chup rah kar na phi raise sataya karo
Kareeb hokar bhi juda na ho jaaya karo

Apne dil ke dard ka rahta hai khayal itna
Aoro ke dard ko bhi kabhi samjh jaaya karo

Hote ho udaas aor karan bhi batate nahi
Is kadar to hume ajnabi na kar jaaya karo

Dhadkano mai bas kar, na roko dhadkane
Apne alfaazo se na itna hume rulaya karo

Yaad ayege bahoot hum kjhayalo main
Zakham de de kar, itna na hume ajmaaya karo..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: February 27, 2008, 09:35:57 PM »
MERI KHAMOSHI BHI AB DIL KI ZUBAAN HONE LAGI
JO AANDHI SAB KUCH UDA KAR LE JAATI THI
AAJ WAHI AANDHI HUM PAR MEHERABAAN HONE LAGI....

ZAKHM KA KYA HAI BHARTE BHARTE SADIYA BEET JATI HAI
PAR KHWABO KE INTEZAAR MEIN
AAJ AANKHEIN HUMARI SONE LAGI...

HAR PAL AISE GUZARTA HAI JAISE
HUM PAR WAQT KOI EHSAAN KARTA HO,
TERE TASAVUUR MEIN BAITHA HI THA KE DEKHA!!
RAAT SE AB SUBAH HONE LAGI ....

MERI KHAMOSHI HI MERE DIL KI ZUBAAN HONE LAGI.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: February 27, 2008, 09:37:57 PM »
wah kay abaat hai.. bahoot khoob khwaish ji.. kaya lines likhi hai

TERE TASAVUUR BAITHA HI THA KE DEKHA!!
RAAT SE AB SUBAH HONE LAGI HAI....

bahooot khoob!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: February 27, 2008, 09:53:41 PM »
Raat phir ek andhi aai thi
Uda le gai jahan khud ki hi parchai thi

Sawal jawabo main beet gai kab raat
Bin jawab ke subah kyun aai thi

Zakham kabhi bharta hi nahi tere dard ka
Mili aise adalat mai saza, jahan na koi sunwaai thi..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: February 27, 2008, 09:58:19 PM »
Raat phir ek andhi aai thi
Uda le gai jahan khud ki hi parchai thi

Sawal jawabo main beet gai kab raat
Bin jawab ke subah kyun aai thi

Zakham kabhi bharta hi nahi tere dard ka
Mili aise adalat mai saza, jahan na koi sunwaai thi..


BAHUT KHOOB LAST TWO LINES BAHUT ACHI THI...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: February 27, 2008, 10:03:43 PM »
APNE HAQ MEIN HAMESHA FAISLA NAHI HOTA
JAHAN PAR UMEED KI KIRAN JAGAYI HO
WAHI PAR HI INSAAN APNA SUKH-CHAIN HAI KHOTA...

WAQT KI ZANJEER SE BANDE HUE HAI JAB HAATH INSAAN KE
PHIR TUM HI KAHO,AISE HALAAT MEIN
INSAAN KITNA MAJBOOR HAI HOTA....

JAHAN PAR DIL KE TUKDE HO JAAYE AUR
JAZBATO KA QATL
AISE MEIN KAHIN KHUDA BHI HAI ROTA....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: February 27, 2008, 10:07:35 PM »
Khuda ka naam na laooo ki bahoot shikayat hai
Rub ki di hui hai yah zindagi, yahi shikayt hai

Ro jaaye jo wo to usko bhi kuch samjh ayye
Dard mai insaan ki hoti kaya halat hai

Waqat se bandh kar bhi, janoon-e-ishaq nahi badlta
Tadapte pyar ki agg main bahoot bagawat hai

Mana apne haq main faisla kabhi nahi ho paaya
Phir bhi hai muhobat, Yahi To Shikayat Hai!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #28 on: February 28, 2008, 08:23:15 PM »
KHO GAYE HAI WOH KUCH IS TARAH GARDISH-E-HALAAT MEIN
KE KHUD APNI HI PEHCAAN UNSE BATAYI NA GAYI

JAB PUCHA HUMNE KYA CHAAHTE HO USS SHAKS KO
KUCH NA KEH SAKE,PAR APNI CHAAHAT UNSE CHIPAI NA GAYI...

LAB KHAMOSH THE PAR AWAAZ KUCH TO AA RAHI THI UNKE DIL SE
JAB PUCHA HUMNE,UNSE KOI BHI BAAT APNI SAMJHAI NA GAYI

HUM KHUD NAZAR ANDAAZ KAR GAYE ISS BAAT KO
SOCHA THA EK PAL KE LIYE KE A
AENA UNKE AAGE RAKH GAR UNHE KHUD SE ROBAROO KARAU,
PAR UNHE UNKI KHUD KI PARCHAI  HUMSE DIKHAI NA GAYI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: February 28, 2008, 08:33:33 PM »
wah.. shabdo se jaadu chalana koi apse sikhe... bahoot ache se bhwanao ko app shabdio mai pirote hai!! Good Job Khwaish ji!!

Aaina dikhate to khud ki parchai najar atti
kai baar lubo per aai baat bhi nahi hai ki jaati

beete hue palo ko zakhmo mai pirone se kaya hoga
jaate hue musafir ko, kabhi piche se awaz lagai nahi jaati

najar andaaz karna bhi kai baar hota hai jaruri
her baat shabdo mai kai baar samjhai nahi jaati

kho bhi jaaye to jaayege kaha yah ahsaas mere
Zakhmo ki adat ke siwa Pooja mai koi aor baat paaai nahi jaati


Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:33:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.175 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer