Zakham khane ki Adat

by Pooja on February 25, 2008, 03:22:16 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 4495 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: February 28, 2008, 08:48:11 PM »
bahut khoob..aapse hi seekha hai...

aaene mein apni parchai dekh kar
aapki nazrein jhuk kyon jaati hai

kuch baat kehte-kehte
aapki zubaan chup kyon ho jaati hai...

inn sawalo ka jawaab sirf aapke paas hai
ehsaas ke samundar mein
lehre kinaare ke bahut paas hoti hai
par na jaane phir rukh kyon jaati hai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
maih khane mein madira nahi hai by saahill in Ghazals
Zakhm aisa jise khane ko machal jaoge... by theyash in Ghazals
Chot khane ke bad--- Kumaar by kumaar in Quotable Phrase and Quotes
Pooja
Guest
«Reply #31 on: February 28, 2008, 08:54:21 PM »
bahoot khoob..

Lehro ko kab kahin koi chain mil paata hai
Chattano se takraane main, jeevan beet jaata hai

Boond boond ban kar na jaane kaha ret main kho jaati hai
Phir bhi dekhon, rukna unhe kabhi nahi atta hai

Pooja ki tarah, muchal uthati hai raato main
Chand se Jaise unka bhi koi naata hai

Zakham kha kha kar bhi takraati hai her ek se wo
Pathar, chattan, pahard jo bhi uske raste mai atta hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #32 on: February 28, 2008, 09:04:15 PM »
WAH! WAH! WAH! BAHUT KHOOB...

DASTOOR DUNIYA KA HOTA HAI ISS KADAR
KE DIL TADAP UTHTHA HAI PAR KABHI-KABHI
RONE KI WAJEH NAHI MILTI

LEHREIN BAHUT UTH THI HAI SAMUNDAR MEIN
PAR HAR LEHAR KO KINAARE TAK PAHUNCHNE
KI IZZAZAT NAHI MILTI....

KABHI-KABHI AISA BHI HOTA HAI "POOJA"
INSAAN ZINDAGI JEENE KE MAAYNE DHOONDTHE REH JAATA HAI
JAB JEENE KE MAAYNE MIL JAATE HAI TO
KAMBAKT ZINDAGI HI NAHI MILTI...

HUM BHI KYA SAMJHAAYE USS SHKAS KO
JINHE HUMSE PYAAR KARNE KI KABHI WAJEH HI NAHI MILTI....

MILNE KO BAHUT LOG MIL JAATE HAI ZINDAGI MEIN
PAR JINSE NAZREIN MILANE KI KHWAISH HOTI HAI
UNHI SE NAZREIN NAHI MILTI.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: February 28, 2008, 09:15:08 PM »
wowow mai apni last kavita likh kar khush ho rahi thi ki maine ajj bahoot dino baad kuch acha likha hai... magar app to phir app hai... kaya jaabardast jawab likha hai.. bahoot khoob khwaish ji!!!

Tadapte dil mai ansoo chupaye nahi jaate
Rok le jitna bhi inko, bandh mai samaye nahi jaate

Her lehar mil jaati hai kisi aor lehar mai dekhon
Kinare to kabhi samunder ke paaye nahi jaate

Zindagi jeene ka mayane hote hai her ek ke dil main
Farak itna hai ki her ek se dil milaaye nahi jaate

Samjh jayega wo shaks tere dil ki har baat ko
Her ahsaas lubo per sajaaye nahi jaate

Rooh main bas jaate hai kai log dhadkano ki tarah
Najaro se bhi kai baar, jo samjhaye nahi jaate

Zakhmo ko mere is kadar na chedo tum Pooja
Uth gaye jo yah dard, araam se phir sulaye nahi jaate!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #34 on: February 28, 2008, 09:34:42 PM »
BAHUT KHOOOB POOJA...BAHUT ACHA LIKHA HA...

PALKON PAR AAKAR AANSU RUK BHI JAATE
AGAR AAJ TERA KAHA MAAN BHI JAATE...

AISI KOI BAAT NA KEHNA JISPE KAL YAAD KAR RONA PADE
RONE KE DARR SE UTH KAR BHI
TERI MEHFIL SE YEH DEEWANE KAHA JAATE...

LEHREIN KINAARE TAK NA PHUNCH SAKI TO BHI USSE KOI GHAM NAHI
SHUKAR HAI APNE SAFAR MEIN,
AAPAS MEIN HAI MIL TO JAATE...

KAANTO KE BEECH PHOOLON KI HIFAASAT BHI HOTI HAI
KAANTO KE BEECH REHTE HUE PHOOL HAI KHIL TO JAATE....

JITNA DARD KO DARD SE DEKHOGE UTNA HI DARD HOGA
KAASH SIRF HUMARE YEH KEHNE SE UNKE ZAKHM SIL TO JAATE....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: February 28, 2008, 09:46:48 PM »

Maan lo kahna ki kuch bhi galat nahi kaha
Zindagi ki hai suchai, jhooth to nahi kaha

Yaadein hai meri, yah to umarbhar sath nibhayegi
Insaano si nahi fidrat, jinka koi bharosa kaha

Lahro main mil kar laher, wajood kho jaati hai
Magar kinare ko paane main, usko yah hosh kaha

Wahin kaantein de jaate hai zakham jo khilna sikhate hai
Apno se mile zakhmo ke agge koi aor zakhm kaha

Dard kahne se bhi Pooja ka kahin dard bilakh jaata hai
Bilkhate hue in zakhmo ka koi ab hisaab kaha!!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #36 on: February 29, 2008, 02:54:51 AM »
ahaaaaaa ek se badkar ek yahan pe likha hai dono ne
Pooja di khwaish ji.... daad hazir hai. I am speechless.
Itna accha... aur tarif k liye alfas kam pad rahi hai.

Keep up. Accha lag raha hai dono ko padkar.

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: March 03, 2008, 07:46:14 PM »
ahaaaaaa ek se badkar ek yahan pe likha hai dono ne
Pooja di khwaish ji.... daad hazir hai. I am speechless.
Itna accha... aur tarif k liye alfas kam pad rahi hai.

Keep up. Accha lag raha hai dono ko padkar.



BAHUT BAHUT SHUKRIYA AAPKE HAULSLE-AFSAAI KA..AAP BHI KUCH LIKHTE TO ACHA LAGTA...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: April 30, 2008, 10:39:36 PM »
Thanks Roja!!!

Khwaish ji ... kuch to jawab mai likhte...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #39 on: May 01, 2008, 08:29:53 PM »
Bhai yahan to asha'ar baras rahe hen, bohot khoob khwaish & pooja ji  Applause  Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: May 01, 2008, 09:47:41 PM »
shukaria Sayyid ji!! App ka bhi sath ho jaata to acha lagta
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #41 on: May 01, 2008, 10:11:35 PM »
Pooja ji likhna to chahta tha magar herat ki baat he or afsos ki bhi ke itne ash'aar padh kar bhi kuchh zehen me nahi aaya, ho saka to zaroor pesh karunga, i.a.

is waqt kuchh zehni pareshani he, to phir kabhi........
Logged
syednaami
Guest
«Reply #42 on: May 02, 2008, 02:08:18 AM »
Sapnon ka jab mahal banaata hun, -
Todke tum usse hanste kyun ho, -

Ghao rakhta hun taaza jo tumne diye, -
Guzar kar meri gali se namak chidakte kyun ho, -

Jab ghamon ko gin-ne lagta hun, -
to saamne aakar jashn manate kyun ho, -

Jab bahaane se dard ko chhupata hun, -
Tab mere bhawanaon ke taar ko todte kyun ho, -

Main chalta hun agar kissi nayi raah par, -
Tu uss rah men aakar mujhe thhokar maarte kyun ho, -

Sapnon ka jab mahal banaata hun, -
Todke tum usse hanste kyun ho. -


(Syed Naami)
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #43 on: May 02, 2008, 02:25:04 AM »
Pooja ji aapka bhi jawaab nahiN......

Waah sayed saheb bahoot khoob.....Daad kabool kareiN dost..

harash

Sapnon ka jab mahal banaata hun, -
Todke tum usse hanste kyun ho, -

Ghao rakhta hun taaza jo tumne diye, -
Guzar kar meri gali se namak chidakte kyun ho, -

Jab ghamon ko gin-ne lagta hun, -
to saamne aakar jashn manate kyun ho, -

Jab bahaane se dard ko chhupata hun, -
Tab mere bhawanaon ke taar ko todte kyun ho, -

Main chalta hun agar kissi nayi raah par, -
Tu uss rah men aakar mujhe thhokar maarte kyun ho, -

Sapnon ka jab mahal banaata hun, -
Todke tum usse hanste kyun ho. -


(Syed Naami)
Logged
k.shael
Guest
«Reply #44 on: May 02, 2008, 06:37:21 AM »
HI,
KHAWISH JI....
AAPNE JO LIKHA WO MUJHE BAHUT AACHA LAGA....
EVEN DIL KO CHOO GAYA....
PAR SORRY TO SAY MUJHE LAST 2 LINES AACHI NAHI LAGI....
KYUNKI AKSAR LOG UNHI KO THUKRATE HAI....
JO SACHA PYAR KARTE HAI....
AGAR MERA KAHA AAP KO HEART KARE TO I'M SO SORRY....
BY. tearyeyed K.SHAEL
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:20:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer