-Zakham Tha Har IK Sir Par-

by HumTum on January 27, 2009, 03:18:26 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 927 times)
HumTum
Guest

Baad mud’dat ke jab hum lout ke apne ganv aaye the
Na shaakein thi darkhton par na darkhton ke saye the

Zakhm tha har ik sir par aur har hath mein tha pathar
Dekhkar asia kauf ka manzar nain mere bhar aaye the

Kitna haseen nazara tha jab dekh kar apne bacche ko
Shajar pe baithi ik bul-bul ne apne pank failaaye the

Dekha kuch parindo ko ghar chod ke jate sham dhale
Shayaad who bhi merii taraah duniyaa ke sataaye the

Kal shab gehri need se mein choonk kar aise jaag gya
Ik be-shakl ki awaaz ne daffatan mere hosh udaye the

Vaqt ki aandhi shayad unko apne sath udha kar le gyi
Ret ke unche tilo par jo gharonden humne banaye the

Meri mufflasi par who bhi, taraas kha kar lout gaaye
Ik raat ko kuch chor mere ghaar choori karne aaye the

Ab to qaayaamat yaqeenaan qareeb aa gyi hai yarooN
Suna hai ke kal sham ko “HumTum” mandir  aaye the!!



HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dil ka zakham by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
zakham by muneeb in Shayri-E-Dard
Zakham by Sonu in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
zakham by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
baadal102
Guest
«Reply #1 on: January 27, 2009, 03:23:08 PM »
bahut khub  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 27, 2009, 04:24:16 PM »
Bohat Achche Humtum Bhaiya,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: January 27, 2009, 04:40:57 PM »

Baad mud’dat ke jab hum lout ke apne ganv aaye the
Na shaakein thi darkhton par na darkhton ke saye the

Zakhm tha har ik sir par aur har hath mein tha pathar
Dekhkar asia kauf ka manzar nain mere bhar aaye the

Kitna haseen nazara tha jab dekh kar apne bacche ko
Shajar pe baithi ik bul-bul ne apne pank failaaye the

Dekha kuch parindo ko ghar chod ke jate sham dhale
Shayaad who bhi merii taraah duniyaa ke sataaye the

Kal shab gehri need se mein choonk kar aise jaag gya
Ik be-shakl ki awaaz ne daffatan mere hosh udaye the

Vaqt ki aandhi shayad unko apne sath udha kar le gyi
Ret ke unche tilo par jo gharonden humne banaye the

Meri mufflasi par who bhi, taraas kha kar lout gaaye
Ik raat ko kuch chor mere ghaar choori karne aaye the

Ab to qaayaamat yaqeenaan qareeb aa gyi hai yarooN
Suna hai ke kal sham ko “HumTum” mandir  aaye the!!



HumTum

Wah bahut khoob... Applause
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: January 27, 2009, 04:45:03 PM »
 Applause Applause

Bohat khoob HumTum.... Thumbs UP
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: January 28, 2009, 02:59:56 PM »
bahut bahut shukriya Badaal, Honey, Azeem n Roja.

Azeem, ik shiqwa hai aap se.... yeh mein bhai jaan se bhiya kab ban gya? Manta hoon ke dono ke maane ik hai lekin hume aap ke muhh se wohi  "bhai jaan" accha lagta hai.


HumTum
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 28, 2009, 03:19:27 PM »
Sorry Bhaijaan,.
Maafkarna,.

Inshallah Aage Se Ehtiyat Rahega,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:57:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer