- Zakhm Ab Mera Itna Gehra Nahin -

by Meena is back on May 28, 2006, 05:04:38 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3957 times)
Meena is back
Guest
Ek koshish...

Tanhai ke raston pe chal pade hum bin manzil ke,
Ke kisi ki hefil me humara koi basera nahin,

Gairon me aur apno me fark karna chod diya humne,
Ke dikhta kisi ke ankh me hume aab wafa ka chehre nahin,

Gumon ke andero me hua na roshni se milna kabhi,
Shayad isslyie jante hum ehesas-e-sawera nahin,

Aab na ansoon bahayenge „Meena“ dard-e-dariya me,
Ke koi bhi zakhm aab mera itna gehra nahin!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #1 on: May 28, 2006, 05:21:15 PM »
WAH KAYA BAAT HAI BAHOOT KHOOB MEENA!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: May 28, 2006, 05:22:58 PM »
shukriya ji shukriya, par apne kuch likha nahin  sad5
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #3 on: May 28, 2006, 05:27:53 PM »
bhar gaye jakham ,ya, ab dard ka ahsaas nahi hota
ansoo ab bhi aaty hai, magar wo andaaz nahi hota
sooni ankein ab bhi suni gali per jaati hai
kami hoti hai mehsoos teri, magar ab wo jakhmi dil-e-haal nai hota
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #4 on: May 28, 2006, 05:32:59 PM »
wahhhhhhhhh too gud!!!!

zakhmo ko aab humne guredna chod diya,
gin gin ke unka hisab karna chod diya,
ao, zakh pe zakhm hume aur de do,
ke "Meena" ne aab zakhmo se darna chod diya!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #5 on: May 28, 2006, 05:38:43 PM »
wah kaya baat hai Meena, bahoot khoob!!

Jakham per jakham ka hisaab kab tak
apne hi ansoo ki barsaat kab tak
ched de agar koi kahani teri
phir gujarty waqat ka hisaab kab tak.........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: May 29, 2006, 06:15:20 AM »
bahut khub Meena ji.........Pankhuri ji...................

jindagi ka hisaab jab hum le ke bethe
tere saath jude har khawab ko le bethe
na jaane meri jindagi mujhe kahan  le aayi
yahan sirf saye hai aur hai sirf meri tanhai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #7 on: May 29, 2006, 07:34:57 AM »
Yoindian Gals ...... aap cha gaye ho !!

Ranjana ji ..... Pankhuri ji ... bahut achcey !!


Meena -Ji ... meiney kha kya baat hai ..... another beauty !!  hummmmm  mein bhi kucch likhunga !!


Dard-e-dil ne mere kabhi qaraar na paya
Intzaar hi rha mere naseeb, yaar na aaya

Ashq meri nigahoN se behte hai jiski kahtir
Kabhi lout ke mere pas mera pyar na aaya

Zinda hoon lekin jene ki ada bhul gya hoon
De mere dil ko khushi, woh sansaar na aaya !!
[/color]
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #8 on: May 29, 2006, 07:44:16 AM »
sab logone bahut he behtarin likha hai...likte rehein..!!!
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #9 on: May 29, 2006, 08:26:21 AM »
hi meena ji ranju ji pamkhuriji well done everybody
ye shayad sab ko mera jawaab hai

Aa mere asko ko tere jakhmo ka marham kar du
Gham-e-ulfaat ki in khalisho ko thoda kam kar du

Tere nigaaho se jo tapke taar-e-ashk ki barsaate
Dost ban ke teri jist bahaaro ka mausam kar du

khwaayish hai,teri gham-e-zindagi ki raftaar sahi
meri khushiyo mai milaa kar jara madham kar du

yun to mil jaayenge kahi gair tujhe apna karne wale
mai in rishto se pare hamdam tujhe paiham kar du

En nazar paak mil jaaye teri mere jism-o-jaan ko
Lahoo ka bahta hua katra katra jara shabnam kar du
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: May 29, 2006, 08:31:07 AM »
shukriya  Hum tum ji......Salma ji aapaka bhi shukriya.........

jo kabhi kehte they mujhe apni jaana
aaj woh hamko bhulaye bethe hain
aaj bhi main gum hun unhi ki yaado.n mein
woh apani duniya kisi aur ki jaan mein basaye bethe hain
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #11 on: May 29, 2006, 08:56:39 AM »
Woh kahte hai hardam ham unko bhulaye baithe hai
Unhe fursat kaha jo naye dost banaaye baithe hai
Ham unka hi khayaal karte hai har shaam-o-shahar
Aur wo hai ke auro ki mahfil sajaaye baithe hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #12 on: May 29, 2006, 10:24:13 AM »
Quote from: "manu1979"
hi meena ji ranju ji pamkhuriji well done everybody
ye shayad sab ko mera jawaab hai

Aa mere asko ko tere jakhmo ka marham kar du
Gham-e-ulfaat ki in khalisho ko thoda kam kar du

Tere nigaaho se jo tapke taar-e-ashk ki barsaate
Dost ban ke teri jist bahaaro ka mausam kar du

khwaayish hai,teri gham-e-zindagi ki raftaar sahi
meri khushiyo mai milaa kar jara madham kar du

yun to mil jaayenge kahi gair tujhe apna karne wale
mai in rishto se pare hamdam tujhe paiham kar du

En nazar paak mil jaaye teri mere jism-o-jaan ko
Lahoo ka bahta hua katra katra jara shabnam kar du



Seems you don't like my poetry .. didn't mention my name :lol:

kahir ... app ko hum jawab dete hai !!



Mit gaya jab mitne wala phir salam aayaa to kya
Dil ki barbaadi ke baad unka payam aayaa to kya

De ke gam-e-hayaat, khnop pe kangar peeth pe
Mere hayat pe unko rona sar-e-aam aayaa to kya

Saans ukhadi aas tutii chaa gaya jab rang-e-yaas
Baad-e-qayamat tere khat mere naam aayaa to kya

Mil gya woh Khaak mein jis dil mein tha arman-e-diid
Ab tera mere dayaar pe koi salaam aayaa to kya

Sehte rehy hai zakhm raah-e-naqaam-e-ishq mein
Tu sangdil meri naqamiyooN ke baad aayaa to kya !!  
[/color]
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #13 on: May 29, 2006, 10:41:31 AM »
hamtum ji i m extremely sorry mai ine aap ka kalam padhaa mujhe pasand bhi aaya par mai shayad aap ka nam likjhna bhool gaya tha
khair koi baat nahi aap ko jawab dunga

regards
take care
manu
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #14 on: May 29, 2006, 10:54:53 AM »
No worries dear ... i was just kidding;)


Manu ji ab hum par itna karam na farmaiye
Jasisa bhi hai acha hai mera naam
Ab HumTum ko HamTum to na bnaiye sad5
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:28:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer