- Zakhm Ab Mera Itna Gehra Nahin -

by Meena is back on May 28, 2006, 05:04:38 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3958 times)
Meena is back
Guest
«Reply #15 on: May 29, 2006, 04:03:01 PM »
Quote from: "Pankhuri2"
wah kaya baat hai Meena, bahoot khoob!!

Jakham per jakham ka hisaab kab tak
apne hi ansoo ki barsaat kab tak
ched de agar koi kahani teri
phir gujarty waqat ka hisaab kab tak.........


shukriya ji and a very nice one!!!:D

zakhmo ko dekh kar aab anson nahin bahate,
kahi ashkon ke pani se zakhm pigal na jaye,
phir waqt ka intezaar rahega ke kab silenge zakhm,
tab tak zakhmo ki zubani unke raaz khul na jaye!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #16 on: May 29, 2006, 04:05:51 PM »
Quote from: "ranjana"
bahut khub Meena ji.........Pankhuri ji...................

jindagi ka hisaab jab hum le ke bethe
tere saath jude har khawab ko le bethe
na jaane meri jindagi mujhe kahan  le aayi
yahan sirf saye hai aur hai sirf meri tanhai


shukriya ranjana ji...bohot khoob!!

tanhai to apni hai, uski to hume aab adat hogayi,
gum aise milte hai jaise ansowon ki dawat hogayi!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #17 on: May 29, 2006, 04:10:44 PM »
Quote from: "HumTum is back"

Meena -Ji ... meiney kha kya baat hai ..... another beauty !!  hummmmm  mein bhi kucch likhunga !!


Dard-e-dil ne mere kabhi qaraar na paya
Intzaar hi rha mere naseeb, yaar na aaya

Ashq meri nigahoN se behte hai jiski kahtir
Kabhi lout ke mere pas mera pyar na aaya

Zinda hoon lekin jene ki ada bhul gya hoon
De mere dil ko khushi, woh sansaar na aaya !!
[/color]


shukriya humtum ji..aab apki kya tareef kare, jitni karongi kam hogi!!

hal-e-dil tumne kabhi hume sunaya nahin,
shayad tumne apne yaar ko dil se kabhi bhulaya nahin,

ashk baha kar na mitao dil se uska nam,
jane kya majboori ti jo tumne use apnaya nahin,

na rohko zindagi ki ghadi ek maud pe aye dost,
rukhne wale ne kabhi apni manzil ka rasta kabhi paya nahiN!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #18 on: May 29, 2006, 04:11:19 PM »
salma sis... oh thank u kuddiye!! :D

manu ji...shukriya manu ji acha likha apne!!  :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: May 30, 2006, 02:13:46 AM »
bahoot khOOB HumTum, Mannu, Ranju and Meena!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #20 on: May 30, 2006, 07:51:24 AM »
Quote from: "Mrs HumTum"


shukriya humtum ji..aab apki kya tareef kare, jitni karongi kam hogi!!

hal-e-dil tumne kabhi hume sunaya nahin,
shayad tumne apne yaar ko dil se kabhi bhulaya nahin,

ashk baha kar na mitao dil se uska nam,
jane kya majboori ti jo tumne use apnaya nahin,

na rohko zindagi ki ghadi ek maud pe aye dost,
rukhne wale ne kabhi apni manzil ka rasta kabhi paya nahiN!


Mrs HumTum ji ....  yeh kya ke mujh jaseey zarre ko aap aftaab kehne lage ... bhalla aap ki shayri ke aage hamari shayri kya hai ...... dekhiye na kitna ahccha likha hai aap ne ....... hummm chaliye hum bhi kucch likhte hai !!


Di bahut si sadayien meiney par woh lout ke na aaya
Har roz khila ummed ka phool, khil ke phir murjaya

Tanhaii meri kismat mein likh di hai rab ne, shayaad !
Aayi jo yaad yaar ki batien to har baat pe rona aaya

Na ab kissi manzil ki hai tam_mna, na raste ki justzu
Aye dost ab humne naqaamiyoN se hai rishta banaya !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #21 on: May 30, 2006, 07:59:21 AM »
wonderfull...kamaal ka likha hai aap dono ne Mrs. Humtum :wink:  n Mr. Humtum...
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #22 on: May 30, 2006, 08:01:39 AM »
ShukriyaN Choti ki bachi !!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #23 on: May 30, 2006, 10:14:05 AM »
Wahh bohat acha likha hai sabhi ne,very nice meena sis,keep writing Usual Smile .
Logged
manu1979
Guest
«Reply #24 on: May 30, 2006, 10:36:20 AM »
Quote from: "HumTum is back"
Quote from: "manu1979"
hi meena ji ranju ji pamkhuriji well done everybody
ye shayad sab ko mera jawaab hai

Aa mere asko ko tere jakhmo ka marham kar du
Gham-e-ulfaat ki in khalisho ko thoda kam kar du

Tere nigaaho se jo tapke taar-e-ashk ki barsaate
Dost ban ke teri jist bahaaro ka mausam kar du

khwaayish hai,teri gham-e-zindagi ki raftaar sahi
meri khushiyo mai milaa kar jara madham kar du

yun to mil jaayenge kahi gair tujhe apna karne wale
mai in rishto se pare hamdam tujhe paiham kar du

En nazar paak mil jaaye teri mere jism-o-jaan ko
Lahoo ka bahta hua katra katra jara shabnam kar du



Seems you don't like my poetry .. didn't mention my name :lol:

kahir ... app ko hum jawab dete hai !!



Mit gaya jab mitne wala phir salam aayaa to kya
Dil ki barbaadi ke baad unka payam aayaa to kya

De ke gam-e-hayaat, khnop pe kangar peeth pe
Mere hayat pe unko rona sar-e-aam aayaa to kya

Saans ukhadi aas tutii chaa gaya jab rang-e-yaas
Baad-e-qayamat tere khat mere naam aayaa to kya

Mil gya woh Khaak mein jis dil mein tha arman-e-diid
Ab tera mere dayaar pe koi salaam aayaa to kya

Sehte rehy hai zakhm raah-e-naqaam-e-ishq mein
Tu sangdil meri naqamiyooN ke baad aayaa to kya !!  
[/color]



ye raha aap ka jawaab humtum ji

Jab bhi aaye vo kuchh pyaare salaam le ke aaye
Meri mahobbat ka rah rah kar anjaam le ke aaye

Jurm kya tha mera izhaar-e-tamanna ke sivaa
Vo aaye to saath khaamosh jubaan le ke aaye


mai  afsurdaga raha hu zindagi se har dam har pal
apne sath vo khushiyo ka paigaam le ke aaye

Uzadi hai fasal mahobbat ki dil ki banzar zameen par
kaise ummido mai nigaaho ka aasmaan le ke aaye

mai ajnabii sa rahta hu arso se apne hi shahr mai
koi kahi se khusbuo ke khat mere naam le ke aaye

mere paas ab meri tanhaaiyo ke sivaa kuchh bhi nahi hai
mere paas vo  meri bichhdi hui pahchaan le ke aaye



regards
take care
manu
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #25 on: May 31, 2006, 12:01:03 PM »
Manu1979 ji..  aap aaye bahar aayi .. yeh lijiye aap ka jawab !!!


Ab to ghabra ke kehte hai ke hum mar jayege
Mar ke bhi hume chain na mila to kidar jayege

woh nahin hum jo kare dava khoon ka tum par
Gar alaah ne bhi puccha to hum mukar jayege

Bijli ki manid shola-e-aah ko chamka to du lekin
Mujhye yeh dar hai ke woh dekh ke dar jayege

Na dund paoge kahi bhi nishaaN hamara, sanam
Hum is duniya se yun ravish-e-tiir-e-nazar jayege

Rovoge zaar zaar apni hi bewffaiyooN pe har dum
Iss kadar tere dil mein hum ghar apna kar jayege

Aaj jinki ankhooN ko samundar sa bna dete ho
Kal ko woh tumko tere ansuooN mein nazar aayge !!

[/color]
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #26 on: June 03, 2006, 05:48:15 PM »
shukriya nidhi kuddiye...

gud going humtum ji aur manu ji...

 :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: June 05, 2006, 05:04:33 PM »
Quote from: "Meena is back"
Ek koshish...

Tanhai ke raston pe chal pade hum bin manzil ke,
Ke kisi ki hefil me humara koi basera nahin,

Gairon me aur apno me fark karna chod diya humne,
Ke dikhta kisi ke ankh me hume aab wafa ka chehre nahin,

Gumon ke andero me hua na roshni se milna kabhi,
Shayad isslyie jante hum ehesas-e-sawera nahin,

Aab na ansoon bahayenge „Meena“ dard-e-dariya me,
Ke koi bhi zakhm aab mera itna gehra nahin!


Bohot khoob Meena....!!

Good ones by all friends  - Humtum, Manu, Pooja !
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #28 on: June 07, 2006, 04:15:27 PM »
shukriya ji shukriya!!

 :D
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:59:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer