ZAKHM AISE BHI HAI JISKI KOI DAWAA NAHI HOTI.......

by khwaish on December 13, 2007, 06:47:23 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Author  (Read 6567 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: December 24, 2007, 05:53:30 PM »
Khwaish ji im stunned by ur writing...relli deep thoughts....
keep it up


Diya tha tune ek wada k bhulenge na ek duje ko hum
Aaj wahi wade ko todne ka sila tu dekhle

Rehguzar banne ka shonk tha to nibhate har kasam
Tune lagai jo aag uthta uska dhuan tu dekhle

Meine bhi to ki mohobbat waise jaise sab kiya karte hai
Par Jo ghaw payein hain unke nisha tu dekhle

Humse to log misal dete the ashiqui ki mehfilon mein
Tujhse dil lagane ko jo mila wo saza tu dekhle

dil k tukhde chun kar hum rakhte hai ab wo bhi sambhal kar
Kaise todte hai log zar.ra Zar.ra uska ghuma tu dekhe

Humare dil se bas yehi dua nikalti hai k tu salamt rahe
Teri khushi k liye jo manzur kiya wo hadsaa tu dekhle

Bada asaan hai kehna k bhul jao wo din mohobbat ke
jo laga kargaye ho aag us aag mein apna koi arman jala k tu dekhle


~Roshni~




BAHUT KHOOB..BAHUT HI ACHA LIKHA HAI AAPNE..HAR EK LINE,APNE AAP MEIN EK SHER THA..BAHUT ACHE..


PYAAR MEIN KIYE HUE VAADO KO TODKE,
USSE BHI KAHI RAAHAT NA MILEGI..

NA SOCHO KE WOH JUDA HOKAR JEE PAAYEGA,
PYAAR TO WOH KAR LEGA,
PAR WOH CHAAHAT NA MILEGI...

HUMNE BHI BADI SHIDDAT SE,
MOHABBAT KI THI KISI SE,
PAR NAHI JAANTA THA KI,
TAQDEER MEIN SAATH REHNE KI,
LAKEER HI NA MILEGI...

AGAR MAIN USSE BEWAFA KAHOON,
TO JO CHAAHE SAZAA DE DO MUJHE,
DIL CHEER KE DEKHLO MERA "KHWAISH"
KABHI UNKE LIYE NAFRAT NA MILEGI...

LIKHNA BAHUT ASAAN HAI
PAR USS PAL SE GUZARNA MUSHKIL,
USS PAL KO YAAD KARKE,
AISA KOI LAMHA NAHI JAB,
"KHWAISH" KI AANKHON MEIN
ASHKO KI LEHARE NA MILEGI...









Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jiski koi Parwaaz Nahi by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
suna he ishk ki duniyaa mei koi dawaa nahi hoti by hameeda in Share:Love Poetry
Ishq Ki Koi Bhi Dawaa Nahi Hoti by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard ZAKHM me na raahat DAWAA me hai...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Rajbir
Guest
«Reply #16 on: December 24, 2007, 06:15:38 PM »
..........
HUMNE BHI BADI SHIDDAT SE,
MOHABBAT KI THI KISI SE,
PAR NAHI JAANTA THA KI,
TAQDEER MEIN SAATH REHNE KI,
LAKEER HI NA MILEGI...

AGAR MAIN USSE BEWAFA KAHOON,
TO JO CHAAHE SAZAA DE DO MUJHE,
DIL CHEER KE DEKHLO MERA "KHWAISH"
KABHI UNKE LIYE NAFRAT NA MILEGI...

LIKHNA BAHUT ASAAN HAI
PAR USS PAL SE GUZARNA MUSHKIL,
USS PAL KO YAAD KARKE,
AISA KOI LAMHA NAHI JAB,
"KHWAISH" KI AANKHON MEIN
ASHKO KI LEHARE NA MILEGI..

Khwaish bro

Phir ek baar laajwab likha hai !

Bahut gehri gehri baatein likhte ho Roll Eyes

Kabhi kabhi to lagta hai ki sachai bayan kar rahe ho !

Keep it up !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: December 24, 2007, 06:52:12 PM »
THANX A LOT PAAJI..JO DIL MEIN HOTA HAI WAHI LIKH DETA HOON..
KAI BAAR TO BAHUT KUCH KEHNA CHAAHTA HOON PAR ALFAAZ NAHI MILTE AUR KABHI KABHI SIRF KALAM KO THAAMTA HOON AUR LIKHTE CHALA JAATA HOON...
THANX FOR APPRECIATING..



Logged
~princess~
Guest
«Reply #18 on: December 24, 2007, 06:59:26 PM »
Bohot khoob khwaish sahab...and thanks a lot for Appreciating

Dard e jigar mein ek usika khayal tha
Kya aj wo ayenge bas yehi sawal tha

Raat adhuri rahegi shayad aaj phir humari
Chandni ka phir apna khumar tha

Wo to khush thi kyu ki puri thi chand sang
Hume Tanha bahein parsaye unka intezar tha

Ruswa na karna meri mohobbat ko humari
Pehli ruswai ka dil mein aj bhi nishan tha

Hume apni kasam tujhe bhulpate nai ek pal bhi
Shayad duri mein jeena pak mohobat ka imtihan tha

Par ab to laut ao k waqt ko bhi taras ane laga
sabne kaha tu bewafa hai akar bata do yeh jhuta afwa tha

~Roshni~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #19 on: December 24, 2007, 07:23:26 PM »
Roshu

Wah ! wah !

Yahan to 2 - 2 dhurandhar bhid gaye Winking tongue3

Keep it up !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: December 24, 2007, 07:28:26 PM »
BAHUT KHOOB....AAPKE REPLY MEIN,EK KOSHISH..

ZINDAGI KO LUTADI APNI,
MOHABBAT KI KHAATIR,
KYA ISSE BAD KE BHI JAZBAAT KUCH HAI..

TEZ AANDHI MEIN BHI,
ANDHERO KE SITAM SEHTE RAHE,
RAAT KO PHIR BHI CHIRAAGO,
SE SHIKAYAT KUCH HAI..

ZAKHM CHUP REHKAR SEHNA, ALAG BAAT HAI
ZAKHM SEH KAR SABKO BATAANA ALAG,
MUJHE BHI KEHNE KI EH DOST,
IZZAZAT KUCH HAI...

YEH NA SAMAJ KE MAIN WAQT SE DARR KE CHUP REH GAYA
KAL KE HALAAT KUCH AUR THE,AAJ KE HALAAT KUCH AUR HAI..

AGAR KEHNE LAGA TO NUMAAISH HOGI MOHABBAT KI
AUR YEH BAAT TO SACH HAI KE,
DUNIYA KO HAMESHA MOHABBAT SE ADAAWAT KUCH HAI..

GILE-SHIKWE JITNE DHOONDOGE,UTNE MILENGE
KASOOR KISKA THA,YEH SOCH KE AB KYA FAAYDA?
KYA SAWAALO MEIN ZINDAGI KO,
BAAND KE RAKHNE KI ZAROORAT KUCH HAI??







Logged
Rajbir
Guest
«Reply #21 on: December 24, 2007, 07:41:53 PM »
Khwaish bro

Superbbbbb ! Excellent !

Bhai roz thoda bahut likh diya karo !

Intezaar rehta hai ki bro kuch likhega shaam dhalte he (hugs)

Roshu ka reply aata he hoga...he he he

Ek gaana yaad aa gaya kisi ki yaad mein Usual Smile

Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana
Logged
~princess~
Guest
«Reply #22 on: December 24, 2007, 07:44:24 PM »
Bohot acha laga apki kalam pad kar aur hausla afzayee k liye shukriya


Maana humne k tum bhi Mohobbat se wakif ho
Par jo cheer de seena aisi bhi kya azmaish ho

Hum muflisi ki halat mein khush hi the
Ek ghareeb ko churana aisi bhi kya kisiko khwaish ho

Hume nai hai Zarurat chand sitaron ki
Mile jab roshni chirag se to chandni se kya numaish ho

Madam madam ahat liye wo aye the mehman ban kar angna
Par mera hi ghar jala diya ab kya mehman nawaish ho

Mante hai hum tumne sahe honge dard hazaron
Par Dost dard wahan zyada hai jahan se uski paidaish ho

~Roshni~

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #23 on: December 24, 2007, 08:04:22 PM »
Roshu

Wah ! wah ! Yahan to ek se badh kar ek reply aa rahi hain Usual Smile

come on yahoo sis Winking

Khwaish bro ko maine add kiya hai yahoo par..magar usne abhi takk accept nahi kiya sad5
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: December 24, 2007, 08:29:52 PM »
BAHUT KHOOB..BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE..

MAANA HUMNE BADI BAAT HAI,
MOHABBAT KARNE WALE DEEWANO MEIN,
JEETE HAI HUM UNKI YAAD MEIN,
VARNA KAB KE MAR GAYE HOTE,
SAHI MAANO MEIN..

HUMEIN BHI APNI TANHAI SI BHARI HUI ZINDAGI
SE KOI SHIKAYAT NAHI,
HUMEIN BHI LAANE PADTE HAI KAI HAUSLE MUSKURAANE MEIN..

ZINDAGI MEIN HAR WOH CHEEZ KI KHWAISH RAKHO
JINHE TUM PAANA CHAAHTE HO,
DARD KA KYA HAI?
WOH TO SHAAN SE SHAAMIL HAI PARESHAANO MEIN..

DARD-E-DIL KI KOI ZUBAAN NAHI HOTI "KHWAISH"
YEH TO SHAAMIL HAI ZINDAGI KE HAR KHADAM PAR
JO ZAKHM KO MARHAM NA KAR SAKE,
WOH FARK HI KARTE REH JAATE INSAANO MEIN...

















Logged
~princess~
Guest
«Reply #25 on: December 25, 2007, 12:08:03 PM »
ek baat hume aj yaar zara sidar se batao
kyu log Ashiqui mein shartein rakte hai

Hum jante hai unhe paa na sakhenge phir kyu
Unhe paane ki umeed phir bhi yar rakhte hai

Bawla jiya hai maanate manta nai khabi
Phir bhi kyu isse apne itne pas rakhte hai

Aas tut jaye par humne apni baat rakhi thi
phir kyu wo wafa mein bewafai ki saala rakhte hai

Sazish ki hai mere apno ne meri khushiyon se
Najane kyu sab pathar aur hum dil rakhte hai

Armano jala diya rakh ko phoonk de uda diya
dufaan mein khud ko bachate nai bharosa e pyar rakhte hai

Jante hai ek din jo tute to bhikar jayenge
phir bhi zindagi se Bahar ki khushi bar bar rakhte hai


~Roshni~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: December 27, 2007, 06:25:08 PM »
BAHUT KHOOB ROSHINI...

YAAD ME TERI,KABHI AANSU BAHA LETA HOON MAIN
HAQEEQAT MEIN TUJHSE BAHUT DOOR HOON,
PAR KHWAABO MEIN TUJHE BHULA LETA HOON MAIN

ZINDAGI MEIN JAB KABHI ANDHERO SE DAR LAGE
TERI YAADON KA EK DIYA JALA LETA HOON MAIN

HUMSAFAR SAATH HO TO HAR RAAH
ASAAN HO JAATI HAI,
TUJH BIN BAHUT BAAR TANHA
RAAHON MEIN GIRA HOON MAIN

JAANTA HOON BAHUT MUSHKIL HAI
BICHAD KAR PHIR MIL PAANA
PAR JAB BHI TERA NAAM LABO PE AA JAATA HAI
KADAM AAGE KHUD BAR KHUD BADHA LETA HOON MAIN


Logged
punam
Guest
«Reply #27 on: December 28, 2007, 07:08:33 AM »
Ek se badhkar ek likhe ...
roshu and khwaish ji.....bahot hi acha hai...
Logged
~princess~
Guest
«Reply #28 on: December 29, 2007, 12:15:55 AM »
Thx punam di and khwaish bro


Hum baithe the tanha akele apne kone mein
Dard ki ahein thi aj rat phir humare rone mein

kisiko maloom na tha na hi thi khabar parchai ko
K kisiko na pada farak humare hone na hone mein

Sadiyon se jaage hai hum kyu ki dil tuta hai humara
Kehte hai ajeeb gehrai hoti hai diljalo k sone mein

Hume bhi sula do koi k phir jag na payein hum
Kuch aisa chain mile k phir na ansun bahayein hum

K thaki padi hain yeh ankhein jo khoon k ansn behte hai
Koi rah dikha do ghar ka mere laut k ghar ko jayein hum

Andhere mein jiye hai koi chirag thama ek pal ko
Ke sadiyon bad khud ki surat bhi pehchane hum

Kisiki mohobbat mein khud ko bhula diya humne
Koi to rasta batao k unhe kaise bhulayein hum



~Roshni~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #29 on: December 29, 2007, 12:22:52 AM »
Roshu, Khwaish

Behtareen ! Kya gehrayi hai aap dono ki shayari mein !

Keep going !
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:19:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer