ZAKHM AISE BHI HAI JISKI KOI DAWAA NAHI HOTI.......

by khwaish on December 13, 2007, 06:47:23 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Author  (Read 6705 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: December 29, 2007, 06:47:50 PM »
BAHUT KHOOB SWEET SIS...
THANX A LOT PAAJI & PUNAMJI...THANX FOR APPRECIATING

TANHAI MEIN KABHI DIL MEIN BASE
JAZBAAT KI BHI AWAAZ NAHI HOTI,
ROTA HAI DIL BAHUT DARD KE SAATH
PAR AANKHON SE KOI KI BARSAAT NAHI HOTI..

PARCHAI PAR AITBAAR KABHI NA KARNA EH DOST
ANDHERO MEIN KABHI PARCHAI BHI SAATH NAHI HOTI

HAQEEQAT MEIN TO HUM NAA MIL SAKE,
SOCHTA HOON,KHWAABO MEIN TUMHE PAALENGE
PAR BADNASEEBO KI KISMAT MEIN
KHWAABO WALI RAAT HI NAHI HOTI...

AANSU UNKE LIYE BAHAO,
JINHE KADAR HO IN AANSUO KI...
SAMAJNE WALA SIRF NAZRO SE SAMAJ LETA HAI,
LABON SE CHAAHE EK  BAAT NAHI HOTI...

LAAKH CHUPA LO,DARD IS DIL KA,
NAHI CHUP PAAYEGA "KHWAISH"
NIGAHEN BAYAAN KAR DETI HAI DASTAAN-E-DIL
MOHABBAT KABHI LAFZO KI MOHTAAJ NAHI HOTI...



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jiski koi Parwaaz Nahi by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
suna he ishk ki duniyaa mei koi dawaa nahi hoti by hameeda in Share:Love Poetry
Ishq Ki Koi Bhi Dawaa Nahi Hoti by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard ZAKHM me na raahat DAWAA me hai...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~princess~
Guest
«Reply #31 on: December 29, 2007, 07:11:41 PM »
bohot khoob bro...awesome likhungi par zara waqt lagega
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #32 on: December 29, 2007, 07:12:30 PM »
khwaish bro

kya baat hai !

Roshu jawab do jaldi Usual Smile
Logged
~princess~
Guest
«Reply #33 on: December 30, 2007, 10:00:41 PM »
Seena cheer k aa tujhko apna pyar dikhaun
Kitna intezaar kiya hai ankho ki pyas dikhaun

Jo tujhe bhi reham na aya to tu pathar hai
khushiya ka beeta dard ka aaj sansar dikhaun

Tadap jaoge gar do pal uthaoge bewafai ka boj
Teri di hui tohmat ka tofa aaj yaar dikhaun

Shishe ki chot se tum sisak jaate ho
dil k tukhdo pe likha aaj bhi tera naam dikhaun

Mein to khud hi bewakoof hu tujhe bhulu to kaise
Apne badan par teri chuhan k aa nishan dikhaun

Kash tumse na mile hote kash na lagaya hota dil
Meri lash k chehre pe aa khuli ankhon mein intezar dikhaun


~Roshni~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #34 on: January 02, 2008, 05:55:54 PM »
BAHUT KHOOB SIS...BAHUT ACHA LIKHA HAI...
Logged
~princess~
Guest
«Reply #35 on: January 02, 2008, 05:59:35 PM »
thxxxxxxx
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: January 03, 2008, 03:57:55 PM »
ZINDAGI KA LAMHA-LAMHA
KUCH YUH GUZAAR LETA HOON
TERI YAADON KO DIL MEIN CHUPA KE
TANHAI MEIN RO LETA HOON...

KAUN KEHTA HAI KI AANSU HI PEHCHAAN HAI DARD AUR GHAM KI
KOI HUMSE PUCHE,HAR DARD KO MUSKURAKAR SEH LETA HOON...

AANSU TO WOH BAHATE HAI JINHE JEENA NA AAYE
APNI MUSKAAN KO HI AUZAAR BANAKE
HAR GHAM SE LADNE KI HIMMAT JOD LETA HOON...

ASHQ,DARD,TANHAI AUR MAIN
IN SE RISHTA HI KUCH AISA HAI,
INHE APNA SAMAJ KE EK VIRAAN GHAR PE
BADE SHAUK SE REH LETA HOON...

JIS DIL MEIN PYAAR NAHI
USKA SAATH HONA,NA HONE SE KYA FAAYDA?
APNE ZAKHMO PAR KHUD HI MARHAM LAGA KE
DARD APNA SEH LETA HOON...

YEH NAHI KE,TUJHSE DOOR REH KE MAIN KHUSH HOON!!!
GHAM MUJHE BHI BAHUT HAI,AAKHIR INSAAN HOON
CHAIN,SUKOON MAIN BHI KHO LETA HOON...

NA PUCHO,TUJHSE BICHAD KAR
KYA BEETI DIL PE APNE "KHWAISH"
KHUD SE SAWAAL KARTA HOON
KHUD HI JAWAAB MEN KUCH BOL LETA HOON...

MAIN NAHI JAANTA,KAUN SAHI THA? KAUN GALAT?
APNE HALAAT KO ZINDAGI KI SACHAIYO KE SAATH
JOD KAR,KYA KHOYA KYA PAAYA? TOL LETA HOON...

MAIN WOH INSAAN HOON JO KABHI-KABHI TANHAI MEIN,
AAENE MEIN APNI PARCHAI KO DEKHKAR,
MUH MOD LETA HOON...

KAASH KOI ZUBAAN HOTI,
DIL MEIN BASE ZAKHMO KI
BAS TUJHE YAAD KAR "KHWAISH"
AANKHO SE NAHI PAR
DIL SE RO LETA HOON... Crying Crying Crying
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #37 on: January 03, 2008, 04:05:33 PM »
Roshu sis bahut khoob !

....
Kash tumse na mile hote kash na lagaya hota dil
Meri lash k chehre pe aa khuli ankhon mein intezar dikhaun


~Roshni~


Khwaish bro

Aaj ek baar phir bahut gehra likh gaye sad5

Jo jazbaat tumhari shayari mein hote hain woh kahin na kahin zindagi ke kisi pehlu se jude hote hain...

Keep it up bro...bahut achcha likhte ho !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #38 on: January 04, 2008, 05:41:01 PM »
Roshu sis bahut khoob !

....
Kash tumse na mile hote kash na lagaya hota dil
Meri lash k chehre pe aa khuli ankhon mein intezar dikhaun


~Roshni~


Khwaish bro

Aaj ek baar phir bahut gehra likh gaye sad5

Jo jazbaat tumhari shayari mein hote hain woh kahin na kahin zindagi ke kisi pehlu se jude hote hain...

Keep it up bro...bahut achcha likhte ho !

THANX A MILLION PAAJI FOR APPRECIATING...JO ZINDAGI KI SACHAI HAI WAHI LIKHNE KI KOSHISH KARTA HOON..THANX A LOT..
ROSHU NAZAR NAHI AA RAHI??
Logged
~princess~
Guest
«Reply #39 on: January 04, 2008, 10:59:17 PM »
bohot khoob big bro hum agaye lijiye apka reply


Kash tujhe haal e dil bataya hota
to na zindagi k raste tu aj paraya hota

Hoti aj bhi manzil ek hi humari tumhari
Agar sukun se ek lamha saath bitaya hota

Jo lade the hum tum khabi shaam ko
Chum kar tujhe maine hi manaayya hota

Karti thi intezar k teri khabr aye
Likh kar khat haal e dil maine hi bhijwaya hota

Humne Intezar ko apna kar tujhe khodiya
Par Kuch kehkar kuch sunkar tujhe pas bulaya hota

Reyt ka ek ashian tha jo waqt mein beh gaya
Reyt par likh kar tera naam bar bar na mitaya hota

Hum gairon ki takleef samajne lage
Koi shaam taron tale tujhe god mein sulaya hota

Aj tu nai hai na hai karar Zindagi ko
Haseen lamho ko kash yun na gawaya hota

Waqt ne churaliya meri Mohobat ko ahishta ahista
Kash ek shaam tujhe tujhse churaya hota


~Roshni~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #40 on: January 05, 2008, 10:40:14 AM »
Roshu

Wah ! Behtareen reply !

Keep it up !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: January 05, 2008, 05:20:37 PM »
bahoot khoob khwaish and Princess
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #42 on: January 05, 2008, 05:56:12 PM »
Pooja

Tumne kuch nahi likha ? Roll Eyes
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: January 05, 2008, 06:04:51 PM »
BAHUT KHOOB ROSHU...AS USUAL SUPERB!! Usual Smile
BAHUT BAHUT SHUKRIYA POOJA,KUCH AAP BHI LIKHIYE KE KUCH SIKHNE KO MILE...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: January 05, 2008, 06:42:02 PM »
Likhne ki koshish ki hai... shayad pasand ayye apko..

zakham aise bhi hai jisaki koi dawa nahi hoti
kaise kare koi fariyaad, koi bhi dua, kamyaab nahi hoti
sulagti rahti hai yaandein, bhigi lakdi ki tarah
magar ankho se ab koi barsaat nahi hoti..

shabd, shabdo ke arth, sab dhundhla se gaye hai
kisi bhi shabd se marham ki koi aass nahi hoti
mit gaya sab, phir bhi mit.ti nahi yandein
khud se khud ki hi koi pehchan nahi hoti..

zakham aise bhi hai jisaki koi dawa nahi hoti
kaise kare koi fariyaad, koi bhi dua, kamyaab nahi hoti...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:41:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer