Zakhm Barh Gaya Laikin ........................

by waheed_rose2004 on June 19, 2005, 06:24:45 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1321 times)
waheed_rose2004
Guest
Dard-E-Dil Hua Kam Hai Dard-E-Dil Sunane Se
Zakhm Barh Gaya Laikin Daikhne Dikhane Se

Jan-O-Dil Gaya Apna Aap Ki Ada Thehri Kiya Mila Tumhei Akhir Yoon Humein Rulane Se

Khirman-E-Muhabbat Pe Barq Se Chamakti Hai
Is Ko Bhi Raqabat Hai Jaise Aashiyane Se  

Raste Ke Pathar Ko Thokarein Hi Milti Hein
Kiya Gila Muqadar Se Kiyoon Gila Zamane Se
 
Her Satar Mein Qissa Hai Mere Piyar Ka Janaan  
Kaise Naam Kato Ge Ab Mera Fasane Se  

Zindagi Ki Rahoon Mein Salman Phir Akaila Hai
Kiya Mila Muhabbat Mein Kashtiyan Jalane Se ......................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EIK SE BARH KER EIK...!!! by Delicate_Doll in SMS , mobile & JOKES
EIK SE BARH KER EIK by Delicate_Doll in SMS , mobile & JOKES « 1 2 ... 6 7 »
2004 , GUZAR GAYA ! KISI KA KIA GAYA , OR KISI KA KIA GAYA ? by SADIQA JAWED in Shairi - E - Zindagi
Dil toe ameer hota he laikin ghareeb ka.. by mazHur in Ghazals
AAJ BARH KE ......TERE RUKHSAAR KA BOSA LE LU'N by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
thycreator
Guest
«Reply #1 on: June 19, 2005, 06:39:49 PM »
Wah Waheed bhai.....bahut khoob.......bahut dino ke bad suna apko humne...........

Dard e dil ka bayan sun ke phir se wahi yad aayi hai,
Wahi batein wahi mausam jisne humko di tanhai hai,
Bhulaye bhi bhala kaise hum iss dil ke zakhmon ko,
Aaj iss dost ne wahi bat jab phir se sunayi hai.....
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: June 20, 2005, 04:13:36 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Dard-E-Dil Hua Kam Hai Dard-E-Dil Sunane Se
Zakhm Barh Gaya Laikin Daikhne Dikhane Se

Jan-O-Dil Gaya Apna Aap Ki Ada Thehri Kiya Mila Tumhei Akhir Yoon Humein Rulane Se

Khirman-E-Muhabbat Pe Barq Se Chamakti Hai
Is Ko Bhi Raqabat Hai Jaise Aashiyane Se  

Raste Ke Pathar Ko Thokarein Hi Milti Hein
Kiya Gila Muqadar Se Kiyoon Gila Zamane Se
 
Her Satar Mein Qissa Hai Mere Piyar Ka Janaan  
Kaise Naam Kato Ge Ab Mera Fasane Se  

Zindagi Ki Rahoon Mein Salman Phir Akaila Hai
Kiya Mila Muhabbat Mein Kashtiyan Jalane Se ......................


wah waheed,bohat hi khoob  Usual Smile
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #3 on: June 20, 2005, 04:33:53 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Dard-E-Dil Hua Kam Hai Dard-E-Dil Sunane Se
Zakhm Barh Gaya Laikin Daikhne Dikhane Se

Jan-O-Dil Gaya Apna Aap Ki Ada Thehri Kiya Mila Tumhei Akhir Yoon Humein Rulane Se

Khirman-E-Muhabbat Pe Barq Se Chamakti Hai
Is Ko Bhi Raqabat Hai Jaise Aashiyane Se  

Raste Ke Pathar Ko Thokarein Hi Milti Hein
Kiya Gila Muqadar Se Kiyoon Gila Zamane Se
 
Her Satar Mein Qissa Hai Mere Piyar Ka Janaan  
Kaise Naam Kato Ge Ab Mera Fasane Se  

Zindagi Ki Rahoon Mein Salman Phir Akaila Hai
Kiya Mila Muhabbat Mein Kashtiyan Jalane Se ......................


Bahut khub..................
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #4 on: June 20, 2005, 06:13:32 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Dard-E-Dil Hua Kam Hai Dard-E-Dil Sunane Se
Zakhm Barh Gaya Laikin Daikhne Dikhane Se

Jan-O-Dil Gaya Apna Aap Ki Ada Thehri Kiya Mila Tumhei Akhir Yoon Humein Rulane Se

Khirman-E-Muhabbat Pe Barq Se Chamakti Hai
Is Ko Bhi Raqabat Hai Jaise Aashiyane Se  

Raste Ke Pathar Ko Thokarein Hi Milti Hein
Kiya Gila Muqadar Se Kiyoon Gila Zamane Se
 
Her Satar Mein Qissa Hai Mere Piyar Ka Janaan  
Kaise Naam Kato Ge Ab Mera Fasane Se  

Zindagi Ki Rahoon Mein Salman Phir Akaila Hai
Kiya Mila Muhabbat Mein Kashtiyan Jalane Se ......................



wah ! kia mila mohabat ma kashtiyan jalany sey ! ..khooolll
Logged
amrita
Guest
«Reply #5 on: June 20, 2005, 06:58:22 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Dard-E-Dil Hua Kam Hai Dard-E-Dil Sunane Se
Zakhm Barh Gaya Laikin Daikhne Dikhane Se

Jan-O-Dil Gaya Apna Aap Ki Ada Thehri Kiya Mila Tumhei Akhir Yoon Humein Rulane Se

Khirman-E-Muhabbat Pe Barq Se Chamakti Hai
Is Ko Bhi Raqabat Hai Jaise Aashiyane Se  

Raste Ke Pathar Ko Thokarein Hi Milti Hein
Kiya Gila Muqadar Se Kiyoon Gila Zamane Se
 
Her Satar Mein Qissa Hai Mere Piyar Ka Janaan  
Kaise Naam Kato Ge Ab Mera Fasane Se  

Zindagi Ki Rahoon Mein Salman Phir Akaila Hai
Kiya Mila Muhabbat Mein Kashtiyan Jalane Se ......................


TOOO GOOOOOOOOD!!
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #6 on: June 20, 2005, 08:39:32 AM »
bahut ache waheed

li talashi jabhi bhi guzre hue lamho ne meri
atka hua paya mujhe usi umeed per meri

derd tha kisi aur  ka lekin tees thi meri
karti rahi jo intezaar wo aankh thi meri

gungunati patjhad mili dali per do patte liye
mousam ko wo jode rahi her shaakh se meri

de raha tha chaav mujhko khud mera hi saya
ki roshni bunti rahi nayi parchaiyan meri

ruke hue jharne mile kayi aankho me mujhko
ki kashtiyaan dubti rahi kinaro per meri
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: June 20, 2005, 09:07:38 AM »
Quote from: "samnoj"
bahut ache waheed

li talashi jabhi bhi guzre hue lamho ne meri
atka hua paya mujhe usi umeed per meri

derd tha kisi aur  ka lekin tees thi meri
karti rahi jo intezaar wo aankh thi meri

gungunati patjhad mili dali per do patte liye
mousam ko wo jode rahi her shaakh se meri

de raha tha chaav mujhko khud mera hi saya
ki roshni bunti rahi nayi parchaiyan meri

ruke hue jharne mile kayi aankho me mujhko
ki kashtiyaan dubti rahi kinaro per meri


thanx alot...........nidhi....thy.....amrita........... ..sadiqa  jawed......aarzuu......sam...............

wonderful  reply  thy..............sam..........kya  jabardast  likhe  ho bhai  log  dil  khus  ho gaya..........dono  logon  ki reply..................

dil ab  aas  lagi hai shayad  laut  aaye  woh
yeh dhuan  dil  mein utha hai jalne ki nishani hai
tum apne   rung  nahao hum apni  mauj  udayen
wah  baat  bhool  bhi jao jo aani  jaani  hue..........
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #8 on: June 20, 2005, 09:11:00 AM »
thanx n bahut ache waheed

derd hi derd bher diya dil ke her taar me
jaate hue loota hai hume mousam-e-bahar ne
Logged
sanya310
Guest
«Reply #9 on: June 20, 2005, 09:15:36 AM »
bohot achhe waheed and sam..!!!                                                                 ..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: June 20, 2005, 09:29:43 AM »
thanxxxxxxxxxxx   alot sam.............sanya..........mamu  ki  dost...tongue3

bahot  khoob  sam...............

dekh  mere  jakham ab  bhi  bhare  nahi  hai
ab main chahta  hoon koi aakar jala de mujhko....
Logged
amrita
Guest
«Reply #11 on: June 20, 2005, 09:35:20 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Dard-E-Dil Hua Kam Hai Dard-E-Dil Sunane Se
Zakhm Barh Gaya Laikin Daikhne Dikhane Se

Jan-O-Dil Gaya Apna Aap Ki Ada Thehri Kiya Mila Tumhei Akhir Yoon Humein Rulane Se

Khirman-E-Muhabbat Pe Barq Se Chamakti Hai
Is Ko Bhi Raqabat Hai Jaise Aashiyane Se  

Raste Ke Pathar Ko Thokarein Hi Milti Hein
Kiya Gila Muqadar Se Kiyoon Gila Zamane Se
 
Her Satar Mein Qissa Hai Mere Piyar Ka Janaan  
Kaise Naam Kato Ge Ab Mera Fasane Se  

Zindagi Ki Rahoon Mein Salman Phir Akaila Hai
Kiya Mila Muhabbat Mein Kashtiyan Jalane Se ......................


zakhm toh fir bhi bhar jaate hai
nishaan wahi chod jaate hain

na chahate hue bhi har pal humein
beetien lamho ki yaad dilate hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: June 20, 2005, 09:45:47 AM »
Quote from: "amrita"
Quote from: "waheed_rose2004"
Dard-E-Dil Hua Kam Hai Dard-E-Dil Sunane Se
Zakhm Barh Gaya Laikin Daikhne Dikhane Se

Jan-O-Dil Gaya Apna Aap Ki Ada Thehri Kiya Mila Tumhei Akhir Yoon Humein Rulane Se

Khirman-E-Muhabbat Pe Barq Se Chamakti Hai
Is Ko Bhi Raqabat Hai Jaise Aashiyane Se  

Raste Ke Pathar Ko Thokarein Hi Milti Hein
Kiya Gila Muqadar Se Kiyoon Gila Zamane Se
 
Her Satar Mein Qissa Hai Mere Piyar Ka Janaan  
Kaise Naam Kato Ge Ab Mera Fasane Se  

Zindagi Ki Rahoon Mein Salman Phir Akaila Hai
Kiya Mila Muhabbat Mein Kashtiyan Jalane Se ......................


zakhm toh fir bhi bhar jaate hai
nishaan wahi chod jaate hain

na chahate hue bhi har pal humein
beeti baatein yaad dilate hain..


very  nice  amrita........................

Ankhon me uter ker dheere dheere purane gham
Palkon pe nanhe nanhe sitare piro gae
Ab bachpane ki neend to ek khwab ho gai
Wo din kanha ke raat huee aour so gaye........................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #13 on: June 20, 2005, 10:11:10 AM »
nice work all.

"teri dil ki baat me kuch aise pal mujhe nazar aaye,
  jo kabhi kisi ne mujhe thhe samjhaaye,
  naadan thhi main jo kuch samajhna na chahti thhi,
  kisi ke pyaar me bas doobna hi doobna chahti thhi."
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: June 20, 2005, 10:19:05 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
nice work all.

"teri dil ki baat me kuch aise pal mujhe nazar aaye,
  jo kabhi kisi ne mujhe thhe samjhaaye,
  naadan thhi main jo kuch samajhna na chahti thhi,
  kisi ke pyaar me bas doobna hi doobna chahti thhi."


wow   nidhi ....................kya  khoob  likhi  ho.........very nice  dost.........

najaney dil main terey kya jazbaat hain ab
acha hi kya tha main ney apni dosti ke liye

ek wohi hasti thee mehwarey zindagi “Nidhi”
taras gaya hoon main us sehar ki roshni ke liye.......................
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:55:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer