Zaroori to Naheen....!!!

by *Anjum* on March 26, 2006, 03:21:41 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Author  (Read 7447 times)
*Anjum*
Guest
Unko bhi hum se waisi hi mohabbat ho zaroori to nahi
ek si dono ki halath ho zaroori to nahi

dil ki chahat to kai khwab jaga deti hain
haan magar saath mein kismat bhi ho zaroori to nahi

meri tanhaiyan karti hain jinhe yaad sada
unko bhi meri zaroorat ho zaroori to nahi

muskurane se bhi hota hai bayan qham e dil
mujh ko rone ki bhi aadath ho zaroori to nahi...!!!
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #1 on: March 27, 2006, 09:32:58 AM »
SubhanaALLAH Majid..ur post is too good
keep posting
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #2 on: March 27, 2006, 09:36:03 AM »
MERI NAZAR SE..!

Meri nazar se kabhi jo ek dafa dekho
apne liye pyar hi pyar chahat to dekho

tum ko sab batane mein lagegi muddat mujhe
ho sake to har lamhe ko mehsoos kar ke to dekho

dhoonti hai har taraf dil ki bekarari jisse
aey dil! main use kidhar kidhar ko dekho

nahi chaahiye apni chahat ka koi sila
bas teri nazar mein apne aap ko dekho..
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: March 27, 2006, 10:34:29 AM »
Bohat khoob Anjum n majid.
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: March 27, 2006, 10:35:32 AM »
very very nice Anjum n Majid...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: March 27, 2006, 10:48:10 AM »
Quote from: "*Anjum*"
Unko bhi hum se waisi hi mohabbat ho zaroori to nahi
ek si dono ki halath ho zaroori to nahi

dil ki chahat to kai khwab jaga deti hain
haan magar saath mein kismat bhi ho zaroori to nahi

meri tanhaiyan karti hain jinhe yaad sada
unko bhi meri zaroorat ho zaroori to nahi

muskurane se bhi hota hai bayan qham e dil
mujh ko rone ki bhi aadath ho zaroori to nahi...!!!


bahjot  khoob Anjum......  Majid
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #6 on: March 27, 2006, 01:21:33 PM »
Thnx nidhi..nikki & waheed ji
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #7 on: March 27, 2006, 01:34:32 PM »
Waah waah....

Quote from: "majid"


tera tasavvur jab-jab zahen me aata hai.
dil ka har zakhm tujhe dilse dua deta hai.

madhoshi si chati hai teri aankhon me jhank kar
tu surme me apne kya-kya mila deta hai.

mera humdum saath lekar chalta hai baharen,
jis baag se guzarta hai har phool khila deta hai.

apna hi aaina hame pahchan nahi pata,
waqt insan ko kya se kya bana deta hai.

ho laakh badgumaan par ye inayat hai uski,
anjane me hi sahi aankhon se pila deta hai.

jo pal dete the kabhi mere dil ko sukoon,
wo lamha hi ab in aankhon ko rula deta hai.

kya takraar karoon apne muhbole khuda se,
mera mahboob dozakh ko hi jannat bata deta hai.
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #8 on: March 27, 2006, 01:37:30 PM »
Zindagi ki raah mein aise makkam aane lage
chod di manzil to manzil ke payaam aane lage

ek woh din tha ke apne bhi churate the nazar
ajanabi mehfil se bhi ab to salaam aane lage

Aey mohabbat yeh na ho unki zabaan se kal kahi
woh kisi ka naam le aur mera naam aane lage

aaj kal rehti hai sab ko meri ghazalon ki talash
ghum ke afsane bhi 'Anjum' mere kaam aane lage
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #9 on: March 27, 2006, 06:31:53 PM »
Quote from: "*Anjum*"
Zindagi ki raah mein aise makkam aane lage
chod di manzil to manzil ke payaam aane lage

ek woh din tha ke apne bhi churate the nazar
ajanabi mehfil se bhi ab to salaam aane lage

Aey mohabbat yeh na ho unki zabaan se kal kahi
woh kisi ka naam le aur mera naam aane lage

aaj kal rehti hai sab ko meri ghazalon ki talash
ghum ke afsane bhi 'Anjum' mere kaam aane lage



bahut khoob likha hai anjum ji
hum to kayal ho gaye
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: March 27, 2006, 07:16:48 PM »
wonderful  Anjum
Logged
Raj_tanha
Guest
«Reply #11 on: March 28, 2006, 05:55:59 AM »

Nice Anjumji Keep it up......

Yah bhi bata de ki tujhe dil se bhulao kaise
Teri yadon ke chirago ko bujhau kaise
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #12 on: March 28, 2006, 01:21:35 PM »
Thnx..to all of u
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #13 on: March 28, 2006, 01:22:57 PM »
Waah waah.. Majid ji aap to chaa rahe ho!
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #14 on: March 28, 2006, 01:25:25 PM »
Chaaha to bahut tha lekin woh mila hi nahi
laakh koshish ki magar yeh faasla mita hi nahi

na jaane zamane ne majboor is kadar kar diya
ke woh meri kisi sada par tehra hi nahi

main tamaam koshishon ke bawajauud haar gayi
woh use mil gaya jisne uska maanga hi nahi

har ek se poocha tere na milna ka sabab
har ek ne kaha woh tere liye bana hi nahi...
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:40:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer