Zaroori to Naheen....!!!

by *Anjum* on March 26, 2006, 03:21:41 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Author  (Read 7413 times)
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #15 on: March 28, 2006, 08:00:36 PM »
Quote from: "*Anjum*"
Chaaha to bahut tha lekin woh mila hi nahi
laakh koshish ki magar yeh faasla mita hi nahi

na jaane zamane ne majboor is kadar kar diya
ke woh meri kisi sada par tehra hi nahi

main tamaam koshishon ke bawajauud haar gayi
woh use mil gaya jisne uska maanga hi nahi

har ek se poocha tere na milna ka sabab
har ek ne kaha woh tere liye bana hi nahi...


hum to wahi the magar aap ruke hi nahi
dekhte ger humko to khud hi jaan jate

 ye saanse yuhi chalti rahi nahi aur kadam kabhi thake hi nahi
aankhe dhoondhti rahi aapko hi lekin aap kahin mile hi nahi

khuda ke naam per bhi aapka jikar karte rahe aur aap zehan se mite hi nahi
haatho ki lakiron ko bhi kaat dala ki  kahin aap unme chhupe to nahi
duniya kehti rahi bhool ja sanam ka naam lekin hum kehte rahe
to kya hua sanam hamare nahi magar  kya hum bhi sanam ke nahi?
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #16 on: March 28, 2006, 08:04:38 PM »
Quote from: "*Anjum*"
Unko bhi hum se waisi hi mohabbat ho zaroori to nahi
ek si dono ki halath ho zaroori to nahi

dil ki chahat to kai khwab jaga deti hain
haan magar saath mein kismat bhi ho zaroori to nahi

meri tanhaiyan karti hain jinhe yaad sada
unko bhi meri zaroorat ho zaroori to nahi

muskurane se bhi hota hai bayan qham e dil
mujh ko rone ki bhi aadath ho zaroori to nahi...!!!


wah wah bahut achaa Anjum......issa read kar ka aisa lagaa jaise tum na mera dil ki baat lafzo main likh dee.........and WELCOME TO YOINDIA DEAR!!

well done others!!!

KEEP IT UP U ALL:)
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #17 on: March 29, 2006, 07:30:43 AM »
thnx..Nisha

izharkeintezar mein good reply janab
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #18 on: March 29, 2006, 07:35:20 AM »
Saf lage hain mujhe mitane ko
jaane kya hogaya zamane ko

chand din to sukoon se katne do
aagaye phir mujhe rulane ko

doston phir woh raath jaayenge
mat rulao mere fasane ko

sochiye haal mera kya hoga
aap kehte hai aake jaane ko
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #19 on: March 29, 2006, 07:37:03 AM »
Bhoot khoob Anjum..n all...

Anjum..welocme 2 yoindia...
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #20 on: March 29, 2006, 07:51:56 AM »
thnx..salma
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #21 on: March 30, 2006, 06:22:37 AM »
Quote from: "*Anjum*"
thnx..Nisha

izharkeintezar mein good reply janab


nisha not bad name, but my name is isha yaar.....and i prefer that;)
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #22 on: March 30, 2006, 06:47:16 AM »
Quote from: "*Anjum*"
Unko bhi hum se waisi hi mohabbat ho zaroori to nahi
ek si dono ki halath ho zaroori to nahi

dil ki chahat to kai khwab jaga deti hain
haan magar saath mein kismat bhi ho zaroori to nahi

meri tanhaiyan karti hain jinhe yaad sada
unko bhi meri zaroorat ho zaroori to nahi

muskurane se bhi hota hai bayan qham e dil
mujh ko rone ki bhi aadath ho zaroori to nahi...!!



This One is repeated i am Quite sure..mujhe naam theek se yaad nahi kisne likha hai.....but this one i hav already read sumwhere at yoindia on my earlier days here......
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #23 on: March 30, 2006, 07:08:54 AM »
very  nice  Anjum....................
Logged
phoenix
Guest
«Reply #24 on: March 30, 2006, 06:52:58 PM »
to gud majid ji
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #25 on: March 31, 2006, 06:35:28 AM »
Majid ji....bahut Khoob
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #26 on: March 31, 2006, 06:52:37 AM »
Yun hi shahar e arzu se lautna kaisa laga
ab kaho tootna aur bikharna kaise laga

bangaya na rog aakhir usko kho dena ka ghum
har kisi ke chehre mein usko jhaankna kaisa laga
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #27 on: March 31, 2006, 01:39:42 PM »
waah Majid ji...good reply
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #28 on: March 31, 2006, 01:39:58 PM »
muddat se mera dil hai ke aabaad nahi hain
honthon pe magar aaj bhi faryad nahi hain

aata hai khayalon mein mere ek hi chehra
bas is ke siwa kuch bhi yaad nahi hain

phirte hai sabhi log yahan sehme huye se
is shahar mein jaise koi aazaad nahi hain

ek lehar si uthe hai aaj bhi dil mein
humein is lehar ke uthne ka sabab yaad nahi hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #29 on: March 31, 2006, 01:53:18 PM »
wonderfull  Anjum.....Mazid
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:20:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer