Zaroori to Naheen....!!!

by *Anjum* on March 26, 2006, 03:21:41 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Author  (Read 7424 times)
*Anjum*
Guest
«Reply #30 on: March 31, 2006, 02:01:13 PM »
thnx..waheed
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #31 on: April 02, 2006, 12:48:18 PM »
Jab bhi shamma e wafa jalayi hai
koi aandhi zaroor aayi hain

do hi pal pyar ke naseeb huye
ek mulakaat ek judai hain

aey mohabbt tera khuda haafiz
is taraf dil udhar khudai hain

apna dastoor tu nibha duniya
humne apni kasam nibhayi hain...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #32 on: April 02, 2006, 02:36:58 PM »
wonderful  Anjum..............very  nice  wordings
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #33 on: April 03, 2006, 07:46:55 AM »
Thnx..Waheed n Majid
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #34 on: April 03, 2006, 07:50:47 AM »
Silsila wafaon ka ek naya hi chalaya maine
na use yaad hi rakha na hi bhulaya maine

dard to tha magar khud ko sambhale rakha
zabt ke ahad ko har haal mein nibhaya maine

mila woh raah mein to ek pal ke liye ruka tha magar
haal na usne hi poocha na hi bataya maine....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #35 on: April 03, 2006, 08:04:18 AM »
Wah Bahoot Ache Anjum Ji,..

Haal Dekhhar Hamara Dushmano Ne Bhi Ansoon Bahaaye,..
Mera Haal Poochne Phir Kabhi Tumna Aaye,..

Na Jaane Aisi Kya Khata Hui Humse Anjaane Mein,.
Jis Ke Liye Tumne Mere Saare Nishaan Mitaaye,..

Kyun Diya Tumne Aise Zakham Mere Dil Ko,..
Ke Ab Tak Hum Chain Se Rehna Paaye,..

Maine To Manga Tha Appse Do Pal Khushion Ke,,..
Aur Apne Hume Khoon Ke Aansoon Rulaaye,..

Naa Jaane Kyun Aisi Halat Ki Apne Hamari,..
Jis Se Saare Mohabbat Karne Waale Sharmaaye,..

____________________-Azeem-_________________
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #36 on: April 04, 2006, 07:04:35 AM »
Good reply Azeem...thnx majid
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #37 on: April 04, 2006, 07:07:33 AM »
Mit gaya jab mitanewala phir salaam aaya to kya
dil ki barbadi ke baad unka payaam aaya to kya

choot gayi nabze umeedien denewali hain jawab
ab udhar se namabar leke payaam aaya to kya

aaj hi mitna tha aey dil hasrat e deedar mein
tu meri nakaamiyon ke baad kaam aaya to kya..
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: April 04, 2006, 10:40:30 AM »
Anjum...Raj..Majid..Izhaar... and Janasheen...bohot khhob !!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: April 04, 2006, 10:43:08 AM »
Quote from: "nirbhay"
Quote from: "*Anjum*"
Unko bhi hum se waisi hi mohabbat ho zaroori to nahi
ek si dono ki halath ho zaroori to nahi

dil ki chahat to kai khwab jaga deti hain
haan magar saath mein kismat bhi ho zaroori to nahi

meri tanhaiyan karti hain jinhe yaad sada
unko bhi meri zaroorat ho zaroori to nahi

muskurane se bhi hota hai bayan qham e dil
mujh ko rone ki bhi aadath ho zaroori to nahi...!!



This One is repeated i am Quite sure..mujhe naam theek se yaad nahi kisne likha hai.....but this one i hav already read sumwhere at yoindia on my earlier days here......


Long back I wrote a poem....with the suffix - Zaroori to nahin..!!! Unfortynately I dont have the record neither i can search my posts...but i remember only thing common was "Zaroori to nahin" !!! Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: April 05, 2006, 06:25:08 AM »
Bahoot Ache Anjum And Majid,...

Hum To Mitke Bhi Tumhe Salam Denge,..
Teri Har Khata Ko Apna Naam Denge,..

Hum Khud Zeher Ghamon Ka Peeyenge,..
Phir Bhi Tujhe Khushi Ka Jaam Denge,..

Tu Kabhi Na Samajh Ke Tu Tanha Hai Duniya Mein,..
Teri Mehfil Sajayenge Hum Khud Apna Ghar Jala Kar,.
Aur Us Roshni Ko Shamaa Ka Naam Denge,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #41 on: April 05, 2006, 07:04:27 AM »
Saare Ilzaam Mohabbat Ke Hum Apne Sar Lenge,..
Tujhe Kisi Haal Mein Badnaam Na Hone Denge,..
Wo Roshni Kis Ko Chahiye Jis Se Kisi Ka Dil Dukha Ho,..
Gar Hamara Dil Toot Bhi Gaya Tumhe Roshni Dete Dete,..
Tumhe Iska Ehsaas Bhi Hum Hone Na Denga,..
Is Kadar Hum Tumse Mohabbat Ka Fars Adaa Karenge,.[/code]
Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: April 05, 2006, 10:52:49 AM »
Majid and Janasheen...good work !!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: April 05, 2006, 01:44:03 PM »
Shukriya Talat Ji,..

Ye Ashq Jo Mere Behte Hain Teri Wafaa Ki Nisaani Hai,..
Gar To Samjh Ise To Anmol Hai,Nahi To sirf Paani hai,..
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #44 on: April 06, 2006, 09:22:39 AM »
Waah..Waah..very nice Azeem..good going
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:34:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer