Zaroori to Naheen....!!!

by *Anjum* on March 26, 2006, 03:21:41 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Author  (Read 7425 times)
*Anjum*
Guest
«Reply #45 on: April 06, 2006, 09:25:52 AM »
Rukhsat huva to baat meri maan kar gaya
jo uske paas tha woh mujhe daan kar gaya

Bichra kuch is ada se ke rut hi badal gaya
ek shaks saare shehar ko veeran kar gaya

Dilchasp waakiya hain ke kal ek azeez dost
apne mufadat par mujhe kurbaan kar gaya

Kitni sudhar gayi hain judia mein zindagi
haan woh jafa jo mujh pe ehsaas kar gaya

Jo baat baat par kehta tha mujh ko JAAN
woh shaks aakhir mujh ko BE JAAN kar gaya..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #46 on: April 06, 2006, 02:26:49 PM »
Quote from: "*Anjum*"
Waah..Waah..very nice Azeem..good going


Apni Aankhon Mein Unki Yaadon Ke Taare Hain,..
Jab Door Hain Wo Kaise Kahoon Wo Hamare Hain,..

Hamari To Kashti Doob Rahi Hai Sahil Par,..
Unke Aas Paas To Bahoot Kinare Hain,..

Hum Toot Gaye Unse Bichardne Ke Baad,..
Unke Liye To Har Kadam Par Sahare Hain,..

Jab Thaam Liya Tumne Gair Ka Daman,..
Kaise Kahein Ke Hum Tumhare Hain,,..

_____________-Azeem-______________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #47 on: April 06, 2006, 03:20:44 PM »
Nice Majid Bhai,..

Is Tarah Loota Unhone Hume Ke Aaj Bhi Hum Kangaal Hue Baithe Hain,,..
Na Jaane Kyun Loota Unhone Hume Jab Humne Unhe Pyaar Ki Daulat Di,..
Shayd Kahin Hamare Pyaaaar Mein Hi Kami Thi Hogi,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: April 06, 2006, 03:25:42 PM »
good one majid, nice Jsheen!!!


kab kahan kon kiske pass hota hai
apni yaandon ka hi bas sath hota hai
do pal ko dekar sath chorne wale
dil tootane ka dard, umar bhar ashaqo mai bhigota hai!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #49 on: April 06, 2006, 03:29:10 PM »
Shukriya Pooja Ji Aur Majid Bhai,..

Hume Is Baat Par Aitraaz Nahi Ke Unhone Humse Sirf Do Pal Ki Wafaa Nibhayi,..
Hum To Ise Baat Par Apni Saari Zindagi Bita Denge,..
Ke Do Pal Ki Sahi Unhone Humse Wafa Nibhayai,..
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #50 on: April 07, 2006, 12:22:45 PM »
Waah..Waah..gr8 going..go yaara
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #51 on: April 07, 2006, 12:27:07 PM »
Unse humein kuch kaam nahi hain
dil ko magar aaraam nahi hain

meri tabahi mera mukaddar
aap pe kuch ilzaam nahi hain

ishq hain aisa aalam is mein
subah nahi hain shaam nahi hain

hum ko na apna kehke pukaro
yeh to humara naam nahi hain...
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #52 on: April 07, 2006, 12:42:45 PM »
Shukriya Majid

Quote from: "majid"
wah wah anjum ji kya likha hai yaar good
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #53 on: April 08, 2006, 12:28:58 PM »
palkon pe aansuon ko sajaya na jaa saka
usko bhi dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh dil mera
ek zakhm bhi usko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood
aankhon mein aansuon ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi mein aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayal se kahi usko dukh na ho
humse to haal e ghum bhi sunaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye
magar faasla aane ka mitaya na jaa saka..
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #54 on: April 09, 2006, 07:23:59 AM »
Thnx majid..

Bheegi huyi aankhon ka yeh manzar na milega
ghar chod ke mat jao kahi ghar na milega

aansu ko kabhi uska qatra na samjhna
aise tumhe chaahat ka samandar na milega

is khwaab ke mahaul mein bekhwaab hai aankhien
bazaar mein aisa koi zawar na milega

yeh soch lo ab aakhri saaya hain mohabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #55 on: April 09, 2006, 07:48:06 AM »
anjum ji bahut bahut khoob

YAAR TERE YAAR KA, GHAR-BAAR SOONA HAI,
JAISE KISI BEWA KA, PARIWAAR SOONA HAI.....

BUJHA HUA CHAND, BENOOR SAB TARE,
JAISE KHUDA KA DARBAAR SOONA HAI.....

NA GULO ME NIKHAR, NA VADIYON ME RANGAT,
JAISE KOI MOSAM-E-BAHAR SOONA HAI....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #56 on: April 09, 2006, 08:06:17 AM »
bahto   khoob  Anjum.  vicky..........Majid
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #57 on: April 09, 2006, 08:09:44 AM »
very nice Vicky..thnx Waheed
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #58 on: April 10, 2006, 02:32:55 AM »
Bohat khoob Anjum & All....
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #59 on: April 11, 2006, 12:20:10 PM »
thnx..to all for ur appreciation
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:48:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer