Zaroori to Naheen....!!!

by *Anjum* on March 26, 2006, 03:21:41 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Author  (Read 7422 times)
*Anjum*
Guest
«Reply #60 on: April 12, 2006, 11:31:18 AM »
Teri yaadon ke bina koi lamha guzara nahi
ek pal nahi jab tumhe humne pukara nahi

yeh naksh e dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aap ka ghum dil se utara nahi

tere bin yun kat rahi dariya e zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai kinara nahi

kar raha hai jisne saare ghar mein ujala
aansu hai mera yeh koi toota huva taara nahi

kis ko gale laga ke roye na muras hum
is bhari duniya mein apna koi sahara nahi

mareez e ishw hai tamanna hai khudkhushi ka ab
gehre hai dil ke zakhm aur koi chaara nahi

woh aake ponch de aansu humari aankhon se
itna bhi humare haq mein naseeb humara nahi...!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #61 on: April 12, 2006, 02:38:07 PM »
Bohat khoob Anjum...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: April 12, 2006, 02:50:25 PM »
good one Anjum
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #63 on: April 13, 2006, 09:22:11 AM »
Good work..majid..thnx for sharing
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #64 on: April 13, 2006, 09:24:35 AM »
Kaun dastak dil pe dene aaya hain
yaad hain teri ya ghum ka saaya hain

apni kismat hi rakeebon jaisi hain
aaj kyun shikwa zuban pe aaya hain

woh humare na sahi hum unke hain
humne aksar dil ko yun behlaya hain

jis ki thi chaahat woh mera na huva
jo naseebon mein likha tha paaya hain

maan lo jo hain mukaddar mein likha
zindagi ne bas yehi samjhaya hain...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #65 on: April 13, 2006, 09:58:06 AM »
wah  bahot  khoob  Anjum....... Majid
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #66 on: April 13, 2006, 01:37:36 PM »
bahut khoob anjum ji and majid ji....
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #67 on: April 16, 2006, 07:30:40 AM »
Humesha muskurake aansuon ko chupaya
ghum ko chupane ka yehi raasta nazar aaya

kis kis ko batate behte ashkon ka sabab
ke dard e dil,dil mein kisne jagaya

mehfilon mein kahi bhi maza na raha
rakha dil pe pathar to khud ko sajaya..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #68 on: April 16, 2006, 07:46:04 AM »
pathar dil ka, dil ko roj rulata hai
mana ki, duniyan ki najar nahi atta hai

dil, dil mai hi tarap kar rah jaata hai
tera khayal roj dil ko satata hai

mana ki hum kabhi tere najdik aa na sake
chaha jo is dil se wo kabhi paa na sake

yaad rakhna, ek din hum hi najar ayegy
yah alag baat hai, duniya mai tab tak na jee payegy
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #69 on: April 16, 2006, 11:53:52 AM »
Quote from: "Pooja"
pathar dil ka, dil ko roj rulata hai
mana ki, duniyan ki najar nahi atta hai

dil, dil mai hi tarap kar rah jaata hai
tera khayal roj dil ko satata hai

mana ki hum kabhi tere najdik aa na sake
chaha jo is dil se wo kabhi paa na sake

yaad rakhna, ek din hum hi najar ayegy
yah alag baat hai, duniya mai tab tak na jee payegy


Excellent..Pooja..
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #70 on: April 16, 2006, 11:55:00 AM »
Quote from: "majid"
Saza-e-Ishq de de abb koi Sunvai na de
Doob jane de kashti ko koi Rehnumai na de

Na behne doon chhupa loon ye Ashq apne
Par usse chhupaoon kaise jo Dikhai na de

Hansi mein chhupane ki Koshish hai magar
Aahon ka shor hai kaise phir Sunai na de

Tere dar pe aayi hai "wafa" fariyad karne
Na de sacha pyar magar itni Bewafai na de

Gulshan ko ho jaye phir Sehra se pyar
Ya Khuda sehra ko itni bhi Rulai na de


majid...Simply Superb
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #71 on: April 16, 2006, 02:57:37 PM »
very  nice  Majid.......... Pooja sis.....  Anjum.........
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #72 on: April 18, 2006, 10:03:14 AM »
Tujh se dushmani meri dushmani bangayi
tanhai aur ruswayi meri zindagi bangayi

ke tujhe khodena ka darr tha jis se sile the honth mere
tune katl kiya mera woph bhi ek ada bangayi

tere ishq ki jo khushbu dil me chupa ke rakhi thi
bedard maut aayi aise ki har khushbu zehar bangayi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #73 on: April 18, 2006, 10:15:38 AM »
Quote from: "*Anjum*"
Tujh se dushmani meri dushmani bangayi
tanhai aur ruswayi meri zindagi bangayi

ke tujhe khodena ka darr tha jis se sile the honth mere
tune katl kiya mera woph bhi ek ada bangayi

tere ishq ki jo khushbu dil me chupa ke rakhi thi
bedard maut aayi aise ki har khushbu zehar bangayi


Very Nice Anjum ji....Majid bhai and Pooja ji... Usual Smile
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #74 on: April 18, 2006, 10:39:04 AM »
thnx...badnaam shayar ji
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:31:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer