Zaroori to nahi...(NM)

by maya01 on April 29, 2008, 02:41:00 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1069 times)
maya01
Guest
Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye zaroori to nahi... by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
YEH ZAROORI TO NAHI.......... by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zaroori toh nahi by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
***yeh zaroori to nahi*** by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tumse kaho...Zaroori to nahi by RamSagar in Ghazals
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 29, 2008, 03:32:54 PM »
Bahot Khoob Maya JI,.
Nice Collections Yaar,.
 Laughing hard
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: April 30, 2008, 05:25:14 AM »
Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

waoooooooo maya ji kya khoob bayan ki aapne dastan-e-mohobbat very touching maya ji


yu tu bhatakta hai har koi manjil ki talaash mei
par har raah ruke manzil par ye zaruri to nahi

karte hain ham jinhe pyaar apni zindgi se jyada
ho utna hi unhe hamse pyaar ye jaruri to nahi

hota hai jo aalam raat mein chand sang tanhai ka
wahi mazaa ho mehfilon mei b jaruri to nahi

na aaye sagar mei uchal to koi gam nahi
par har sawan pyaas bhuja de sagar ki ye jaruri to nahi

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 30, 2008, 11:35:48 AM »
Nice One Kuashik Ji,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 06:15:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer