ZARRAA --- MERE AFSAANE KE BAAD

by zarraa on May 31, 2014, 12:27:40 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 990 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
hasratoN ko kab qaraar aataa sila paane ke baad
shamma bas jaltee hi reh jaatee hai parwaane ke baad

wo siyah gesoo wo taabindaaN* jabeeN* wo surkh lab
tere sab jalwe ayaaN* hote mere jaane ke baad

jaaN nisaaree ki mohabbat meiN n de meree misaal
ishq koyee kyooN karega mere afsaane ke baad

hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad

kis tarah mushtaaq*-e-nairaNg*-e-wafa hooN har dafaa
naam par ahd-e-wafa ke maiN daghaa khaane ke baad

is se achchha tha guzartee shaam shaam-e-hijr si
shab ko hum par kya naheeN guzree tere jaane ke baad

chhorh kar mujh ko sar-e-reh yaar mere chal diye
koyee mayykhaane ke pehle koyee mayykhaane ke baad

sirf kar paimaaish*-e-baadaa* hi is se rind tu
wus'at*-e-gham naap mat ek ek paimaane ke baad

jaam tu sab ko hi degee dekhna saaqee hai bas
kis ko tu phusla ke degee kis ko tarsaane ke baad

imtehaaN gar aur hoN to un ka bhi de do pataa
aasraa koyee to ho had se guzar jaane ke baad

hum ne socha tha ke ye hungaama-e-mehfil hai par
kam n ye shorish* huwee khalwat* meiN bhi aane ke baad

kaash ye hota sitamgar ko kiya hota muaaf
bardh gaya dard aur hum-dardoN ke samjhaane ke baad

deed meiN yaksaaN* gham-e-jaanaaN gham-e-dauraaN meree
farq kya rehta gham-e-insaaN ko apnaane ke baad

"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree  maanind*-e-abr*
ik siyah dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad


- zarraa


*
tabindaaN =shining
jabeeN = forehead
ayaaN = evident
shaane = shoulder
mustaaq = eager
nairaNg = enchantment
paimaaish = measurement
baadaa = wine
wus'at = extent
shorish = disturbance
khalwat =privacy
yaksaaN = identical
maanind = like
abr = cloud
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Baad... by Aryaan in Shayri-E-Dard
Mere Baad... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Baad Mere by kishanpr in SMS , mobile & JOKES
' Mere Baad Phool Na Rakhna Mere Mazaar Par...! ' by Amanush... in Shayri-E-Dard
nazm : mere mehboob n ab maaNg suboot-e-ulfat (zarraa) by zarraa in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #1 on: May 31, 2014, 12:49:54 PM »
वाह....वाह.....वाह.....

बेहतरीन ग़ज़ल.....

ढेरों ढेरों दाद और साथ में एक RAU भी कुबूल करें.....
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: May 31, 2014, 05:55:53 PM »
Waah Zarra saheb . eik baar phir aap ne Bazam ko eik khubsurat kalaam se  nawaza hai . Sabhi ashaar behad khubsurat hai. Tah e dil se daad pesh hai.
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: May 31, 2014, 06:32:35 PM »
 Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah kafi nayaab peshkash dheroooooooooo daaaaaaaaaaaaaddddddd
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #4 on: June 01, 2014, 01:26:50 AM »
too good zarra ji
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #5 on: June 01, 2014, 02:03:00 PM »
Waah waah.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #6 on: June 01, 2014, 04:05:48 PM »
 Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
bahut khoob zarra ji daaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaad
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #7 on: June 01, 2014, 05:55:09 PM »
वाह....वाह.....वाह.....

बेहतरीन ग़ज़ल.....

ढेरों ढेरों दाद और साथ में एक RAU भी कुबूल करें.....

Paizrai ka tah e dil se shukrguzaar hooN Amit ji
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #8 on: June 01, 2014, 08:19:31 PM »
wah wah, dhero daad
Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: June 01, 2014, 08:32:41 PM »
hasratoN ko kab qaraar aataa sila paane ke baad
shamma bas jaltee hi reh jaatee hai parwaane ke baad
ek proverb hai ki mujhe kya chahiye to sky is the limit per yaqeen maano agar sky tak bhi pahunch gaya insaan to he will try to peep across aap ne bil kuch authentic baat kahi hai matle ke hawaale se icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
wo siyah gesoo wo taabindaaN* jabeeN* wo surkh lab
tere sab jalwe ayaaN* hote mere jaane ke baad
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))main darti hoon kahin tum behosh na ho jaao
jaaN nisaaree ki mohabbat meiN n de meree misaal
ishq koyee kyooN karega mere afsaane ke baad
haan ji ishq mohabbat pahle jaan lewaa hua karte the aaj ki duniya mein iska maane badal gaya hai icon_flower icon_flower icon_flower!
hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad
aab to wahi baat ho gayi ki makkhi ko talwaar se maarne chale aur maalik ki jaan chali gayi Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
kis tarah mushtaaq*-e-nairaNg*-e-wafa hooN har dafaa
naam par ahd-e-wafa ke maiN daghaa khaane ke baad
once bitten twice shy if not then you are space out icon_flower icon_flower icon_flower!
is se achchha tha guzartee shaam shaam-e-hijr si
shab ko hum par kya naheeN guzree tere jaane ke baad
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
chhorh kar mujh ko sar-e-reh yaar mere chal diye
koyee mayykhaane ke pehle koyee mayykhaane ke baad
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
sirf kar paimaaish*-e-baadaa* hi is se rind tu
wus'at*-e-gham naap mat ek ek paimaane ke baad
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
jaam tu sab ko hi degee dekhna saaqee hai bas
kis ko tu phusla ke degee kis ko tarsaane ke baad
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))rind ko tarsa ke zaahid ko phhusla ke
imtehaaN gar aur hoN to un ka bhi de do pataa
aasraa koyee to ho had se guzar jaane ke baad
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
hum ne socha tha ke ye hungaama-e-mehfil hai par
kam n ye shorish* huwee khalwat* meiN bhi aane ke baad
chain se soye the odhe kafan mazaar mein yahaan bhi sataane aa gaye kisne pataa bataa diya ....haaay icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
kaash ye hota sitamgar ko kiya hota muaaf
bardh gaya dard aur hum-dardoN ke samjhaane ke baad
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
deed meiN yaksaaN* gham-e-jaanaaN gham-e-dauraaN meree
farq kya rehta gham-e-insaaN ko apnaane ke baad
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree  maanind*-e-abr*
ik siyah dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
- zarraa


*
tabindaaN =shining
jabeeN = forehead
ayaaN = evident
shaane = shoulder
mustaaq = eager
nairaNg = enchantment
paimaaish = measurement
baadaa = wine
wus'at = extent
shorish = disturbance
khalwat =privacy
yaksaaN = identical
maanind = like
abr = cloud




MR PARTICLE-------- rau le lo mujhe faarigh karo  icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: June 04, 2014, 12:42:22 AM »
Waah Zarra saheb . eik baar phir aap ne Bazam ko eik khubsurat kalaam se  nawaza hai . Sabhi ashaar behad khubsurat hai. Tah e dil se daad pesh hai.

Hasan sahab .... aap ki hausla afza pazirai se iraadon ko saahas milt rehta hai .... tah e dil se shukriya !!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: June 04, 2014, 01:16:02 AM »
too good zarra ji



Thank you very much Saahill ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: June 04, 2014, 12:17:16 PM »
Waah waah.

Shukriya Ravindera ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: June 05, 2014, 01:07:40 AM »
Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
bahut khoob zarra ji daaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaad
Shukriya Suresh ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: June 06, 2014, 10:02:33 AM »
wah wah, dhero daad

Shukriya Nandbahu ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:06:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer