zarraa .... uthaanaa bhool baithe sar bhi hum kuchh

by zarraa on June 07, 2013, 01:51:45 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1484 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
dostoN ... aadaab .... ek puraanee ghazal, jo ab tak is bazm meiN haazir naheeN ho saki hai, use pesh kar raha hooN ... kyuNki iska beher thorha sa uncommon hai, isliye zaahir kar raha hooN ... 1222/1222/122...is beher ki ek missal janaab mehdi hassan sahab ki gaayee huwee shayar hafeez ki mashhoor ghazal hai .... mohabbat karne waale kam na hoNge...


khushee ka saaz-o-saamaaN hai na kam kuchh
magar tera bhi hai phir ek gham kuchh

(saaz-o-saamaaN : possessions/a set of material things)


barhe hi ja rahe un ke sitam kuchh
uthaanaa bhool baithe sar bhi hum kuchh


chale hi ja rahe raah-e-junooN par
khule hi ja raha chaaheiN bharam kuchh


na to roka na dekha deed bhar ke
zabaaN thi khushk aur aaNkheN theeN nam kuchh


tere ahed-e-wafaa par naaz karte
tawakko-e-wafaa karte na hum kuchh

(ahed = promise, naaz = pride, tawakko : expectation/hope)


kiya ruswaa  mujhe ehsaan tera
sabak the seekh’ne mujh ko aham kuchh

(ruswa = disgraced)


dukaaneiN khol leeN logoN ne kitneeN
unheiN jo mil gaye dair-o-haram kuchh

(dair-o-haram = places of worship)


milee hai koh-e-din ko kaat kar ye
jamaal-e-mayy naheeN sheereeN se kam kuchh

(koh = mountain, jamaal = beauty, may = liquor)


meree maano to wo r’sta badalna
mileiN “zarraa” ke jo naqsh-e-qadam kuchh

(naqsh-e-qadam = footprints)


- ZARRAA
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 07, 2013, 02:10:09 AM »

khushee ka saaz-o-saamaaN hai na kam kuchh.           magar tera bhi hai phir ek gham kuchh

- ZARRAA


walaikum Aadaab Janaab
Wah Kya Khub Kaha Maza Aa Gaya
Clapping Smiley


shad o aabaad rahiye


shihab
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2013, 02:29:51 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Behtreen!Waah Waah.Bahut Khoob.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: June 07, 2013, 02:36:30 AM »
waah! umdaa ashaar!
daad!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #4 on: June 07, 2013, 02:48:36 AM »
dostoN ... aadaab .... ek puraanee ghazal, jo ab tak is bazm meiN haazir naheeN ho saki hai, use pesh kar raha hooN ... kyuNki iska beher thorha sa uncommon hai, isliye zaahir kar raha hooN ... 1222/1222/122...is beher ki ek missal janaab mehdi hassan sahab ki gaayee huwee shayar hafeez ki mashhoor ghazal hai .... mohabbat karne waale kam na hoNge...


khushee ka saaz-o-saamaaN hai na kam kuchh
magar tera bhi hai phir ek gham kuchh

(saaz-o-saamaaN : possessions/a set of material things)


barhe hi ja rahe un ke sitam kuchh
uthaanaa bhool baithe sar bhi hum kuchh


chale hi ja rahe raah-e-junooN par
khule hi ja raha chaaheiN bharam kuchh


na to roka na dekha deed bhar ke
zabaaN thi khushk aur aaNkheN theeN nam kuchh


tere ahed-e-wafaa par naaz karte
tawakko-e-wafaa karte na hum kuchh

(ahed = promise, naaz = pride, tawakko : expectation/hope)


kiya ruswaa  mujhe ehsaan tera
sabak the seekh’ne mujh ko aham kuchh

(ruswa = disgraced)


dukaaneiN khol leeN logoN ne kitneeN
unheiN jo mil gaye dair-o-haram kuchh

(dair-o-haram = places of worship)


milee hai koh-e-din ko kaat kar ye
jamaal-e-mayy naheeN sheereeN se kam kuchh

(koh = mountain, jamaal = beauty, may = liquor)


meree maano to wo r’sta badalna
mileiN “zarraa” ke jo naqsh-e-qadam kuchh

(naqsh-e-qadam = footprints)


- ZARRAA


Wah,Wah,Wah Zarra sahab,
Bahut umda ghazal pesh ki hai aapne.Meri dili mubarakbaad qabool kijiye.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: June 07, 2013, 11:27:29 AM »
Zarra sahib , Ek alag radeef o qaqfiye mein achhi ghazal se nawaza hai.
Bahut mubarakbaad pesh hai.
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: June 07, 2013, 11:32:16 AM »
bohut khub zarra jo bohut umda peshkash
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #7 on: June 07, 2013, 01:51:53 PM »
walaikum Aadaab Janaab
Wah Kya Khub Kaha Maza Aa Gaya
Clapping Smiley


shad o aabaad rahiye

Shihab ji .... Apki daad aur duaon ka tah e dil se shukrguzaar hoon



shihab
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: June 07, 2013, 02:18:33 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Behtreen!Waah Waah.Bahut Khoob.

Apka bahaut bahaut shukriya Ravindera ji
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #9 on: June 07, 2013, 02:38:23 PM »
Na jane kitne sher padhe, nazm padhe...!!

dil ko chhoone wali ye kalaam kaam kar gayi...!!


bahut bahut aur bahut umda zarra ji.. Usual Smile

beshumaar daad kubul kare..


Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: June 07, 2013, 02:49:00 PM »
bahut alag aur bahut umda likha hai janaab, is mukammal ghazal pe meri dili daad qubool farmaayeN janaab...
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: June 07, 2013, 05:45:55 PM »
tere ahed-e-wafaa par naaz karte
tawakko-e-wafaa karte na hum kuchh

kiya ruswaa  mujhe ehsaan tera
sabak the seekh’ne mujh ko aham kuchh

dukaaneiN khol leeN logoN ne kitneeN
unheiN jo mil gaye dair-o-haram kuchh

Bahut khoob Zarra saheb
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: June 07, 2013, 07:02:50 PM »
waah! umdaa ashaar!
daad!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Hauslafzaayee ka shukriya Kaash ji
Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: June 07, 2013, 08:22:54 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah zarra ji. bahut hi umda peshkash rahi. hazaron dili daad qubool kare.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: June 08, 2013, 01:35:06 AM »
Wah,Wah,Wah Zarra sahab,
Bahut umda ghazal pesh ki hai aapne.Meri dili mubarakbaad qabool kijiye.

Sudhir ji .... inaayat apki sahab ... Hauslafzaayee ka shukriya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:39:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.18 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer