zinda hoon mein abhi

by anush on April 30, 2009, 06:24:58 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1927 times)
anush
Guest
Zinda hoon mein abhi , iska ehsaas to dilao mujhe,
Agar muskuraati nahi to,koi to rulao mujhe.

Chal padi hoon ajnabi si raahon par,
Kabhi to aawaaz dekar bulao mujhe.

Intezaar karti rahi meri aankhen unke aane ka,
Ab na aayenge woh, koi to samjhao mujhe.

Sunaayi nahi deti meri aawaz mujhe sannaton mein,
Koi to usey sunkar,phir sunao mujhe.

Zehar peete peete ek arsa guzar gaya ,
Ab iska asar hota nahi, kuch aur pilao mujhe.

Patthar si lagti hoon, par hoon to nahi,
Koi to mom samajh kar pighlao mujhe.

Zinda hoon mein iska ehsaas to dilao mujhe...

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
===Main Zinda Hoon Abhi=== by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
zinda hu abhi (nm) by Sonia01 in Share Poetry You Like
ABHI ZINDA HO MAI [ STIL ALIVE ] by rp4u in Shayri for Khumar -e- Ishq
ABHI ZINDA HO MAI [ STIL ALIVE ] by rp4u in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mai Zinda Hoon Abhi by Alam Qazi in Share:Miscellaneous Shayari
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 30, 2009, 06:50:54 PM »
wow bahoot khoob anush... kabhi issi se bahoot milati julti kavita yaha Yoindia per kahin likhi thi... us waqat aor kavita ki yaad aa gai...

bahoot dil se apne ek ek shabd likha hai... Apki kavita parr kar jo man mai aa raha hai wo he likhne ja rahi hu..

Waqat nikal jaata hai, sabar ka daaman na chorna
yaad rahe agar yah pal, kabhi kisi ka dil na torna

ayega kathin rasta kai baar is zindagi main
chalna sahi marg per, kabhi suchai se munh na morrna

Nikal jayega yah bhi waqat, sun baat Pooja ki
Kyun hua yah sab, bas yahi sawal kabhi khud se na puchna

Kuch baatein hoti hai, jin per nahi hota bas kabhi humara
Jo nahi hai humara, kabhi uske liye, apni zindagi jeena na chorna

Waqat nikal jaata hai, sabar ka daaman na chorna
yaad rahe agar yah pal, kabhi kisi ka dil na torna
Logged
anush
Guest
«Reply #2 on: April 30, 2009, 07:00:30 PM »
shukriya Pooja ji...

aapki soch bahut hi khoobsurat hai.. yeh pal hamesha yaad rahega  Thankyou !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 30, 2009, 07:07:02 PM »
Mahshallah Bohat Achche Anush Ji,.
And Great Work By You Pooja Didi,.

Logged
anush
Guest
«Reply #4 on: April 30, 2009, 07:10:18 PM »
shukriya azeemji ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 30, 2009, 07:11:23 PM »
Mahshallah Bohat Achche Anush Ji,.
And Great Work By You Pooja Didi,.


Thanks Lil bro!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 30, 2009, 07:12:41 PM »
Hua Hai Kuch Is Kadar Dard Se Rishta Apna,.
Ke Dard Nahi Milta, To Dard Hota Hai,.

_______________________-Nm-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: April 30, 2009, 07:14:37 PM »
Wah lil bro... apki lines parr kar bas yahi man mai ayya!!

dard ke hone ka ab to nahi hota ahsaas mujhko
kai baar sochu yah bhi, yah dil itna kyun rota hai!!!
Logged
anush
Guest
«Reply #8 on: April 30, 2009, 07:20:17 PM »
Hua Hai Kuch Is Kadar Dard Se Rishta Apna,.
Ke Dard Nahi Milta, To Dard Hota Hai,.

_______________________-Nm-
azeemji
Dard se rishta rakhne ka yahee anjaam hota hai..
mile ya na mile... dard zaroor hota hai ...
Logged
anush
Guest
«Reply #9 on: April 30, 2009, 07:24:37 PM »
Wah lil bro... apki lines parr kar bas yahi man mai ayya!!

dard ke hone ka ab to nahi hota ahsaas mujhko
kai baar sochu yah bhi, yah dil itna kyun rota hai!!!

pooja ji
rote hue dil se na poocho ki kyon rota hai
poocho to yeh poocho ki ehsaas na hone se kya dard kam hota hai......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: April 30, 2009, 07:31:30 PM »
anush ji,

apne dard se barr kar nahi koi aor dard is dunia main hota hai
per yah bhi insaan per hai ki wo chup rahta hai ya rota hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: November 25, 2009, 04:38:08 AM »
Zinda hoon mein abhi , iska ehsaas to dilao mujhe,
Agar muskuraati nahi to,koi to rulao mujhe.

Chal padi hoon ajnabi si raahon par,
Kabhi to aawaaz dekar bulao mujhe.

Intezaar karti rahi meri aankhen unke aane ka,
Ab na aayenge woh, koi to samjhao mujhe.

Sunaayi nahi deti meri aawaz mujhe sannaton mein,
Koi to usey sunkar,phir sunao mujhe.

Zehar peete peete ek arsa guzar gaya ,
Ab iska asar hota nahi, kuch aur pilao mujhe.

Patthar si lagti hoon, par hoon to nahi,
Koi to mom samajh kar pighlao mujhe.

Zinda hoon mein iska ehsaas to dilao mujhe...

Good one Anush Ji
Logged
anush
Guest
«Reply #12 on: December 06, 2009, 04:06:46 AM »
thanks rajesh ji  Usual Smile
Logged
anandmohan
Newbie


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
16 minutes.
Posts: 7
Member Since: Apr 2023


View Profile
«Reply #13 on: April 23, 2023, 06:15:47 AM »
waah
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:19:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer