Zinda hun magar ab jina manzur nahi!

by BeNam on July 03, 2006, 07:51:37 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2309 times)
BeNam
Guest
Ashkon ko chhalakana manzur nahi,
Labon ko muskurana manzur nahi,
Zinda hun magar ab jina manzur nahi!

Narazagi teri sahe is dil ko manzur nahi,
Kisi aur rukh ho tera hume yeh manzur nahi
Zinda hun magar ab jina manzur nahi!

--- BENAM ---
Zindagi se mile kisi mode per ab yeh manzur nahi,
Zinda hun magar ai zindagi is main tera kasur nahi!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #1 on: July 03, 2006, 07:53:22 PM »
Excellent!!!
KAhan they aap bhai sahab...
Logged
BeNam
Guest
«Reply #2 on: July 03, 2006, 10:01:42 PM »
Thanks Shayar Bhai!

Zinda hun yahi hai kya kum,
kyun puchate ho kahan hai hum!

Tute dil se nahi nikalate hai gum,
Bus zinda hun main yahi hai sitam!

---BENAM ---
Mehboob nahi paas na sahi,
Usey hai pata zinda hai hum kahin!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: July 03, 2006, 10:12:52 PM »
Aree Chote bhai

Itne din baad aaye aur woh bhi itne dard ke saath  sad5

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: July 04, 2006, 02:56:13 AM »
bahut khub Benam ji........


khawabo mein aksar dekha unko
na jaane kab se woh mujhe jaante they

dur reh kar bhi dil ke bahut kareeb they mere
pass rahe toh na jaane kitne faasle they
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #5 on: July 04, 2006, 04:51:34 AM »
wah kaya bat hai Ranju and Benam ji... Tareef karte hui bahoot hi dard ho raha hai.... jitna acha utna hai dard se bhara hua......

mana zindagi ki rahe ajj sunsaan hai
dard se bhari, saanse lahuluhaan hai
Jina phir bhi koi chor sakta nahi
jo bhi mila kismat se, munh mod sakta nahi

na ho udaas ki yah waqat bhi kat jayega
na raha acha waqat to bura bhi dhal jayega
Logged
BeNam
Guest
«Reply #6 on: July 05, 2006, 01:17:45 AM »
Thanks Pankhuri (Pooja) , Ranju, Rajbir bro!

Kisi ko yahan mukamal jahan nahi milta,
Kabhi zamin toh kabhi aasman nahi milta,
(NM)

Mukaddar ko benam rahem na aya,
Jise apana na chaha usey hi bewafa paya!

-- BENAM ---
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: July 05, 2006, 09:19:12 AM »
bohot khoob benam ji, pankhuri aur ranjana ji....

kali ankhon m e udasi basi hai,
honton pe banawat ki hasi saji hai,
jiye ja rahe hai hum to magar,
pure jism me zakhmo ki aag lagi hai!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: July 05, 2006, 04:34:11 PM »
bahut khoob Pooja ,Benam ji and Meena.........

Pucho na ab garo ki mehfil mein haal tum mera
yun ab nasur bane zakhamo per marham lagao
ek udasi jo jam gayi hai ab in aankho mein kahi
ab unko yun kured ke fir se na pighalaao
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #9 on: July 07, 2006, 09:16:43 AM »
shurkiya ji shukriya and gud one

pattar ki murti kabhi roya nahin karti,
zinda lash sapne kabhi sajoya nahin karti,
mujhe mere hal pe chod do aye dosto,
ke meena ab kabhi apni ankh bigoya nahin karti.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: July 07, 2006, 11:17:25 AM »
bahut khub Meena dear.........

ek udasi ka manjar hai abhi
yahan na koi aata hai na koi jaata hai
ek diye ki tarah mera dil bas yun hi jala jaata hai
sab samjhte hain ki bahut kush hai yeh apni kismat se
per yahan mera dam jaise ghuta sa jaata hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 08, 2006, 08:33:09 AM »
Bahoot Khoob Likha Hai Sab Doston,..

Aye Zindagi Ab Hume Teri Tamanna Kab Hai,..
Jee Rahe Hain Is Aas Mein Ke Marna Kab Hai,..
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: July 10, 2006, 09:39:35 AM »
shukriya dosto.... nice ones as well!!

meri muskurahat pe na jao aye dosto,
mere dil me khayi udasi ke diye jalte hai,
woh nahin humare pas to kya hua Meena,
unki ke yaad sahare hi hum sambalte hai!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 11, 2006, 10:13:58 AM »
Quote from: "Meena is back"
shukriya dosto.... nice ones as well!!

meri muskurahat pe na jao aye dosto,
mere dil me khayi udasi ke diye jalte hai,
woh nahin humare pas to kya hua Meena,
unki ke yaad sahare hi hum sambalte hai!


Bahoot Acha Likha Hai Meena sis,..
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: July 12, 2006, 11:16:22 AM »
thank u

 :D
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:14:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer