zindagee bhar ka jo hota ..............

by ranjana on April 28, 2006, 08:54:33 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 3635 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #30 on: May 19, 2006, 02:27:05 PM »
Nice one Ranjana And Vicky Bhai,..

Kise Kabar Hai Mere Dard Ki Is Zamaane Mein,..
Ke Sab Lage Hain Meri Mohabbat Ko Mitaane Mein,..

Kyun De Rahe Hain Sab Log Mujhe Is Tarah Se Zakham,..
Najaane Kya Galti Hui Mujhse Anjaane Mein,..

Phir Bhi Dua Deta Hoon Khush Raho Abaad Raho,,..
Jinhone Aag Lagaayi Mere Ashiaane Mein,..

Meri Zindagi Hi Ab Ansoon Mein Doob Gayi,..
Gham Hi Jhalakte Hain Mere Muskuraane Mein,..

________________-Azeem-___________
Logged
ranjana
Guest
«Reply #31 on: June 06, 2006, 10:26:02 AM »
bahut khub Azeem bhai................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #32 on: June 06, 2006, 10:31:56 AM »
kehati hun aaj hawao.n se ki mera sawan fir se mujhe louta do
kab se dur hain hum jindagi se meri jindagi mujhe louta do

woh jab bhi milate hain ,milte hain mujhse ajnabi ki taraha
rukh gaye hain mere labo per kuch sawal.........
aaj mere uttar ban ke mere sawal mujhe louta do.............

jindagi ki yeh dhup bahut chubati hai ab mujhko
tharana chahati hun kuch der............
tum meri chhaya ban kar meri chhawan mujhe louta  do
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #33 on: June 07, 2006, 06:52:48 AM »
Quote from: "ranjana"
kehati hun aaj hawao.n se ki mera sawan fir se mujhe louta do
kab se dur hain hum jindagi se meri jindagi mujhe louta do

woh jab bhi milate hain ,milte hain mujhse ajnabi ki taraha
rukh gaye hain mere labo per kuch sawal.........
aaj mere uttar ban ke mere sawal mujhe louta do.............

jindagi ki yeh dhup bahut chubati hai ab mujhko
tharana chahati hun kuch der............
tum meri chhaya ban kar meri chhawan mujhe louta  do


Nice One Ranjana Sis,..

Gaya Hua Sawan Kabhi Laut Ta Nahi,..
Jaise Marjaane Wale Kabhi Aate Nahi,.
Zindagi To Tumhari Apni Hai Ispar Kisi Ka Haq Nahi,.
Magar Zindagi Ka Beeta Waqt Kabhi Laut Ta Nahi,..
Ajnabi Na Kaho Hume Hum To Tumhare Apne Hain,..
Ajnabi Banke Jo Jaate Hain Wo Laut Te Nahi,.
Sawaal ke Tumhare Hum Jawaab Denge Yahan,..
Magar Sawaal Jo Banjaaye Barsaat Aansoon Ki Wo Kabhi Laut Te Nahi,..
Zindagi Ki Dhoop Mein Chalkar Saye Ko Paana Hi Maqsad Hai Apna,..
Magar Jo Saaye Kho Jaaye Wo Laut Te Nahi,..

_______________________________-Jaanasheen-

Logged
ranjana
Guest
«Reply #34 on: June 07, 2006, 05:19:25 PM »
nice Bhai................

jitna hum chahte they aapko ,aapse chaha na gya
humne nibha liya payar ko per aapse nibhya na gya

arse se mujeh rualte they jee bhar ke
meri halat dekh kar unse apne ashako ko chhipaya na gya.
                                                                       {not purly mine}
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #35 on: June 07, 2006, 05:29:10 PM »
Hum Dard me jeete toh marte hai.....
Kuch log dekh hume najaane kyu haste hai......

Kho gaye sab raste Pyar ke.....
Ab hum dekhne ko Manzilein taraste hai.......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #36 on: June 08, 2006, 04:06:23 AM »
bahut khub Gaurav.........

yeh dard hai mohabbat ka saha nahi jaata
ab ek pal bhi unse dur raha nahi jaata
aasaan nahi hai unko bhul paana
aankho mein tahare hue ashaqo ko chhipana
kho gaye hai sab manjilo ke nishaan ab toh
rasata bhi ab unke bina yeh lagata hai anjaana
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: June 08, 2006, 09:20:20 AM »
Quote from: "ranjana"
nice Bhai................

jitna hum chahte they aapko ,aapse chaha na gya
humne nibha liya payar ko per aapse nibhya na gya

arse se mujeh rualte they jee bhar ke
meri halat dekh kar unse apne ashako ko chhipaya na gya.
                                                                       {not purly mine}
Nice One Ranjana Sis,..

Kis Kadar Nibhaai Hai Wafa Humne Ye Tum Kya Jaano,..
Tumhari Mohabbat Ko Paane Ke Liye Hum Deewaane Bangaye,..
Tumse Rishta Jordkar Humne Sab Rishton Ko Tordiya,..
Is Kadar Chaha Tumhe Ke Hum Khudse Begaane Bangaye,..
Ab Kehte Ho Ke Humne Tumse Wafaa Nahi Nibhaai,..
Tum Kya Jaano Jaanasheen Apni Mohabbat Ke To Fasaane Bangaye,..

_____________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #38 on: June 08, 2006, 09:27:43 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Hum Dard me jeete toh marte hai.....
Kuch log dekh hume najaane kyu haste hai......

Kho gaye sab raste Pyar ke.....
Ab hum dekhne ko Manzilein taraste hai.......!!!!!!!!


Waah Bhai Bahoot Khoob Likha Hai, Nice One,.

Paakar Bhi Raste Mazilon Ke Hum Mazil Paa Naa Sake.,..
Chaha Tha Jise Dilse Kabhi Uske Hum Ho Naa Sake,..
Kya Kismat Hai Apni Ke Sab Haste Hain Gham Choopakar Yahan,..
Hum Wo Hain Ke Dil Mein Gham Lekar Bhi Kabhi Ro Naa Sake,..

_______________________________________________-Jaanasheen-
Logged
ranjana
Guest
«Reply #39 on: June 09, 2006, 03:52:30 AM »
aap kaise banaynge apni mohabbat ka fasana
yeh dard jisne liya wahi is dard ko pechana
hanste rahe hum sabke saamane apne dard ko peeye hue
kehte rahe tum  ki kab aaya hai mujhe mohabbat ko nibhana
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: June 11, 2006, 07:25:54 AM »
Quote from: "ranjana"
aap kaise banaynge apni mohabbat ka fasana
yeh dard jisne liya wahi is dard ko pechana
hanste rahe hum sabke saamane apne dard ko peeye hue
kehte rahe tum  ki kab aaya hai mujhe mohabbat ko nibhana


Bahoot Khoob Ranjana Sis,...

Dard Ko Mere Yahan Koi Na Pehchaana,..
Bangaya Apna Bhi Yaaron Ab Dard Ka Fasaana,..
Jo Kabhi Baat Karta Tha Mujhse Muskurakar,..
Aaj Ban Gaya Wo Bhi Humse Begaana,..
Shayad Sach Kehta Tha Mujhse Ye Zamaana,..
Ke Mil Jaaye Khazaane Bhi Tujhe Tab Bhi Na Dil Lagaana,..
Na Samajha Main Baat Zamaane Ki Yaaron,..
Ab Ghera Hoon Ghamo Mein Bhool Gaya Muskuraana,..

________________________________________-Jaanasheen-
Logged
ranjana
Guest
«Reply #41 on: June 11, 2006, 01:53:53 PM »
nice Azeem Bhai.............

gum is kadar mile mohabbat mein ki
dard se hame pyaar ho gya.......
de gye kuch aansu woh  meri aankho mein  
aaj gum hi mere jeene ka sahara ho gya

jeene ki umeed chor di mere dil ne ab toh
maut ka naam hame apni jindagi se pyaara ho gya
sab kuch jaan kar  bhi woh anjaan ban gye
lagta hai ab unhe kisi dusre dil ka sahara ho gya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #42 on: June 12, 2006, 07:19:29 AM »
Quote from: "ranjana"
nice Azeem Bhai.............

gum is kadar mile mohabbat mein ki
dard se hame pyaar ho gya.......
de gye kuch aansu woh  meri aankho mein  
aaj gum hi mere jeene ka sahara ho gya

jeene ki umeed chor di mere dil ne ab toh
maut ka naam hame apni jindagi se pyaara ho gya
sab kuch jaan kar  bhi woh anjaan ban gye
lagta hai ab unhe kisi dusre dil ka sahara ho gya


Bahoot Khoob Ranjana Sis,..
Lage Raho,..

Gham Hume Bhi Mile Hain Mohabbat Ki Raah Mein,...
Gham Sehkar Humne Bhi Muskurana Seekhliya,..

Jab Dekha Andhera Humne Zindagi Mein Apni,..
Roshni Paane Ke Liye Humne Bhi Dil Jalaana Seekhliya,..

Sab Kehte Hain Ki Zindagi Teri Roshan Hai Uske Dum Se,..
Is Baat Ko Lekar Humne Bhi Zindagi Ko Mitaana Seekhliya,..

Bin Uske Apna Guzara Nahi Hota,. Bahoot Yaad Kiya Karte The Use,..
Jab Dekha Use Ajnabi Bante Hue Humne Bhi Usko Bhoolaana Seekhliya,..

_________________________________________________ _-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: June 12, 2006, 03:42:23 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob JSheen and Ranju!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #44 on: June 13, 2006, 06:40:27 AM »
Shukriya Pooja Sis,..

Manaa Tha Jise Maine Apni Zindagi Se Bardkar,..
Aaj Wohi Mujhe Ghamon Ka Tohfaa De Gayaa,..
Main Hoon Wo Ghamon Maara "Jaanasheen' Jo Uff Na Kaha,..
Diye Jo Gham Usne Main Haste Haste Seh Gayaa,..

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:26:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer