zindagi apana matlab kho rahi thee...

by ranjana on August 30, 2006, 06:33:08 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1711 times)
ranjana
Guest
mere lafaz mere pass they per nazm kahi kho rahi thee
maut khadi thee saamne aur zindagi saanse kho rahi thee

chahate they hum zindagi se na jaane kya kya
per waqt ki jubaani mere sapano ki duniya kahi kho rahi thee

nibha lete woh waade mohbbat ke toh kuch gum na they
yahan tukado tukado mein beh ke zindagi meri mayus ho rahi thee

udas thee meri dhlati shaam besabab si yun hi
teri yaade aur us mein nashtar chubo rahi thee

aa ke ek baar mil jaao toh yeh safar khatam ho tanhaai ka
meri jubaan per ruki hui baate apna matlab kho rahi thee
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
::Ae zindagi,tu kahan le jaa rahi hai mujhe....:: by nidhi_yadein in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
.......!!!.....Zindagi ke Matlab......!!!...... by badnaam_shayar in Shairi - E - Zindagi
ZINDAGI - CHALTI - RAHI by harishsharmapilot in Shairi - E - Zindagi
MOVED: ZINDAGI - CHALTI - RAHI by Mahiya in Other Languages
Raakh ka dheer thee zindagi samnay by sjid hadayat in Shayri-E-Dard
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 30, 2006, 09:34:49 AM »
shukriya Majid .....likha nahi aapne kuch ....... Usual Smile

kabhi toh dil mein unke mera khyaal aata hoga
dil kuch gujare hue lamho ko dohrtaa toh  hoga

kabhi toh chalkate honge unki aankh se bhi do aansu
woh judai ka sama unko bhi toh rulaata hoga

uthate honge unke bhi dil mein na jaane sawal kitne
koi toh mohbbat ka sawal bhi unka dil gungunaata toh hoga

meri tarah pee liya karte honge kya woh bhi ashq apne
kya unki aankho ko bhi yeh dard chhipaane ka kamaal aata  hoga
Logged
phoenix
Guest
«Reply #2 on: August 30, 2006, 09:46:27 AM »
sehra k sang raatei.n guzarte hi hain ab toh
jane anjaane baatein hoti hain ab toh
guzarti thi shaam saaye mein maut k pehle
ab maut se kuch shaam zindagi ki maangte hain
aati thi yaadein unki har raat har subah mujhko
ab yaado.n mein se ek lamha tanhaai ka dhundta hun
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: August 30, 2006, 09:59:38 AM »
Quote from: "phoenix"
sehra k sang raatei.n guzarte hi hain ab toh
jane anjaane baatein hoti hain ab toh
guzarti thi shaam saaye mein maut k pehle
ab maut se kuch shaam zindagi ki maangte hain
aati thi yaadein unki har raat har subah mujhko
ab yaado.n mein se ek lamha tanhaai ka dhundta hun


jab se woh gaye hain ruth gayi hai  bahaar bhi
rang badal ke rah gayi hai zindagi -a-guljar bhi

kiya thaa jo vaada unhone saath chalane ka
ab tak na aaya  unke vaade per hame etabaar bhi

na jaane kitne pal hamne zindagi ke yun hi gujaar diye
per kyu gujaar na sake unki yaado mein beeta pal aaj bhi
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #4 on: August 30, 2006, 10:28:12 AM »
bahut khoob ranjana jee n nitesh
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #5 on: August 30, 2006, 10:38:53 AM »
bahut khoob Ranju and natu ji.......


zindgi ke matlab kaya jane dil todne wala
ek dard ka dariya hai doob ke jana hai...... (mix n match hai)
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 30, 2006, 12:30:31 PM »
shukriya vikas and salma.............


is dard ki shikaayat is dil se ab kaun kare
aankho ke paani ko ab sukha kaun kare

jab sab taraf ho sirf tanhaai ka alam
zindagi ko khushi se jeene ki tamaana kaun kare

rakh diya hai hamne sawalo ka ek khat  tere saamne
ab uske jawabo ko tujhse puchane ki himmat kaun kare
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: August 30, 2006, 06:24:33 PM »
bahot k hoob  Ranjana....  Phoenix........Vikas.  sabhi logon  ne  bahot accha likha...........

sirf apne haaton ki  lakeeron mein  uljhe rahe
meri aankhen  taras gayee khusiyan dekhne ke liye
jidagi aise  kat  gayee inhi uljhano  mein
ab  mere  haath  uthte  nahi kabhi dua  ke liye......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: August 31, 2006, 04:20:16 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
bahot k hoob  Ranjana....  Phoenix........Vikas.  sabhi logon  ne  bahot accha likha...........

sirf apne haaton ki  lakeeron mein  uljhe rahe
meri aankhen  taras gayee khusiyan dekhne ke liye
jidagi aise  kat  gayee inhi uljhano  mein
ab  mere  haath  uthte  nahi kabhi dua  ke liye......


bahut khoob waheed ........shukriya ..........

jab se dur hue unse tab se yeh ek raaz hamne jaana
ki har uljhan ko aasaan nahi hai suljhaana

kuch umeed le kar jeeta rehta hai yeh dil mera
tutane per bahut mushkil hai is dil ko samjhana

kabhi kisi ki dharakno mein basta thaa naam hamara
bahut chubata hai dil ko ab yeh waqaya yaad reh jaana

mat dilaao mujhe yaad us dua ki ab dosto
jab khuda se sirf maine mangaa thaa apne dil ke liye ek thikaana !!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #9 on: August 31, 2006, 05:21:55 AM »
shukriya Waheed and very nice one by you too.  and ranju a good one true to life.......

uljhane zindgi ki suljhane mai yun doob gaye
ab humme to is uljhano se payar karne lage....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: August 31, 2006, 05:31:30 AM »
shukriya vikas ......good one ...

is dard ki tadap mein jeene ka maza aur hai
in ashqo ke samandar mein dubane ka maza kuch aur hai

hone laag hai ab hame apni zindagi ki uljhano se pyaar
is tanah zindagi mein chalo kahi kuch toh ho raha  shor hai

juda hue they jab woh de ke dard hame ishq ke
yeh na socha unhone ki  zindagi mein is dard se bada bhi koi dard aur hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: August 31, 2006, 09:06:39 AM »
wonderful   Vikash............. Ranajana,.........  bahot  acche  words  aap  dono  ne likha

gahrai samunder ki  talab karta hai  mujhse
lahron  se magar baat  karne bhi nahi  deta..........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: August 31, 2006, 12:55:05 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
wonderful   Vikash............. Ranajana,.........  bahot  acche  words  aap  dono  ne likha

gahrai samunder ki  talab karta hai  mujhse
lahron  se magar baat  karne bhi nahi  deta..........


wah waheed ji bahut khub ..

yeh waqt a shaam ka alam ,ek sanaata sa chhaa raha hai
ruk si rahi hai meri zindagi bhi yeh manzar kaisa udas sa nazar aa raha hai

chali jaaygi aaj ki raat bhi unke hi khawabo ke saath meri
fir se koi ghera dard ka badal mere dil mein ek dhuaan sa utha raha hai!!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #13 on: August 31, 2006, 01:06:14 PM »
shukriya waheed ji aur bahut khoob.  


lehren mere jeewan mai kuch aisi aayin hai
samdar se dard ka pata nahi
sahil ko saath baha le gayi hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: August 31, 2006, 01:34:45 PM »
Quote from: "vikas2210"
shukriya waheed ji aur bahut khoob.  


lehren mere jeewan mai kuch aisi aayin hai
samdar se dard ka pata nahi
sahil ko saath baha le gayi hai



saans ka har saaz tut ke dard ke geet ga raha hai
mujhe kyu koi bhula hua sa yaad aa raha hai
aaj kyu badal sa gaya hai unke har kafaz ka matlab
kyu aaj dil mei fir se koi gubaar sa chhaa raha hai !!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:00:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer