Zindagi Aur Maut ___________ {Angel}

by angel4u on September 27, 2009, 02:13:08 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 16853 times)
angel4u
Guest
Dekho Ek Kahani Lafzon Ki Zubaani Maangti Hai,
Lafzon Mein Zindagi Aur Maut Ki Sachayi Dalna Chahti Hai,

Chalo Aaj Ye Tay Kare Kaun Behtar Hai Zindagi Ya Maut,
Duniya Ke Khayalaton Ko Meri Qalam Jhutlana Chahti Hai,

Zindagi Deti Hai Chand Saanso Aur Dhadkano Ka Tohfa,
Maut Inka Saath Chhutne Par Rooh Ka Sath Nibhati Hai,

Zindagi Deti Hai Kuch Apno Ka Ehsaas Kuch Palon Ke Liye,
Maut Apne Saath Un Ehsaason Ki Na Mitne Wali Qabr Sajati Hai,


Zindagi Deti Hai Khoobsoorat Saugat Mohabbat Ki,
Maut Use Apne Seene Mein Chhupa Ke Amar Banati Hai,

Zindagi Naseebon Ki Barish Jo Kisi Aurki Chhat Pe Baras Jaati Hai,
Maut Saagar Ki Wo Pagal Leher Jo Hum Tak Aake Hi Bas Theher Jaati Hai,


Zindagi Jism-O-Jaan Ki Pyaasi Dharti Jiski Pyaas Kabhi Na Bujhe,
Maut Wo Saawan Ki Rutt Jo Banjar Zindagi Ki Pyaas Bujhati Hai,

Zindagi Un Khwabon Ki Kirchiyan Jo Kabhi Mukammal Na Hue,
Maut Un Khwaabon Ki Tabeer Jiske Pure Na Hone Pe Bhi Sukoon Deti Hai,

Zindagi Wo Tanhayi Jo Bheed Mein Hi Shor Machati Hai,
Maut Ke Baad Qabr Ki Khamoshiyan Humko Nagme Sunati Hai,

Zindagi Wo Bazaar Jahan Log Apni Aahon Tak Ka Sauda Kar De,
Maut Wo Gehrayi Jo Har Kisi Ka Gam Mitti Mein Sama Deti Hai,


Zindagi Un Apno Ka Kaarvan Jo Beech Safar Mein Saath Chhode,
Maut Ek Gehri Tanhayi Jo Hamesha Saath Nibhati Hai,

Zindagi Bin Roye Hue Aansuon Ki Chubhti Tadap,
Maut Un Aansuon Se Aankhon Ki Tapish Bujhati Hai,

Zindagi Karti Hai Door Hamein Apne Aap Se Bhi,
Maut Hamein Farishton Ki Jaanib Leke Jaati Hai,

Zindagi Har Jazbaat Ko Dard Ki Aag Mein Jalati Hai,
Maut Usi Aag Se Hamari Qabr Ko Roshan Banati Hai,

Zindagi Kuch LaQeeron Ki Kahani Jo Chalte Chalte Ojhal Ho Gayi,
Maut Apni Qismaton Ki Roshni Jo Hamesha Jagmagati Hai,

Zindagi Wo Raasta Jiski Manzilein Safar Khatam Hone Se Pehle Kho Jaati Hai,
Maut Wo Manzil Jo Har Kisiko Har Haal Mein Milti Milti Hai,


Zindagi Kisi Bewafa Mehboob Ka Intezaar Jo Kabhi Na Khatam Ho,
Maut Wo Ba-Wafa Sanam Jo Har Haal Mein Apna Waada Nibhati Hai,


Zindagi Wo Jisne Shahjahan Aur Mumtaaz Ko Diye Pyaar Ke Kuch Pal,
Maut Wo Taaj, Jo Sadiyon Se Sadiyon Tak Mohabbat Ki Misaal Qayam Karti Hai,

To Phir Kaun Hai Behtar In Mein Se Aap Hi Kahiye,
Zindagi Jo Kuch Pal Saath Chalti Hai, Ya Maut Jo Saath Leke Jaati Hai???
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindagi Aur Maut by Moshfeq in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3 4 5 »
Aisi Zindagi Se Maut Acchi by Devdas_online in Shayri-E-Dard
ZINDAGI AUR MAUT by abdulhabib in Share:Miscellaneous Shayari
Zindagi Aur Maut by abdulhabib in Miscellaneous Shayri
Zindagi Aur Maut - Tuned by abdulhabib in Miscellaneous Shayri
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: September 27, 2009, 02:26:28 PM »
bahoot khubsurat likha h apne angel ji execllent  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: September 27, 2009, 02:43:28 PM »
shukriya Rishi
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: September 27, 2009, 06:51:22 PM »
Wah Kya Baat hai Angel.. ek ek Lafz apne Jazzbaat aur apna Dard Bayan kar raha hai.. Bahut Hi Dard Bhare Ehasaason Ko Lafzon me Pesh kiya hai aapne.. Bahut Hi Khoooooooooob Angel.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Sammual
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2009, 09:21:08 PM »
Bahut Bahut Khoob Angel Ji.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: September 28, 2009, 04:31:56 AM »
Wah Kya Baat hai Angel.. ek ek Lafz apne Jazzbaat aur apna Dard Bayan kar raha hai.. Bahut Hi Dard Bhare Ehasaason Ko Lafzon me Pesh kiya hai aapne.. Bahut Hi Khoooooooooob Angel.. Applause Applause



**~** Mann **~**

Thank you so much Mann for always appreciating Usual Smile

Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: September 28, 2009, 04:34:32 AM »
Bahut Bahut Khoob Angel Ji.

Thanks Sam...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: September 28, 2009, 09:19:32 PM »
Wah Angel ji Great creation,bahut bahut khoob.mindblowing. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: September 30, 2009, 02:38:20 AM »
Thanks Madhu.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 01, 2009, 06:06:59 AM »
Mashallah Kya KHoob Likha Hai Huzaina Sis, Great Job,

Good Lines Yaar Behad Achchi Hai,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: October 02, 2009, 02:11:46 AM »
Thank you so much Bro Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: October 02, 2009, 02:21:24 AM »
Wah wah bahut khoob likha dear hasina...

Zindagi aur maut ka matlab bahut khoobsurati k saat likha hai tumne.
Quote
Zindagi Deti Hai Chand Saanso Aur Dhadkano Ka Tohfa,
Maut Inka Saath Chhutne Par Rooh Ka Sath Nibhati Hai,

Excellant.... Applause Applause Keep flowing dear Thumbs UP

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: October 02, 2009, 02:39:01 PM »
Bahut Bahut Khooob Angel!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi gehre Aur Sachai Se Bharpoor Baatein Hai Yeh!!!

Bahut Ache.. Applause Applause Applause
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #13 on: October 02, 2009, 04:29:47 PM »
Angle jee:

aik beHteriN koShiSh! dil se DheroN saarii daad aur duaaeN!

liKhate raheN aage bhee! KhuSh raheN!

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: October 03, 2009, 06:09:11 AM »
Wah wah bahut khoob likha dear hasina...

Zindagi aur maut ka matlab bahut khoobsurati k saat likha hai tumne.


Excellant.... Applause Applause Keep flowing dear Thumbs UP



Thanks Roja  Is it SO!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:01:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer