**Zindagi** by Rahim

by dead heart on February 22, 2010, 09:14:34 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1439 times)
dead heart
Guest
Kisi khaas shaks ne mujse guzarish ki thi ke 'Rahim...dard pe kabhi mat likhna..plzz'..Sach bataoun toh jab ussi shaks se juda hona parra toh maine likhna chorr dia tha...Jo log Yo pe mujhe parrte hai unhone notice kiya hoga ke maine koi kalam post nahin kiya...Wajah yehi thi ke kalam juda hogayi thi mujse...
Yeh kalam unn lamhon main likhi thi maine jab bilkul tanha mehsoos karta tha...Saath hoke saath na tha koi...Umeed hai pasand ayegi...

Bhirr main baitha hoon mager duniya viran si lagti hai,
Khud ko janta hoon mager apni shaksiyat phir bhi anjaan se lagti hai…

Kehte hai panna chaho toh sab kuch de sakti hai yeh duniya,
Issi duniya main rehta hoon mager phir bhi yeh kahawat mujhe beiman si lagti hai…

Jo dil main aye who kisi ke naraz hone ke khauf se bol bhi nahin sakte,
Mujhe yeh bachkani duniyavi rasm badi bejaan si lagti hai…

Aisa nahin hai ke tanha hai ‘Rahim’; sab hi toh hai pas,
Mujhe phir dekho yeh duniya sunsan si lagti hai…

Zinda hokar bhi zinda nahin hoon; log isiliye aksar keh jate hai,
Ke ‘Rahim’; mujhe teri zindagi kabrastan si lagti hai…



~Rahim~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 22, 2010, 09:35:07 AM »
Mashallah Bohat Achcha Likha Hai Aapne Rahim Bhai,.

Na Ho Jab Koi Tumhe Chahne Waala,.
Khushi Bhi Khushi Nahi Lagti,.

Jal Jaaye Sab Kuch Apna "Rahim",.
Roshni Magar Roshni Nahi Lagti,.

Guzra Hoon Har Mukhaam Se Main,.
Jhooti Mujhe Teri Koi Kahaani Nahi Lagti,.

Logon Ki Fitrat Hai, Maukhe Ka Faida Uthaana,.
Mujhe Is Baat Ki Hawa Nahi Lagti,.

Akela Khada Hoon Wahaan Aakar Main,.
Jahaan Gair TO Door, Apni Zindagi Hi Zindagi Nahi Lagti,.

-Azeem-
Logged
Fakhar e Naveed
Guest
«Reply #2 on: February 22, 2010, 09:37:59 AM »
Mashallah Bohat Achcha Likha Hai Aapne Rahim Bhai,.

Na Ho Jab Koi Tumhe Chahne Waala,.
Khushi Bhi Khushi Nahi Lagti,.

Jal Jaaye Sab Kuch Apna "Rahim",.
Roshni Magar Roshni Nahi Lagti,.

Guzra Hoon Har Mukhaam Se Main,.
Jhooti Mujhe Teri Koi Kahaani Nahi Lagti,.

Logon Ki Fitrat Hai, Maukhe Ka Faida Uthaana,.
Mujhe Is Baat Ki Hawa Nahi Lagti,.

Akela Khada Hoon Wahaan Aakar Main,.
Jahaan Gair TO Door, Apni Zindagi Hi Zindagi Nahi Lagti,.

-Azeem-

Well Done
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: February 22, 2010, 09:41:21 AM »
Bahaut shukriya Azeem bhaijan...

Kabil-e-tariff likha hai apne...Bahaut acha likha hai balke...As usual...Excellent... Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 22, 2010, 09:59:28 AM »
Kisi khaas shaks ne mujse guzarish ki thi ke 'Rahim...dard pe kabhi mat likhna..plzz'..Sach bataoun toh jab ussi shaks se juda hona parra toh maine likhna chorr dia tha...Jo log Yo pe mujhe parrte hai unhone notice kiya hoga ke maine koi kalam post nahin kiya...Wajah yehi thi ke kalam juda hogayi thi mujse...
Yeh kalam unn lamhon main likhi thi maine jab bilkul tanha mehsoos karta tha...Saath hoke saath na tha koi...Umeed hai pasand ayegi...

Bhirr main baitha hoon mager duniya viran si lagti hai,
Khud ko janta hoon mager apni shaksiyat phir bhi anjaan se lagti hai…

Kehte hai panna chaho toh sab kuch de sakti hai yeh duniya,
Issi duniya main rehta hoon mager phir bhi yeh kahawat mujhe beiman si lagti hai…

Jo dil main aye who kisi ke naraz hone ke khauf se bol bhi nahin sakte,
Mujhe yeh bachkani duniyavi rasm badi bejaan si lagti hai…

Aisa nahin hai ke tanha hai ‘Rahim’; sab hi toh hai pas,
Mujhe phir dekho yeh duniya sunsan si lagti hai…

Zinda hokar bhi zinda nahin hoon; log isiliye aksar keh jate hai,
Ke ‘Rahim’; mujhe teri zindagi kabrastan si lagti hai…



~Rahim~

Bahut Bahut Khoob Rahim!!!

Aapne Apne Jazbaaton Ko Bakhoobi Lafzon Mein Utaara..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut khooob Azeem Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: February 22, 2010, 10:17:30 AM »
Shukriya Khwahish jee..Apki tarif wakei hausla hai ke Rahim likhne ke kabil hai...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: February 28, 2010, 12:07:02 PM »
Wah Wah Kya Baat hai Rahim Bhaiiiiii.. Dil Ke Jazzbaaton Ko Lafzon Me Dhaal Kar.. Behad Khubsoorati ke sath aapne Kaagaz Par Utaara hai... Bahut Hi Lajawab Peshkash Hai...  icon_thumleft icon_thumleft icon_thumleft

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: February 28, 2010, 01:48:33 PM »
Shukriya Vikas bhaijan..
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #8 on: April 27, 2011, 05:44:34 PM »
dhdkti thi dhadkane kbi,jiske naam se
dhadkano ko ab wo rawaani nahi milti

jee rha hu ab talak, bin sanso ke
jee lu khusi se kuch pal,ab aisi koi kahani nahi milti……!


rahim dear………
aapke dil ki kalam se nikle saare kalaamo ko parh lunga mai…
dhund dhund kar…
yo par late entr karne ka afsos ho rha mujhe…

bht umda kalaam aapka…
khus rahiye ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: April 28, 2011, 09:17:06 AM »
dhdkti thi dhadkane kbi,jiske naam se
dhadkano ko ab wo rawaani nahi milti

jee rha hu ab talak, bin sanso ke
jee lu khusi se kuch pal,ab aisi koi kahani nahi milti……!


rahim dear………
aapke dil ki kalam se nikle saare kalaamo ko parh lunga mai…
dhund dhund kar…
yo par late entr karne ka afsos ho rha mujhe…

bht umda kalaam aapka…
khus rahiye ji
Wah Wah..Yeh izzat hai apki kay mere kalamon ki khoj main ho..
Dil se khushi hui yeh jankar..
Aur apne 4 lines bahaut achi likhi hai..
Applause
Bahaut bahaut shukriya dost..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: April 28, 2011, 09:17:52 AM »
Bahut Khub Rahim Bhai...

Shad o Aabad Rahiye...


~Shihab~
Bahaut bahaut shukriya Shihab bhai..
Khush rahiye..!
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: May 01, 2011, 09:17:56 AM »
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaow kya falsafa bayaan kiya hai rahim bhai aaapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: May 01, 2011, 02:45:14 PM »
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaow kya falsafa bayaan kiya hai rahim bhai aaapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahaut bahaut aur dil se shukriya KA jee..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:10:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer