zindagi dukhon se bhari hui hai

by tanha dil tanha safar on May 23, 2005, 07:22:33 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2966 times)
tanha dil tanha safar
Guest
Lag raha hai zindagi roothi hui hai

Aaj Kal Un Ki Nazar Badli hui hai

Aap Dete Jaayein Badnaami Ke Chhinte

Hamne Chaadar zabt ki odhi hui hai

FooL Ab Un Ke zehan ke Dekhna band

Lagta Hai Deewar Kuch oonchi hui hai

Khawaahishon Pe ab bhi Bachche-se machalna

Kaise keh doon zindagi sambhli hui hai?

chamakte Kapron main Un Ko dekh kal raat

Chaand khush hai Chand Ki chaandni hui hai.

Phir koi sauda Kia hai baaghbaan ne

Phool hain chup har Kali Sehmi hui hai

Raat Andhere Ki hui baarish zayada

Dhoop Ki Chaadar bhi Kuch geeli hui hai

Zindagi Ke baagh mein bachche-sa bhagoon

Kaise Pakroon har khushi titli hui hai

door hue woh "Tanha se aise" ke

Ab zindagi dukhon se bhari hui hai.




nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Iss dard bhari zindagi main by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tanhai Se Bhari Zindagi by Devdas_online in Shairi - E - Zindagi
AANKH HAI BHARI BHARI......... by LOV3 3IRD in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dukha naal bhari sadi zindagi by lovely_nancy in Pain in Love : Punjabi poetry
Pyar bhari zindagi... by preet.shayari in Pain in Love : Punjabi poetry
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #1 on: May 24, 2005, 04:33:21 AM »
gar chahte hum sambhalna zindagi mein
to shayad khud bhi hum sambhal jate
waqt per pukar liya tumne hame
warna teri khoj mein jaane kahan nikal jaate.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: May 24, 2005, 06:56:22 AM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
gar chahte hum sambhalna zindagi mein
to shayad khud bhi hum sambhal jate
waqt per pukar liya tumne hame
warna teri khoj mein jaane kahan nikal jaate.
wah tanha,excellent work Usual Smile
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #3 on: May 24, 2005, 06:59:41 AM »
thanks Nidhi !!!!!!!!!!!!!!!!!!

ye haal na hota jo pyar na kiya hota maine
mil jaati gar mohobat teri to hum bhi sanwar jaate.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #4 on: May 24, 2005, 07:02:28 AM »
na bhi chahate ho gar tum sambhalna
unke khatir sahi sambhal to jao sahi
rooti hui nahi hai ye zindgi
tum ek baat dekh usse muskaro to sahi
...
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #5 on: May 24, 2005, 07:07:30 AM »
zindagi ke saaye mein maut se larta raha hoon main
gumo ki aadat hai mujhe khushiyon se darta raha hoon main.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #6 on: May 24, 2005, 07:09:27 AM »
Quote from: "Tosha"
na bhi chahate ho gar tum sambhalna
unke khatir sahi sambhal to jao sahi
rooti hui nahi hai ye zindgi
tum ek baat dekh usse muskaro to sahi
...
welcome tanha.....kya baat hai tosha,very nice.
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2005, 07:38:56 AM »
kaise kahoon bina tere ye zindagi kya hai
jaise saza hai jine ki ya phir koi baddua hai.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: May 24, 2005, 07:57:05 AM »
jeena nahi hai bin tere
jeena jeena nahi hai bin tere
gummo ke saya hai zindgi
sanam yeh jindgi nahi bin tere
Logged
dolly
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2005, 04:35:05 AM »
Nice work both Tanha  n Tosha..... ......

iss tarahse raah mein bikhri hui hai zindagi...
anginat tukdon mein aaj banti hui hai zindagi...
khuch lamho pehle jo khushiyon se aabad thi...
aaj khandhar sii hui hai meri yeh zindagi....

khud ko mita diya sajaane ko tera aashiyaan...
tinka tinka hui hai aaj meri yeh zindagi........(lil modified)
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2005, 08:00:02 AM »
saja do mera ghar bhi lekin khud ko yun na barbaad karo
baton khushiyan dunia mein bhi aur khud ko bhi aabad karo.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #11 on: May 28, 2005, 10:08:02 AM »
kash tera saath mil jata
kash tu mera ho jata
ajab kasauti hai jindgi ki
kash jo jahate vo mil jata
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #12 on: May 29, 2005, 12:02:01 AM »
Quote from: "Tosha"
kash tera saath mil jata
kash tu mera ho jata
ajab kasauti hai jindgi ki
kash jo jahate vo mil jata
hmmmmmmmmmmmm nice tosha
Logged
Tosha
Guest
«Reply #13 on: June 02, 2005, 02:06:45 PM »
yeh duniya dukhon se bhari hui hai
armaan hai is dil main
yeh mahefil armano se bhari hui hai
samajh na paaya koi ise
yeh duniya pal pal khel rachti hai
Logged
Tosha
Guest
«Reply #14 on: June 06, 2005, 04:36:57 PM »
Quote from: "fakharenaveed"
Quote from: "Tosha"
kash tera saath mil jata
kash tu mera ho jata
ajab kasauti hai jindgi ki
kash jo jahate vo mil jata
hmmmmmmmmmmmm nice tosha


 Shocked  Shocked  
:cry::cry:
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:17:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer