ZINDAGI JEENE KI KUCH TOH ******

by ranjana on November 03, 2006, 07:45:26 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2851 times)
ranjana
Guest
zindagi mein jeene ki kuch toh keemat hamne chukaai hai
ab dard hai unka dil mein aur sirf saathi tanhaai hai

dhaala thaa kabhi unhohone hame apni ghazlo ke lafazo mein
aaj kyu wahi har lafaz deta milne ki duhaai hai

yaado ke samander mein hai poonam ki chandni si
fir dil mein wahi unke dedaar ki hasrat chhayi hai

chamkati reit hai yeh ishq keh ke kabhi roka thaa usne mujhe
aaj wahi sehera ki pyaas mere labo per utar aayi hai

dil nadaan hai pyaar karta hai kyu us se
jo har waqt sangdil hai aur uski fitrat bewaafi hai!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: November 03, 2006, 09:57:26 PM »

Very Nice Ranju di.... and very deep feelings...




Dil mey utthi ghata teri yaadon ki,
Ab Aankhon sey barsaani hai…
Saavan mey roye armaan humare,
Aur Kehney ko bus paani hai….

Tera pyaar he hai jeevan mera,
Sabko hum yeh kehtey hai...
Is Zindagi ko jeene ki duniya ko,
Kuch wajah toh batanii hai…
[/b]
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: November 03, 2006, 10:20:11 PM »
bahut khoob RANJANA aur SHIKHA............
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #3 on: November 04, 2006, 04:16:32 AM »
ranjana behtarin likha aapne & shikha ji nice 1,specially expression...................

zindagi jeene ki mujhe kuch to wajah de
ya rab dard bhari raato ki ab to subah de

din mai na chain de mujhe,raato ko jagaye
aisi sitamgar tanhaayi ko kuch to saza de

maut chume maatha mera raahe-e-der pe unki
unke saath jeena na sahi marne ki to raza de

ZINDAGI JEENE KI MUJHE KUCH TO WAJAH DE .............(de dona )

...........................@fahi@............................
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2006, 05:17:36 AM »
Very nice ranju di, shikha and fahi..


Sab Se Chhupa Kar Dard Jo Wo Muskura Diya,
Uski Hansi Ne To Aaj Mujhe Rula Diya...

Lehje Se Uth Raha Tha Har Ek Dard Ka Dhuwan,
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya...

Aawaz Mein Thehrav Tha Aankhon Mein NaMi Thi,
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya...

Jane Kya Usko Logon Se Thi Shikayatein,
Tanhaiyon Ke Des Mein Khud Ko Basa Diya...
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: November 04, 2006, 12:48:01 PM »
wah kya baat hai .shikha ...fahi and angle...

shukriya vicky


teri ek nazar ne duniya mein afsaane bana daale
tute dil ke kitne hi taraane bana daale

badne lagi hai ab udasi kuch aise dil ki
zindagi ke daag kuch dil ne jala daale

koi benaam si manzil mujhe kyu bulaati hai baar baar
har raha per hamne apne thikaane bana daale

har pal tujhse bicharne ka dar hai dil ko
kuch shikve mujhe teri nigaah ne kar daale !!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2006, 01:26:53 PM »
kaha thi aap Ranjana.................

aankhon se mat kaho ,na labo ko jehmat dijiye
ye zindagi hai zeher,to amrit samajh kar pijiye

.....................@fahi@.......................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: November 04, 2006, 01:43:41 PM »
wah do line mein kamaal aap karte hain fahi ..very nice ...

kis ki chubhan se aaj dil yun sulag  utha
hamne uske diye har dard ko peeya thaa amrit samajh kar!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2006, 05:14:29 PM »
Bahut achhe fahi aur ranju di...

Ulfat Mein Kisiko Yun Sataya Nahi Karte,
Rayij Shab-E-Furqat Bhi Mitaya Nahi Karte,

Maana Ke GaM Aur Ranj To Deti Hai Mohabbat,
Shikayat Bhi Magar Lab Par To Laya Nahi Karte,

Ek Wakt Mukarrar Hai Duwaon Mein Asar Ka,
Bewaqt Kabhi Haath Uthaya Nahi Karte,

BadnaaM ZaMane Mein Wahi Ashaaq Hue Hai,
Wada Jo Mohabbat Mein Nibhaya Nahi Karte,

Kehne Ko Shab-E-GaM Bhi Guzar Jayegi
Toofan Shab-E-Furqat Mein Uthaya Nahi Karte...
* * * * *
Logged
akssar
Guest
«Reply #9 on: November 05, 2006, 12:25:18 PM »
beutifully written ranjana ji ,angel ji ,and shikha ji!

zindagi se apne sikwe-gile chipate hai wahi aksar
jinhe zindagi ke ranzo-gum se parda nahi hota
--------------------aKs-----------------------
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: November 05, 2006, 07:30:44 PM »
Thanks akssar, and nice one. Good.. Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: November 07, 2006, 07:42:08 AM »
saath chala vo, per woh saathi nahin tha
kabhi mere zindagi ki kishti ka manjhi nahi thaa
thaa mere jehan mein mere hi kisi khyaal jaisa
dil mein bas ke bhi woh meri dil ki dhrakn se wakif nahi thaa!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: November 07, 2006, 05:29:14 PM »
Dhadkano ka saaz wo khud uljha gaya
jiske dam se inka karvan chalta tha,
kashtiyon ko doobo gaya mera manjhi
uske hisab se duniya ka yehi dastoor tha...
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #13 on: November 07, 2006, 06:03:32 PM »
Very well Usual Smile good yar !


Woh subah kabhi to aayegi  

In kaali sadiyon ke sar sey jab raat ka aanchal dhalkega
Jab dukh ke badal pighalengey jab sukh ka saagar jhalkega
Jab ambar jhoom ke nachega jab dharati naghame gayegi  

Woh subah kabhi to aayegi...  

Jis subah ki khaatir jug jug sey hum sab mar mar ke jeeten hain
Jis subah ke amrit ki dhun mein hum zahar ke pyaale peeten hain
In bhuki pyaasi ruhon par ik din to karam farmayegi  

Woh subah kabhi to aayegi...  

maana keh abhi terey merey armanon ki qimat kuch bhi nahin
Mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki qimat kuch bhi nahin
Insanon ki izzat jab jhutey sikkon mein na toli jaayegi  

Woh subah kabhi to aayegi...  

Daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jayega
Chaahat ko na kuchala jayega, izzat ko na becha jayega
Apney kaaley kartuton par jab yeh duniya sharmaayegi  

Woh subah kabhi to aayegi...  

Beeten-gey kabhi to din aakhir yeh bhuk ke aur bekaari ke
Tooten-gey kabhi to but aakhir daulat ki ijarahdari ke
jab aik anokhi duniya ki buniyad uthai jayegi  

Woh subah kabhi to aayegi...  

Majboor burhapa jab sooni raahon ki dhool na phankega
Maasoom larakpan jab gandi galiyon mein bhuk na mangega
Haque mangne walon ko jis din suli na dikhaee jayegi  

Woh subah kabhi to aayegi...  

Faqon ki chitaaon par jis din insan na jalayen jayengen
Seeney ke dahakatey dozakh mein armaan na jalaye jayengey
Yeh narak sey bhi gandi duniya, jab swarg banaee jayegi  

Woh subah kabhi to aayegi.
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #14 on: November 08, 2006, 05:39:18 AM »
itz too nice ,sadiqa ji....lets see,woh subah kab  aayegi......

itni si aur jeene ki khudaya mujhko de de mohlat
andhere se ghiri  zindagiyo mai kuch savera kar saku

......................@fahi@.....................
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:38:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer