Zindagi ka safar...

by Meena on January 19, 2005, 03:56:38 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2474 times)
Meena
Guest
Zindagi safar hai tanhaiyon ka,
Dil me chupi kayi geherayion ka,
Duaon ke liye aab haath uthte hai humare,
Jo asar nahin hota aab dawayion ka!

Khoyi hui nazar aur ankhon ki nami gawayi de rahi hai,
Ke silsila zahir hai apno ki riswaiyon ka!

Dulhan ji tara saja rakha hai ashkon se teri yaadon ko,
Jalne ke baad hi ada hongi rasm-e-vidhayi ka!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Safar zindagi ka kate by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
~~~ZINDAGI KA SAFAR~~~ by vitasta in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
*Zindagi Yaatna Ka Safar Hai* by Roja in Shairi - E - Zindagi
zindagi ka safar chalta hai chalta jaayega by @kaash in Shairi - E - Zindagi
Meri nazar mein zindagi safar hi safar hai............ by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: January 19, 2005, 04:25:43 PM »
wwow meena.............excellent...toucinhg words

Har Ghari Qiyamat Thi Yeh Na Poochh Kab Guzri
Bas Ghaneemat Hai Terey Baad Shab Guzri
Baad-E-Tark-E-Ulfat Bhi Yun To Hum Jiye Lekin
Waqt Be Tarha Beeta, Umar Be-Sbab Guzri......
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: January 19, 2005, 04:29:57 PM »
shukriya ji shukriya!

 :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: January 19, 2005, 04:46:39 PM »
ur welcome meena........  :lol:
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: January 19, 2005, 05:41:51 PM »
:D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: January 20, 2005, 02:23:06 AM »
Wah..Meena Bohat umda...

Waheed nice1.....
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #6 on: January 20, 2005, 04:49:56 AM »
bohot khoob!!!!!!!!!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: January 20, 2005, 04:34:47 PM »
shukriya ji shukriya!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: January 28, 2005, 05:20:09 PM »
Quote from: "Meena"
Zindagi safar hai tanhaiyon ka,
Dil me chupi kayi geherayion ka,
Duaon ke liye aab haath uthte hai humare,
Jo asar nahin hota aab dawayion ka!

Khoyi hui nazar aur ankhon ki nami gawayi de rahi hai,
Ke silsila zahir hai apno ki riswaiyon ka!

Dulhan ji tara saja rakha hai ashkon se teri yaadon ko,
Jalne ke baad hi ada hongi rasm-e-vidhayi ka!


very nice.....too good.... safar ko sunte hi kuch yaad aa gya aur na jane kasiye in zazbatoon ne lafzooN ka roop le liya. to pesh-e-kidmat hai...

ZiNDaGi Ke Is SaFaR Mein
MoHaBbaT Ka Koi ChaLaN ChhoD Do

YaaD Mein BaHaaYe Hain Jo AanSoon
KiSi DiL Mein AiSi LaGaN ChhoD do

CheHRe Ki ShiKaNn BaNKaR TeRe SaaTh ChaLooNGa,
KhwaaBon Ka ChaMaN BaNKaR TeRe SaaTh ChaLooNGa.

YeH VaaDa Hai SaNaM ABb Ki BaaR,
PaiRoN Ki ThaKaN BaNKaR TeRe SaaTh ChaLooNGa.
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: January 28, 2005, 05:37:11 PM »
wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh!

saath chalna tha to humsafar ban kar chalte,
takan ban kar hume majbooran raste me na rokhte,
pa lete tab hum manzilon ko bhi,
aur toofano se bhi ladne ki himmat hoti!
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: January 28, 2005, 05:38:25 PM »
wah Meena ji ..very nice

carry on Hum Tum ji...
Logged
Meena
Guest
«Reply #11 on: January 28, 2005, 05:39:24 PM »
shukriya!!!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: January 28, 2005, 05:56:42 PM »
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh!

saath chalna tha to humsafar ban kar chalte,
takan ban kar hume majbooran raste me na rokhte,
pa lete tab hum manzilon ko bhi,
aur toofano se bhi ladne ki himmat hoti!



Good work meena ji...... agey likh paya hooN

Mere saath chalne waale tujhe kya mila safar mein
wohi dukh ki sarzamee hai wohi gham ka aasma hai
inhi raaston ne jin pe kabhi tum the saath mere
mujhe rok rok ke poocha tera humsafar kahan hai.
Logged
husain52
Guest
«Reply #13 on: January 29, 2005, 02:13:56 PM »
very nice meena, waheed bhai and hum tum.........

kyaa kabhii hogii kisii kii tuu magar ai zindagii
jaan de kar ham ne rakh lii tere diivaano.n kii baat
Logged
bakwashayar
Guest
«Reply #14 on: January 29, 2005, 03:19:53 PM »
tote sapnoon ko tum kese jodo gai
waqt ka dhara tanha kese modo gai

chor gaye jo tanha sathi tumko sab
inki yadoon ko tum kese choro gai

ashk na hongein to jam jayen gee ahein
shaam ki khamoshi ko kese todo gai

log to dewaana keh kar sangsar karein
saray shaher k sar tum kese FODO gai tongue3

khushiyoon ki poshak ki tujhko adat hay
gham say chalni chadar kese orho gai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:04:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer