~~~ZINDAGI KA SAFAR~~~

by vitasta on April 11, 2005, 01:37:48 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2128 times)
vitasta
Guest
mohabbat mein sambhal kar chalna na aaya,
dariya-e-gham se ubharna na aaya,
koste hain aaj hum zindagi ke safar ko,
par woh to hum the jise chalna na aaya.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Safar zindagi ka kate by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Zindagi ka safar... by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
*Zindagi Yaatna Ka Safar Hai* by Roja in Shairi - E - Zindagi
zindagi ka safar chalta hai chalta jaayega by @kaash in Shairi - E - Zindagi
Meri nazar mein zindagi safar hi safar hai............ by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri
HumTum
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2005, 01:43:21 PM »
Quote from: "vitasta"
mohabbat mein sambhal kar chalna na aaya,
dariya-e-gham se ubharna na aaya,
koste hain aaj hum zindagi ke safar ko,
par woh to hum the jise chalna na aaya.........


nice.......

Qismat mein jo apni andhere hain ab un se jaan bachaein kiya
Dil hi jab apna jalta ho phir koi shamma jalaein kiya

Khud aag lagayee jeevan mein dil tum se haar ke betth gaye
Ab kis se shikwa-e-shauq karen ab roein kiya pachhtaein kiya


HumTum
Logged
vitasta
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2005, 01:46:17 PM »
kismat mein jo likha woh kaun jaane,
kaun apna kaun paraya kaun jaane,
kis par bharosa karna hai kaun jaane,
kis ka dil kab tootega kaun jaane???
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2005, 01:48:44 PM »
Quote from: "vitasta"
kismat mein jo likha woh kaun jaane,
kaun apna kaun paraya kaun jaane,
kis par bharosa karna hai kaun jaane,
kis ka dil kab tootega kaun jaane???


khud bnao apni kismat, to janey
humko jo pechaan sko, to janey
gar kiya hai brosa to hmesha kertey rehna
iss adaa ko apno , to janey .....
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2005, 03:18:21 PM »
kya baat hai vitasta ji and hum tum ji!!!!! bohot hi super duper sher tha vitasta ji starting me!!! keep it up u both!!

 :D
Logged
vitasta
Guest
«Reply #5 on: April 13, 2005, 09:53:28 AM »
humne kari thi koshish par khud apni kismat bana na sake,
humne chaha tha kisi ko par kabhi use paa na sake,
mana ismein thi humari bhi bhool,
par kya karen ki use kabhi hum bhula na sake...
Logged
nikki
Guest
«Reply #6 on: April 13, 2005, 10:01:52 AM »
hota agar kisi ko bhula dena itna asan
to hum kab ke mukt ho gaye hote onki yaadon se
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: April 13, 2005, 10:03:59 AM »
Quote from: "nikki"
hota agar kisi ko bhula dena itna asan
to hum kab ke mukt ho gaye hote onki yaadon se


yeh kya ke sab se byaaN dil ki haltein karni
"Nikki" tumko aayi hi nhi muhhobtien karni

HumTum
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: April 13, 2005, 10:09:56 AM »
kya karein ki haal-e-dil chupaya nahi jata
zubaan to chup rehti hai...aankhon ko sumjhaya nahi jata
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2005, 10:11:04 AM »
Quote from: "nikki"
kya karein ki haal-e-dil chupaya nahi jata
zubaan to chup rehti hai...aankhon ko sumjhaya nahi jata


Humdard rahnumaoN se darta hooN "HumTum"
mein zakm to rakhta hooN, numaish nhi karta
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: April 13, 2005, 10:13:33 AM »
kisi ne nahi dekha humare dil ke chalon ko
kyun ki hum sada muskurate rahe , kabhi haal-e-dil bataya hi nahi
Logged
vitasta
Guest
«Reply #11 on: April 13, 2005, 10:13:40 AM »
nice work humtum and nikki and thanks meena.................
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: April 13, 2005, 10:15:25 AM »
Quote from: "nikki"
kisi ne nahi dekha humare dil ke chalon ko
kyun ki hum sada muskurate rahe , kabhi haal-e-dil bataya hi nahi



samj gaye they tere zakhmo ko "Nikki"
hum bhi kab se ussi samunder mein hai doobey huye
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: April 13, 2005, 10:17:11 AM »
humrah the hum..humsafar bhi
fir bhi haal-e-dil sunaya na gaya
jo dard tha dil mein..
chah kar bhi jubaan pe laya na gaya
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: April 13, 2005, 10:22:00 AM »
samj hi lete hai chahney waley drad ko
isko byaan-e-zubaan ki zruurat nhi hoti
yeh to afssana hai jo ankhooN se nazar aata hai
isko kissi alfazooN ki zaruurrat nhi hoti
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:07:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer