Zindagi Ka Sara Gham Likh Diya Ismein,..

by Jaanasheen on April 25, 2006, 02:36:47 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 7854 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Paali Khushian Tune Mera Dil Jalakar,..
Bol Kya Tu Jee sakegi Mujhe Bhoola Kar,..

Tu Khush Reh Har Pal Teri Khushion Ke Liye Mujhe Gham Se Bhi Pyaar Hai,.
Bata Ek Pal ke Liye Bhi Kya Tujhe Mera Intezaar Hai,..

Apna Ujdaa Ashiaana Is Baat Ka Mujhe Gila Nahi,..
Main Kya Gila karoon Tujhe Dusra Koi Mila Nahi,..

Meri Barbaadion Par Tune Lakhon Khushiaan Manaai,.
Bata Zindagi Mein Phir Tu Muskuraai.,..

Tu Khush Rehna Sadaa ye Meri Dua Hai,.
Teri Har Khushi Ke Peeche Meri Hi Sadaa Hai,.

Kar Gayi Tu Mujhse Bewafai Ye Mera Naseeb Hai,..
Magar Khush Rakhna Tu Use Jo Tere Dil ke Kareeb Hai,..

Ye Mera Mukkaddar Nahi ke Paa Sakoon Mein Zamaane Se Mohabbat,..
Kyun Ki Khatam Hogayi Aaj Duniya Ko Meri Zaroorat,..

Aaj Main Jaa raha Hoon Duniya Se, Mohabbat Ko Zindagi Dene Ke Liye,..
Bujha Raha Hoo Main Apna Charag, Zamaane Ko Roshni Dene ke Liye,...

Na Samjh Tha Main Ke Har Ek Par Aitbaar Kiya,..
Jisne Bhi Mujhse Muskuraake Baatein Ki Us se Pyaar Kiya,..

Ab Jaa Raha Hoon Main Duniya Se Haath Choorakar,..
Arzoo Hai Yaad Karna App Hume Kabhi Bhoolakar,..

Khushian Mubarak Ho Tumhe Apna To Yahi Paigaam Hai,..
Appko Aur Saare zamaane Ko Mera Aakhri Salaam Hai,..

_______________-Azeem-________________




Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: April 25, 2006, 05:32:15 PM »
........m speechless......kya khoob likha hai....marvellous jaanasheen Usual Smile .
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: April 25, 2006, 05:37:54 PM »
bahot  khoob  Janasheen..............
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: April 26, 2006, 02:47:13 AM »
Khoob, bahut khoob Jaani!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 26, 2006, 09:03:40 AM »
Shukriya Doston,..
Gar Ap Kuch Likhte To Hume Mauka Milta Aur Dard Dil se Nikal Ne ka,..


Roshni Mili Tumhe Mera Ghar Ko Jalaane Se,..
Nahi Aata Koi Maraa Hua Kisi ke Bulaane Se,..

Aaj Kar Rahi Hai Tu Pachtawa Mere Marne Ka,..
Jab Zinda Tha To Tune Dil Lagaya Is Zamaane Se,..

Ab Ho Raha Hai Charcha Mere Mohabbat Ka In Mefilon Mein,..
Baat Nahi Khatam Hogi Apni, In Charagon Ke Bujhaane Se,..

Yaad Rakhna Tu Meri Chahaton Ko Jaanasheen,..
Dhul Rahe Hain Saare Panne Mere Ab Mohabbat Ke Fasaane Se,...

Teri Duniya Sada Abaad Rahe Apni To Yahi Tammanna Hai,..
De Doon Saari Khushian Main Tujhe Apne  Khazaane Se,..

Yaad Karna Tu Mujhe Har Waqt Har Mord Par,..
Kyun Ki Yaadein Aur Aati Hain Kisi Ko Bhulaane Se,..

_______________-Azeem-_____________


Logged
vikas2210
Guest
«Reply #5 on: April 26, 2006, 09:12:00 AM »
GOOD JS bahi

very goooood.

itne dard se agar tum likhoge
to hum apna gum kisse baatenge
jo tum gum geen rahoge
to hum khush kaise rehenge...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 26, 2006, 09:47:40 AM »
Shukriya Vikas Bhai,..

Mere Dil Mein Jitne Dard Hain Wo Kam Hai Kisi Ko Hasaane Ke Liye,..
Unhone Ne Mera Saath Chord Diya Is Bedard Zamaane ke Liye,..

Aaj Tanha Hoon Main Kuch Is Kadar Is Mehfil Mein,..
Ke Lage Hain Log Mujhe Duniya Se Mitaane Ke Liye,..

Tu Gum Na Hona Mere In Ghamon Mein Kahin,..
Khuda ne Tumhe Zindagi Di Hai Muskuraane Ke Liye,..

Yahi Mukkadar Hai Apna, Doobe Hain Ghamon Mein,..
Aur Lage Hain Sab Mujhe Aazmaane Ke Liye,..

Mujhe Is Baat ka Gham Nahi Ke Wo Khush Hai Meri Barbaadion Par,..
Gila Is Baat Ka Hai Ke Unhone Mujhe Hi Choona Jalaane ke Liye,..

_________________________-Azeem-______________________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 26, 2006, 10:08:24 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
........m speechless......kya khoob likha hai....marvellous jaanasheen Usual Smile .

Shukriya Nidhi jee,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 26, 2006, 02:07:50 PM »
Ye Mera Naseeb Tha ke Mili Mujhe Tanhaai Zamaane Ki,..
Magar Tu Udaas Na Reh Teri To Adat Hai Muskuraane Ki,..

Aaj Main Hoon Bebas, Dooba Hoon Ghamon ke Samander.,..
Ye Mili Hai Sazaa Mujhe Tujhse Dil Lagaane Ki,..

Na Kar Afsos Ab Mere Haal Par Tu Is Tarah Jaanasheen,..
Teri To Adaa Hi Thi Sab Ke Dilon Ko Jalaane Ki,..

Ab To Ho Raha Hai Matam Apni Zindagi Ka Mujhe,..
Na Kar Tu Koshish Mere Dil ki Aag Bujhaane Ki,..

Ab Maloom Nahi Main Zinda Rahoonga ke Nahi,..
Kyun Ki Usne Kasam Khaayi Hai Hume Mitaane Ki,..

_____________-Azeem-____________
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: April 26, 2006, 06:18:31 PM »
Wowowowow kya baat hai,saari ghazals ek se badhkar ek hain,bohat khoob jaanasheen,keep writing.
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #10 on: April 27, 2006, 12:10:45 AM »
jaan hain.... janasheen... simply superb...


Har taraf khamoshi ka saaya hai,
zindagi mein pyaar kisne paaya hai,
hum yaadon mein jhumte hain uski,
aur zamana kehta hai dekho aaj phir peekar aaya hai…
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: April 27, 2006, 02:10:39 AM »
Quote from: "Jaanasheen"
Paali Khushian Tune Mera Dil Jalakar,..
Bol Kya Tu Jee sakegi Mujhe Bhoola Kar,..

Tu Khush Reh Har Pal Teri Khushion Ke Liye Mujhe Gham Se Bhi Pyaar Hai,.
Bata Ek Pal ke Liye Bhi Kya Tujhe Mera Intezaar Hai,..

Apna Ujdaa Ashiaana Is Baat Ka Mujhe Gila Nahi,..
Main Kya Gila karoon Tujhe Dusra Koi Mila Nahi,..

Meri Barbaadion Par Tune Lakhon Khushiaan Manaai,.
Bata Zindagi Mein Phir Tu Muskuraai.,..

Tu Khush Rehna Sadaa ye Meri Dua Hai,.
Teri Har Khushi Ke Peeche Meri Hi Sadaa Hai,.

Kar Gayi Tu Mujhse Bewafai Ye Mera Naseeb Hai,..
Magar Khush Rakhna Tu Use Jo Tere Dil ke Kareeb Hai,..

Ye Mera Mukkaddar Nahi ke Paa Sakoon Mein Zamaane Se Mohabbat,..
Kyun Ki Khatam Hogayi Aaj Duniya Ko Meri Zaroorat,..

Aaj Main Jaa raha Hoon Duniya Se, Mohabbat Ko Zindagi Dene Ke Liye,..
Bujha Raha Hoo Main Apna Charag, Zamaane Ko Roshni Dene ke Liye,...

Na Samjh Tha Main Ke Har Ek Par Aitbaar Kiya,..
Jisne Bhi Mujhse Muskuraake Baatein Ki Us se Pyaar Kiya,..

Ab Jaa Raha Hoon Main Duniya Se Haath Choorakar,..
Arzoo Hai Yaad Karna App Hume Kabhi Bhoolakar,..

Khushian Mubarak Ho Tumhe Apna To Yahi Paigaam Hai,..
Appko Aur Saare zamaane Ko Mera Aakhri Salaam Hai,..

_______________-Azeem-________________







bahoot khoob....

Tum bin ek pal na jee payegy
Tujh bin hum to mar jayegy

Her pal tera hi intzaar kiya
In najro ne bhi sirf tera hi deedar kiya

Koi aor kabhi is dil mai na ayega
Tera ashiyana hi basera, mera ban jayega

Muskuraht sirf tere hi sung atti hai
Zindagi tuj bhin khoon ke ansoo rulaati hai

Sada is dil ki kisi din rang layegi
Rub ki mefil mai, meri fariyaad bhi suni jayegi

Dil ke kareeb sirf ek tu rahta hai
Teri salmati ki dua, yah din raat karta hai

Meri roshini sirf ek tujse hai, kaise batau mai
Tu hi ek meri jaroorat hai, kaise samjhau mai

Khushiyan sare jahan ki tujh per nayochawar kar du
Tere salaam se pahle, mai sabko apna akhiri salaam kar du!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: April 27, 2006, 02:27:01 AM »
Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Doston,..
Gar Ap Kuch Likhte To Hume Mauka Milta Aur Dard Dil se Nikal Ne ka,..


Roshni Mili Tumhe Mera Ghar Ko Jalaane Se,..
Nahi Aata Koi Maraa Hua Kisi ke Bulaane Se,..

Aaj Kar Rahi Hai Tu Pachtawa Mere Marne Ka,..
Jab Zinda Tha To Tune Dil Lagaya Is Zamaane Se,..

Ab Ho Raha Hai Charcha Mere Mohabbat Ka In Mefilon Mein,..
Baat Nahi Khatam Hogi Apni, In Charagon Ke Bujhaane Se,..

Yaad Rakhna Tu Meri Chahaton Ko Jaanasheen,..
Dhul Rahe Hain Saare Panne Mere Ab Mohabbat Ke Fasaane Se,...

Teri Duniya Sada Abaad Rahe Apni To Yahi Tammanna Hai,..
De Doon Saari Khushian Main Tujhe Apne  Khazaane Se,..

Yaad Karna Tu Mujhe Har Waqt Har Mord Par,..
Kyun Ki Yaadein Aur Aati Hain Kisi Ko Bhulaane Se,..

_______________-Azeem-_____________




Dil hi jalta hai, tere dil jalaane se
Such kaha, lout kar na ayya koi, kitna bhi bulaane se

Tere marne se pahle mai mar jaau
Na hi kar baat, dil lagana mera wo zamaane se


Bahoot khoob Jsheen…. Koshish ki poori tarah se jawab de saku.. magar kamal ka likha hai apne!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 27, 2006, 08:38:50 AM »
Shukriya Nidhi Ji Aur Pooja Ji,...

Har Raat Katti Hai Meri Ghamon Ke Veeraane Mein,..
Shayad Kahin Wafa Ka Naam Na Raha Is Zamaane Mein,..

Ab To Jeeye Jaa Rahe Hain Hum Is Duniya Mein Gham Sehkar,..
Dil ke Zakham Choopake Lage Hain Sab Ko Hasaane Mein,..

Kya Gila Karoon Main Un Bedardon Ka Tumse Jaanasheen,..
Jinhone Koi Kasar Na Chordi Tere Ashiq Ko Mitaane Mein,..

Na Rahi Arzoo Koi In Roshaan Mehfilon Se Mujhe,..
Jab Sab Ne Laga Di Taqat Mere Zindagi ke Diye Bujhaane Mein,..

Teri To Adat Hai Sabko Ghamon Ke Samander Mein Dubanaa,..
Aur Lagi Hai Tu Har Ek Ka Dil Jalaane Mein,..

Muskuraati Hai Tu Dekhkar Sab ke Zakham,.
Magar Wo Khushi Nahi Hai Aaj Tere Aashiaane Mein,..

Legayi Tu Mera Dil ka Chain, Tordiye Saare Armaan,..
Is Wajah Ab Hume Koi Tammanna Na Rahi Kisi Se Dil Lagaane Mein,..

____________________-Azeem-____________________-
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #14 on: May 01, 2006, 03:52:57 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Paali Khushian Tune Mera Dil Jalakar,..
Bol Kya Tu Jee sakegi Mujhe Bhoola Kar,..

Tu Khush Reh Har Pal Teri Khushion Ke Liye Mujhe Gham Se Bhi Pyaar Hai,.
Bata Ek Pal ke Liye Bhi Kya Tujhe Mera Intezaar Hai,..

Apna Ujdaa Ashiaana Is Baat Ka Mujhe Gila Nahi,..
Main Kya Gila karoon Tujhe Dusra Koi Mila Nahi,..

Meri Barbaadion Par Tune Lakhon Khushiaan Manaai,.
Bata Zindagi Mein Phir Tu Muskuraai.,..

Tu Khush Rehna Sadaa ye Meri Dua Hai,.
Teri Har Khushi Ke Peeche Meri Hi Sadaa Hai,.

Kar Gayi Tu Mujhse Bewafai Ye Mera Naseeb Hai,..
Magar Khush Rakhna Tu Use Jo Tere Dil ke Kareeb Hai,..

Ye Mera Mukkaddar Nahi ke Paa Sakoon Mein Zamaane Se Mohabbat,..
Kyun Ki Khatam Hogayi Aaj Duniya Ko Meri Zaroorat,..

Aaj Main Jaa raha Hoon Duniya Se, Mohabbat Ko Zindagi Dene Ke Liye,..
Bujha Raha Hoo Main Apna Charag, Zamaane Ko Roshni Dene ke Liye,...

Na Samjh Tha Main Ke Har Ek Par Aitbaar Kiya,..
Jisne Bhi Mujhse Muskuraake Baatein Ki Us se Pyaar Kiya,..

Ab Jaa Raha Hoon Main Duniya Se Haath Choorakar,..
Arzoo Hai Yaad Karna App Hume Kabhi Bhoolakar,..

Khushian Mubarak Ho Tumhe Apna To Yahi Paigaam Hai,..
Appko Aur Saare zamaane Ko Mera Aakhri Salaam Hai,..

_______________-Azeem-________________






Thats a Brilliant Job Jaaanasheen......Keep it up
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:01:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer