zindagi kar gayi hamse bewafaai~~~`

by ranjana on September 21, 2006, 06:09:50 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3536 times)
Shikha12
Guest
«Reply #15 on: September 28, 2006, 05:20:01 AM »

Very nice all of u...
Ranju di.. Gaurav.. Vikas... Azeem... Superb work all of u...
=D> =D> =D>
[/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jeene Ki Aarzoo Thi Hamhari, Zindagi Hamse Mukh Mod Liya. by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
zindagi zindagi ho gayi by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindagi hi barbaad ho gayi by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Kyu zindagi tu tham si gayi he... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
vikas2210
Guest
«Reply #16 on: September 28, 2006, 06:59:52 AM »
Shukriya Angel, JS Ranju, and Shikha Ji

Ranjana Ji aapne bahut bahut accha likha hai...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: September 28, 2006, 08:28:13 AM »
shukriya ..Shikha ...........and VIKAS JI

mit sake dilo ka andhera
dilo ka ek deep tum jala lo
apne chehere per jami yaado ki dhool
tum kuch apne aankho ke aaine se hata lo
khud se khud ko chhalne ka yeh dard kab kam hoga
ek pal ke liye hi sahi per kisi ke dard apne seene se laga lo
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #18 on: October 01, 2006, 04:32:59 AM »
Nice One Again Ranjana sis And Vikas Bhai,..


Dard Sehne Ki Ab Mujhe Adat Hogayi Hai,..
Ke Muskuraa Deta Hoon Jab Dard Bardta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: October 01, 2006, 05:15:48 PM »

Khwab Toot Jaate Hain,
Bhid Me ZaManeki,
Haath Chhoot Jaate Hain,
Durustdar Lehjo Mein Silwatein Si Pad Jaati Hai
Ek Zara Si Ranjish Se
Shak Ki Zard Tehni Par Phool BadguMani Ka,
Is Tarahse Khilte Hain,
Zindagi Se Pyare Bhi
Ajnabi Se Lagte Hai, Gair Banke Milte Hai,
UMar Bhar Ki Chahat Ko Aasra Nahi Milta,
Dasht-E-Beyakeeni Me Rasta Nahi Milta,
KhaMoshi Se Wakfoon Mein,
Baat Toot Jaati Hai Aur Sira Nahi Milta,
Khoye Hue Se Lafzon Ko Roshni Nahi Milti
WehMon Ke Saaye Se UMar Bhar Ki Mehnat Ko
Pal Mein Toot Jaate Hai,
Ek Zara Si Ranjish Se,
Saath Chhut Jaate Hai,
Bhid Mein ZaManeki
Haath Chhut Jaate Hain,
Khwaab Toot Jaate Hain...
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: October 03, 2006, 05:11:29 AM »
bahut hi accha likha hai angle aapne.....

zindagi ki raha mein koi toh khawab sa ban ke khil jaayega
kabhi toh koi saaya mera hamsafar ban hi jaayega

dahl jaayega mere dard ka andhera kabhi toh ujaalo mein
koi toh kabhi mujhe bhi apne seene se laga ke chup kareyga

beet raha hai hat pal ek umeed ke jalte chiaarg se
mere tutate hue sapano mein kabhi toh koi pyaar ka rang bhar jaayega!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: October 05, 2006, 02:32:25 PM »
bahoot khoob husena and ranjana,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #22 on: October 06, 2006, 05:17:38 AM »
shukriya bhai .........


 khamosh lab bhi apna fasaana keh jaate hain
dilo ki darkan se bhi kabhi saaye pighal jaate hain
karte hain fariyaad kabhi nazaro ke pimaaane chalak ke
mere lafaz mehek ke meri dastaan bhi keh jaate hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #23 on: October 06, 2006, 04:11:10 PM »
wah  wah  awesome    ......   kya baat hia sis....

Humne chaha tha ki rukte teri khatir lekin
raaste paanv se kheeche liye jaata hai koi .....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #24 on: October 06, 2006, 05:54:07 PM »

Zindagi ka guzarta hua
har ek lamha,
mujhe tumse to
kareeb se kareeb karta jaa raha hai,
magar khud se,
khudki rooh se bahut door karta jaa raha hai...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #25 on: October 06, 2006, 06:05:18 PM »
bahot  khoob  Angel...........

Aap  phir  yeh  dil  bhar  raha hai aahein
jis  tarah di; ke tootne per koi bharta hai aahein
kisi  bhi jagah, kisi bhi pal chain nahi
jaane kisne iske under bhar diya aahein.........
Logged
gumnam
Guest
«Reply #26 on: October 08, 2006, 02:22:45 PM »
Quote from: "ranjana"
zindagi khud kar gayi hai hamse bewafaai
ab hum kisko ilzaam aur saja sunaaye
jab tod diya dil mera apano ne hi
toh kisi aur ko ja ke kya apna haal sunaaye

na mila mujhe wafa karke bhi apni zaindagi ka saaya
luta mujhe usi rahagujar ne jo kabhi thaa haumsafar hamaara
dikhaaye they khawab usne mujhko na jaane kaun se gulisthaan ke
haath jab chhuta veeran si thee zindagi meri aur koi saath na thaa sahara

mera pyaar thaa ek masoom bache sa amrit ki dhara
samajh na sake woh kabhi dil ki baat meri aur kar liya mujhse kinaara
bhari hai meri aaho ne bhi siskiyaan kai baar tanah ho ke
kabhi nahi aaya poochane koi  bhi daaman aansu hamara

bata de mujhe a mere khuda ki mera kasur kua hai
kyu karke wafa seh ke har sitam mujhe naam bewafa ka unhone de daala!!
YOU ARE THE BEST...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #27 on: October 09, 2006, 08:05:40 AM »
bikahr gaye hain sab khawaab mere
phoolo se mehkate dil kahi kho gaye

ek aas thee dil mei kcuh milne ki
woh bhi ujaale kahi andhero mein gum ho gaye

waqt pada toh koi saath nahi thaa mere
mere saaye bhi mujhse bichar ke kisi aur ke ho gaye!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: October 10, 2006, 05:39:36 AM »
Quote from: "gum"
Bhayut sundar eshaas likha hai Ranju sis...Maan karta hai aap ke kalam chum lu (j/k)



shukriya little bro .... Usual Smile per kalam nahi keyboard  tongue3  Usual Smile
Logged
gumnam
Guest
«Reply #29 on: October 20, 2006, 01:44:44 PM »
Quote from: "ranjana"
bikahr gaye hain sab khawaab mere
phoolo se mehkate dil kahi kho gaye

ek aas thee dil mei kcuh milne ki
woh bhi ujaale kahi andhero mein gum ho gaye

waqt pada toh koi saath nahi thaa mere
mere saaye bhi mujhse bichar ke kisi aur ke ho gaye!!
BAHUT KHUB.....

KABHI CHAMAN,KABHI DAAR-O-RASAN SE GUJRE HAI,
KI TERI TALAASH MEIN HAR ANJUMAN SE GUJRE HAI...
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 08:54:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer