ZINDAGI KI SACHAI......

by khwaish on February 29, 2008, 07:41:45 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 20074 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: March 03, 2008, 12:21:09 AM »
Beete lamho main zindagi bitate hai
Kitani purani zindagi mai
her ek pal naya paate hai!!

Khyalo mai hi zindagi ko sirf mehkaate hai
Mehak ki talash main, na jaane kitne pal gawate hai

Yaadon mai, sanjo kar rakha hai apni khushio ko
Ane wale waqat main, khushia paana hi bhool jaate hai

Sapno mai sanjote hai, apne dil ke her ek armaan
Zindagi ki haqiqat mai, her ek armaan chupate hai

Kuch lamho ko agar koi soch kar dekhein
Hum apne gumo ko khud hi to bulate hai

Zindagi ki sachai ko jaane bina
Na jaane kyun anjaane mai
Khud ko khud hi dard diye jaate hai

Beete lamho main zindagi bitate hai
Kitani purani zindagi mai
her ek pal naya paate hai!!


Nice reply didi.. bahut accha likha hai aapne.
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #16 on: March 03, 2008, 07:12:08 AM »
Roja ji,

Zindgi ki Sacchyi hamein kuchh yun samajh aayi
Khushi mein Badhayi , Gamon mein Duhaayi
Sach kahun toh Ekpal mein Duniya ki Sacchayi ko Samajh leita hun
Har gujrey Vakye ke saath main aksar baat badal deita hun










Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: March 03, 2008, 06:04:57 PM »

[/quote]

Dard bari yeh kavita dil ko chu gaya hai khawish ji.
Mai bahut emotional ho gayi thi padkar. Good...
[/quote]

BAHUT BAHUT SHUKRIYA ROJA AAPKA..YEH BAHUT EMOTIONAL HO KAR HI LIKHI GAYI THI..SHUKRIYA AAPNE SARAHA IS KAVITA KO...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: March 03, 2008, 06:07:12 PM »
Roja ji,

Zindgi ki Sacchyi hamein kuchh yun samajh aayi
Khushi mein Badhayi , Gamon mein Duhaayi
Sach kahun toh Ekpal mein Duniya ki Sacchayi ko Samajh leita hun
Har gujrey Vakye ke saath main aksar baat badal deita hun












NICE ONE ZAKHMOLAJI..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: March 03, 2008, 06:33:23 PM »
THAK CHUKA HOON ZINDAGI KE ISS SAFAR MEIN
PAR MUJHE ABHI CHALNA BAHUT HAI...

KHUSHIYON KO TERE KOI BHI KHARID LEGA "KHWAISH"
PAR TERE GHAM KA KOI KHARIDAAR NAHI,
KYA KARE??
TERA GHAM MEHANGA BAHUT HAI...

TU ISS JAHAN KE LIYE BANA HI NAHI "KHWAISH"
JO TUJH PE VAAR KARE,USSI KE LIYE TU KEHTA HAI,
"DUSHMAN HI SAHI,PAR USKE SAR PAR SHAYAD
MAJBOORIYON KA KARZA BAHUT HAI...

KYON KEH DETA HAI HAR WOH BAAT
JO DIL MEIN HOTI HAI,
WOH SHAKS TANHA SA REH JAATA HAI ISS DUNIYA MEIN
JO HAR EK NAZAR MEIN ACHA BAHUT HAI...

JAANTA HOON KAL NAAM-O-NISHAAN BHI NA RAHEGA IS JAHAN MEIN
PAR AGAR JEENA HI HAI TO JIYU APNE HISAAB SE
"KHWAISH" KE LIYE ITNA HI BAHUT HAI....

TUJHE TO ANDHERO MEIN REHNE KA SHAUK HAI "KHWAISH"
CHOD ISS UJAALO SE BHARI MEHFIL KO
YAHAN TERI HAR BAAT PAR CHARCHA BAHUT HAI...

KISI KE JAZBBATO SE BHARE DIL KA
ANDAAZA BHI NAHI LAGA SAKTE YEH LOG.
KYA KARE??
GHAM KA AANSU YAHA SASTA BAHUT HAI.....

THAK CHUKA HOON ZINDAGI KE ISS SAFAR MEIN
PAR MUJHE ABHI CHALNA BAHUT HAI......

Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: March 03, 2008, 07:25:49 PM »
bahoot hi acha likha hai khwaish ji!!! jalad hi kuch likhne ki koshish karugi!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: March 03, 2008, 09:35:24 PM »
Sukh mai hai sab sathi, gum mai kon sath nibhata hai
Toot kar bikhar jaaye dil kitna hai, insaan kaha ruk paata hai

Her vaar ko seh kar, her dushman se ladte jaana hai
Tanhai mai he, apne zakhmo ko sehlaana hai

Naam-o-nishan mit gaye na jaane kis kis ke
Jab tak hai zindagi, bas uska naam liye jaana hai

Apne hi zajbaat nahi sambhalte ajj mujhse
Kisi aor ke zajbaato ka kaha humne ajmaana hai

Thak kar toot bhi jao to kaya hoga hasil
Pathar dil logo ne, pathar hi barsana hai!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: March 11, 2008, 09:21:12 PM »
Sukh mai hai sab sathi, gum mai kon sath nibhata hai
Toot kar bikhar jaaye dil kitna hai, insaan kaha ruk paata hai

Thak kar toot bhi jao to kaya hoga hasil
Pathar dil logo ne, pathar hi barsana hai!!


BAHUT KHOOB..YEH LINES TO KAMAAL KE LIKHE HAI AAPNE..BAHUT ACHE POOJAJI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: March 11, 2008, 09:29:51 PM »
shukaria janab!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 14, 2008, 03:18:51 PM »
Jhoothi hai zindagi, na is main koi suchai hai
Suche insaan ne yaha, ant mai mout hi paai hai
Fareb ki is nagari main, her zindagi murda najar aai hai
Jis ne bhi chahi wafa nibhani, uski hansi is zamane ne urai hai

Kis ko maane such ab aor kis ko maane jhooth
Ajj ke jamane main, such-jhooth ne hi pehchan gawai hai
Her koi pathar dil insaan yaha Pooja
Na Jaane kaya soch kar, apne dil ki baat batai hai.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: March 15, 2008, 12:29:41 PM »
BAHUT KHOOOOB POOJAJI...BAHUT HI ACHA LIKHA HAI AAPNE...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #26 on: March 15, 2008, 01:22:54 PM »
 Pooja ur khwaish ji bohat acha likha hai aapne..

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: May 12, 2008, 07:04:18 PM »
bahut bahut shukriya honeyji..
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:56:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer