Zindagi Ko Guzar Te Dekhta Hoon.

by majid on December 22, 2008, 08:20:06 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Author  (Read 5305 times)
k.shael
Guest
«Reply #30 on: January 21, 2009, 05:34:17 AM »
bohat khoob shael ji

aapki is rachna ko padkar jyada to nahi
bas do line jarur kehna chaunga.
Tujhe Paane Ki Tamanna Yun Hi Dil Main Dafan Ho Gayi.
Dil Main Basi Saari Umeedein Aanshuon Main Beh Gayi.

Hum To Yun Hi Baithe Rahe.e.Dost Unke Intezar Main Aur
Na Jane Ye Zindagi Aahista Aahista Kiase Khatam Ho Gayi.



Shukriya Shihab Ji,

Par sach kahe to aapke samne ham kuch khaas likh nahi paate,
Ye to aapki zahenawaji hai ki aap kabool karte hai,


Hame khabar bhi na hui ki mohabbat ke aagaz me hi zindagi haathon
se choot gayyi,
Chahat dewane dil me ek aisi machli ki duniya ki har khushi ham
se rooth gayi,

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jidhar dekhta hoon khizaa dekhta hoon by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ye Kya Dekhta Hoon Main,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Taare Dekhta Hoon,. by Azeem Azaad in Ghazals « 1 2  All »
~Ajab Haal Aey Jane Jigar Dekhta Hoon~By Shihab by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
dekhta hoon ab teri by saahill in Ghazals
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #31 on: January 21, 2009, 12:37:35 PM »
Nice One Shally Partner,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #32 on: April 15, 2009, 09:23:22 AM »
hmh Nawazish Shael Ji....
Aap Kitrna BHi Chhupale
Par Aapke Alfaaz Aapki
Asaliyat Bayaan Kar Rahe Hai..
Khair Aapka Tahe Dil Se Shukar Guzar Hoon...


Bichadkar Tujhse Saansein Bhi Mehakne Lagi
Aisi Mujh Par Teri Yaadon Ki Barsaatein Hui.

Aankhon Ne Oudh Liya Tere Khwabon Ki Rida Ko
Aur Phir Khamoshi Mein Hi Saari Baatein Hui.

Kaise Kehdu Mein Ki Tujhse Bichadar Tanha Hun
Jab Ki Aksar Raah Chalte Tujhse Mulakatien Hui




Shukargujaar hai aapke ki aapne lafzo me se bhi jajbaatonko samjha,

aur bahut Khoob likha hai aapne... Clapping Smiley  Clapping Smiley

Kaash ki log mujhe nahi mere lafzo ko samjh paate,
Meri aukaat ko nahi dekhte mere lehze pe jaate,

Kitna haseen hota gar ham teri baahon me ek shaam gujar paate,
Aur uss shaam ke aakhiri hi pal ham iss duniya se choot jaate.

Shally.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #33 on: April 15, 2009, 09:46:24 AM »
Bohat Achche Shally, And Majid Bhai,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #34 on: April 15, 2009, 09:52:10 AM »
Wah Wah Kya Kehne Shael Ji
Sach Mein Bohat Hi Pyaara
Likha Hai Aapne...
Ji Keep It Up....


 
Chand Lafzon Main Haal.e.Dil Keh Jaate Ho
Ye Andaaz.o.Bayaan Aakhir Kahan Se Laate Ho.

Na Jaane Kya Kashish Hai Teri Shaadgi Mein,Ki
Bina Mile Hi Logon Ko Mehfilon Me Khinch Laate Ho










Shukriya ki aapne pasandh kiya, zahenawazi aapki.

Aur kya khoob sach me dil ko choone wali lines likhi hai aapne.
 Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley


Dost ham to sirf dil ke zajbaaton ko jahir karte hai,
Aur ye panne aur kalam hamse bagawat karte hai,

Ham likhte hai dil ki gehrayiyoon se dard ko aur log
Mere gammo pe bhi khushi zahir karte hai...

Shally.
Logged
salma786
Guest
«Reply #35 on: April 15, 2009, 11:06:52 AM »
Wonderful thread .... Very nice shihab ji,Azeem ji, Shally sis.... sab ne bahoot hi dil se or behtarin likha hai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
k.shael
Guest
«Reply #36 on: April 15, 2009, 11:18:11 AM »
Wonderful thread .... Very nice shihab ji,Azeem ji, Shally sis.... sab ne bahoot hi dil se or behtarin likha hai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya Salma Dear,

Shally.
Logged
salma786
Guest
«Reply #37 on: April 15, 2009, 11:29:25 AM »
hello doston maine isse bohat time pahle likha hai
aur mujhe thik se yaad nahi maine isse post kiya hai ya nahi
so phir se kar raha hoon i hope aapko pasand aaye... icon_silent


Kabhi Chadte To Kabhi Dhalte Hue Suraj Ko Dekhta Hoon
Main Apni Zindagi Ko Bas Yun Hi Guzarte Hue Dekhta Hoon

Waqt Ke Haatho Ho Chala Ik Majboor Shakhsh Hoon Main Aaj
Har Roz Yun Hi Apni Tamannao.n Ko Marte Hue Dekhta Hoon.

Dard Aur Ghum Ke Milne Par Koi Bhi Ranz Nahi Hai Mujhe
Bas Ek Inhe Hi To Apne Bure Waqt Main Saath Dekhta Hoon

Har Woh Cheez Jo Mujhe Lagi Kabhi Pyaari Woh Door Ho Gayi
Ab Jo Bhi Lagta Hai Pyaara Bas Use Door Se Hi Dekhta Hoon.

Aaj Har Mod Pe Khudko Tanha Tanha Sa Mehsoos Karta Hoon
Is Duniya Main Har Rishtey Ko Rang Badalte Hue Dekhta Hoon.


Waah waah bahoot gehri baat ki apne... pehle to maafi mai is thread ko pehle pad nahi payi ... ek choti si koshish kar rahi hu Thumbs UP

Waqt or taqdeer se bhala kaun jeet paya hai,
Zindegi ne hardam har kar jeetna hi sikhaya hai,

Ha mana dard to hota hai jab apna koi bichadta hai,
Par ye bhi sach hai kismat apna dastur bhi nibata hai,

Ye Mohabbat or bewafaai ka rishta hi purana hai,
Har mod pe har koi apna banta phir begana hai,

Kya rona is bebasi pe jab manzil jana pehchana hai,
Kasoor nahi ye kismat ka jab zindegi se hi har koi anjana hai!

Logged
k.shael
Guest
«Reply #38 on: April 15, 2009, 11:32:27 AM »
Waah waah bahoot gehri baat ki apne... pehle to maafi mai is thread ko pehle pad nahi payi ... ek choti si koshish kar rahi hu Thumbs UP

Waqt or taqdeer se bhala kaun jeet paya hai,
Zindegi ne hardam har kar jeetna hi sikhaya hai,

Ha mana dard to hota hai jab apna koi bichadta hai,
Par ye bhi sach hai kismat apna dastur bhi nibata hai,

Ye Mohabbat or bewafaai ka rishta hi purana hai,
Har mod pe har koi apna banta phir begana hai,

Kya rona is bebasi pe jab manzil jana pehchana hai,
Kasoor nahi ye kismat ka jab zindegi se hi har koi anjana hai!



Salma dear,

Aapki ye koshish bahut hi khoob lagi,

Shally.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #39 on: April 15, 2009, 11:33:27 AM »
Nice One Salma,.
Logged
salma786
Guest
«Reply #40 on: April 15, 2009, 02:26:52 PM »
Salma dear,

Aapki ye koshish bahut hi khoob lagi,

Shally.


Shukriya shally sis Usual Smile
Logged
salma786
Guest
«Reply #41 on: April 15, 2009, 02:27:51 PM »
Nice One Salma,.


Thanks Azeem ji!
Logged
k.shael
Guest
«Reply #42 on: April 16, 2009, 08:33:42 AM »
Nawazish Bohat Bohat Shukariya Shael Ji...
Good One Keep It Up....

ar Taraf Fela Dard.o.Ghum Ka Jaal Dekhta Hoon
Tere Mayoosh Chehre Pe Bhi Zamaal Dekhta Hoon.

Jaane Kis Tarha Piroye Hai Tune Asqhon Ke Moti
Tere Har Lafz Mein Aey Dost Kamaal Dekhta Hoon






Shukriya Shihab Ji,

Aur kya khoob reply diya aapne.
 Applause  Applause

Na dekh mere gammo ko tu kahiin tujhpe meri udaasiyoon
ka asar ho na jaaye,
Mujhe to aadat hai aab inn aashqo ki kahiin tu bhi inka
talabgaar ho na jaaye...

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #43 on: April 16, 2009, 09:08:50 AM »
Shukriya Ji Shukariya
Good One Keep It Up...

Kafi Mushqil Hai Iska Rep Dena
Koshish Karta Hoon...


Zindagi Se Aage Tu Bhaag Nahi Paayega
Naseeb Mein Hoga Woh Jarur Mil Jaayega

Duniya Mein Ik Dard Bhi Sach Hai Shihab
Aakhir Tu Us se Kahaan Tak Thukraayega









Shukriya Par aapke liye to kuch bhi mushqil nahi,
Bahut aacha reply diya aapne... Applause  Applause

Dard ko thukrata kyun hai use apna le,
Dil se chupata kyun hai usko bhi saath rula le,

Ye gumnamiyaa hi rahengi aab ta-umar saath tere,
Bhaag na inse aab inme hi tu apni duniya basa le.

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #44 on: April 16, 2009, 10:04:07 AM »
hmhm
Kyun Ji Kyun Mushqil Nahi?
Khair...Shukariya...Nice One...

Kisi Ko Milne Par Bhi Khushi Nahi Hoti
To Koi Judaai Mein Bhi Sukoon Paata Hai

Ye To Apne Apne Nazriye Ki Baat He Shael Ji
Koi Haske To Koi Ro Kar Zindagi Bitata Hai.


Shukriya aur bahut hi aacha likha aapne,

Zindagi ko kiss kadar bitaya maine mat pooch,
Kabhi gamoo ko dekh kar aansoo aaye aur kabhi hassi,

Karazdaar rahenge ham mehfilo ke jinhone sambhala,
Warna zindagi me bacha nahi tha kuch bhi hone ko haseen.

Shally.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:38:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer