~*~*~Zindagi Me Koi Aata Kyun Hai~*~*~

by pankshivam on December 16, 2008, 10:33:41 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2640 times)
pankshivam
Guest
Mere asko me vo muskurata kyu hai...

Jitna bhulana chahata hun utana yaad aata kyu hai...

Aankho se dil ki gehrayi me utar kar, dil me hi dard uthata kyu hai...

Dard-o-gam ki dava kya kijiye, dard ki vajah vo khud ko banata kyu hai...

Mujhe jindagi se koi shikayat nahi thi, par koi is tarah jine ki khwahish jagata kyu hai...

Jab jana hi hota hai har kisi ko dur mujhse, toh koi itane paas aata kyu hai...

Kya karu apni sanso ko bhulane ke liye, jab rar sans me vo apna ehsas dilata kyun hai...

Chahata hun apni ankahi galtiyo ki mafi, par vo har baat pe ruth jata kyu hai...

Koi jab dil ke itane kareeb ho, to har baat pe rulata kyu hai...


~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: December 17, 2008, 04:11:23 AM »
bahoot khoob Pank ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 17, 2008, 04:39:24 AM »
Nice One Again Pank Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 17, 2008, 04:44:22 AM »
gam ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin

nind ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin

har taraf diwar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
kah sak jo dil ki halat wo lab-e-goya nahin

jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin

janta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
gam se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahin

nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: December 17, 2008, 04:49:08 AM »
good sharing lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: December 17, 2008, 05:11:55 AM »
Thank U,.'Didi,.

Wafa Ke Sheesh Mehal Me Sajaa Liya Maine ,.
Wo Ek Dil Jise Patthar Banaa Liya Maine,.

Ye Sochkar Ke Na Ho Taakh Mein Khushi Koi,.
Ghamon Ki Oth Mein Khud KO Chupa Liya Maine,.

Kabhi Na Khatam Kiya Maine Roshni Ka Muhaaz,.
Agar Charaag Bujha, Dil Jalaa Liya Maine,.

Kamaal Ye Hai Ke , Jo Dushman Pe Chalaana Tha,
Wo Teer Apne Kaleje Pe Khaa Liya Maine,.

_________________________-Qateel Shifaai-
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: December 17, 2008, 05:46:29 AM »
wonderful pankh ji bohut acha likha aapne  Applause  Clapping Smiley  Clapping Smiley

nice sharing janasheen ji  Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 17, 2008, 05:54:14 AM »
Shukran
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 17, 2008, 10:05:29 AM »
Jise Hum Seh Nahi Sakte, Wo Dard Hume Milta Kyun Hai,.
Jiski Hasrat Nahi, Wo Phool Chaman Mein Khilta Kyun Hai,.

Bachkar Chalte Hain, Hum Zindagi Ke Har Mukhaam Par "Jaana",.
Phir Mohabbat Ke Mukhaam Par Dil Phisalta Kyun Hai,.

Sab Tamaasha Hai Duniya Mein, Sachaai Ki Koi Haqeeqat Nahi,.
sab Dil Behlaa Lete Hain Dil Lagaakar, Kisi Ko Kisi Se Chaahat Nahi,.

______________________________________-Jaanasheen
Dil Se,.



Logged
pankshivam
Guest
«Reply #9 on: December 17, 2008, 10:11:41 AM »
Thanx Jaanasheenji Nice Sharing
Thanx Pooja ji
Thanx Bhawana ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 17, 2008, 10:24:11 AM »
Thanx Jaanasheenji Nice Sharing
Thanx Pooja ji
Thanx Bhawana ji

Are Yaar Ye Maine Likha Hai,.
Main Apne Posts Par Naam Likhta Hoon,.

Aur Shared Ki Hui Par,.
NM
Likh Deta Hoon,.

Dukh Hota Hai Bhai,
Jab Likhne Ke Baad Koi Kehta Hai, Nice Sharing Karke,.
Dont Feel Bad Yaar./
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: December 17, 2008, 10:28:17 AM »
Mere asko me vo muskurata kyu hai...

Jitna bhulana chahata hun utana yaad aata kyu hai...

Aankho se dil ki gehrayi me utar kar, dil me hi dard uthata kyu hai...

Dard-o-gam ki dava kya kijiye, dard ki vajah vo khud ko banata kyu hai...

Mujhe jindagi se koi shikayat nahi thi, par koi is tarah jine ki khwahish jagata kyu hai...

Jab jana hi hota hai har kisi ko dur mujhse, toh koi itane paas aata kyu hai...

Kya karu apni sanso ko bhulane ke liye, jab rar sans me vo apna ehsas dilata kyun hai...

Chahata hun apni ankahi galtiyo ki mafi, par vo har baat pe ruth jata kyu hai...

Koi jab dil ke itane kareeb ho, to har baat pe rulata kyu hai...


~Pank~
Bahut khoob Pankshivam Ji.. Applause
Bahut achha likha hai aapne.. Thumbs UP
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: December 17, 2008, 10:29:09 AM »
gam ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin

nind ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin

har taraf diwar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
kah sak jo dil ki halat wo lab-e-goya nahin

jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin

janta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
gam se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahin

nm

Thank U,.'Didi,.

Wafa Ke Sheesh Mehal Me Sajaa Liya Maine ,.
Wo Ek Dil Jise Patthar Banaa Liya Maine,.

Ye Sochkar Ke Na Ho Taakh Mein Khushi Koi,.
Ghamon Ki Oth Mein Khud KO Chupa Liya Maine,.

Kabhi Na Khatam Kiya Maine Roshni Ka Muhaaz,.
Agar Charaag Bujha, Dil Jalaa Liya Maine,.

Kamaal Ye Hai Ke , Jo Dushman Pe Chalaana Tha,
Wo Teer Apne Kaleje Pe Khaa Liya Maine,.

_________________________-Qateel Shifaai-

Too Good... Very Beautiful Sharing Azeem..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: December 17, 2008, 10:30:32 AM »
Jise Hum Seh Nahi Sakte, Wo Dard Hume Milta Kyun Hai,.
Jiski Hasrat Nahi, Wo Phool Chaman Mein Khilta Kyun Hai,.

Bachkar Chalte Hain, Hum Zindagi Ke Har Mukhaam Par "Jaana",.
Phir Mohabbat Ke Mukhaam Par Dil Phisalta Kyun Hai,.

Sab Tamaasha Hai Duniya Mein, Sachaai Ki Koi Haqeeqat Nahi,.
sab Dil Behlaa Lete Hain Dil Lagaakar, Kisi Ko Kisi Se Chaahat Nahi,.

______________________________________-Jaanasheen
Dil Se,.





Bahut bahut khoob... Applause Applause
Bahut pyaara likha hai Azeem... Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 17, 2008, 10:35:36 AM »
Bahut bahut khoob... Applause Applause
Bahut pyaara likha hai Azeem... Thumbs UP


Shukriya Shikha Ji,.
Aap Bhi Agar Kuch Likh Kar Jaate To Seekhne Ko Milta.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:42:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer