Zindagi Se Baat..........

by poppoetry on July 23, 2009, 05:53:19 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Author  (Read 5300 times)
poppoetry
Guest
«Reply #15 on: July 25, 2009, 05:08:12 PM »
Wah Kya baat Hai Poooja.. Dard Ko Bakhoobi Pesh Kiya hai Dear.. Jazzbaaton Ko Lafzon me Bahut acche Dhang se Bayan kiya hai aapne.. bahut Khooooob.. Applause Applause


Khud se Khafa Ho Ke, Khud Ko Na Ilzaam De,
Zindgi Bhi Tujhse hai, Ise Wafa Ka Na Naam De...

Bewafa to Yeh Hai, Tujhe Gamon Me Dubo Gai,
Tu Khud Zindgi Hai, Aaj Khud Ko Yeh Paigaam De...!!
icon_thumleft



**~** Mann **~**


bahut sahi baat kahi hai aapne Mann ji...sochne par majbur kar diya in lafjon me.... Applause Applause

Tanhai hai daaman me mere,zindagi ko mai kya inaam du
Ise banana-bigaadna mere hi haath me hai,kaise ise bewafa ka naam du

Apni hi galtiyon se aaj khud ki hi najron me jhukhi hu mai
Kaise samjhaau khud ko tu hi bta, kaise khud ko mai koi paigaam du...


Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #16 on: July 25, 2009, 05:37:15 PM »
Bahut Hi accha Likha hai Pooja.. par Phir Bhi Yeh Udaasi..  sad10
Ab Kaise samjhaaun Tujhe..  Crying

Waqai Dard Ko Bakhoobi Bayan kiya hai Pooja.. Applause



Wafa-Bewafa Kuch Nahi, Sab Qismat Ki Bebasi Hai,
Shayad Isliye Teri Aankhon Me Udaasi aur Nami Hai....

Khud Ki Nigaahon Me, Khud Ko Na Giraana "Pooja",
Aaj Bhi Poora Aasmaa Hai Tera, Teri Hi Yeh Zameen Hai...!!




**~** Mann **~**

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #17 on: July 26, 2009, 11:55:08 AM »
Shukriya Mann ji......bakhubi samjhaya aapne....


Sar par rhega sda ye aasmaa,jami rahegi mere kadmo k niche
Chand-sitare sath chalte hai mere,tanhai hai phr bhi aage-piche

Qismat se nahi koi gila mujhe,naa hi gila apne dard se hai
Meri aankho ki nami ka karan wo gum k baag hai,
Jo khud hi maine hai apne haatho se sinche....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #18 on: July 28, 2009, 08:17:16 AM »
Hmm.. Bahut Khoooooooooob Pooja.. Bahut Khoob Likha hai dear.. Applause Applause



Zubaan se Kya Kahun, Par Dil Se Ek Baat Kahata Hoon,
Ke Ek Baar Gam Ke Samandar Se Baahar Nikal Ke Dekh....

Taras Rahi Hai Kayenat Bhi, Tujhe Baahon Me Bharne Ko,
Ek Baar Phir Khud Ko Mohabbat Ke Hawaale Karke Dekh.....!!




**~** Mann **~**



Logged
poppoetry
Guest
«Reply #19 on: July 29, 2009, 07:50:05 AM »
aapne bakhubi jwab diya hai Mann ji....sath hi ek sawal bhi puch liya...

Dil ki baat hum bhi dil se kehte hai
K is dil me ab mohabbat ki koi chahat nahi

Na kaho phir se mohabbat ki duniya me jane ko
Chand lamho ki khushi,phir zakhm milte hai yha
jisse iss dil ko mil sakti rahat nahi
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #20 on: July 29, 2009, 04:57:28 PM »
shukriya kaash ji....bahut bahut shukriya
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #21 on: July 29, 2009, 05:04:07 PM »
Waah Waah Bahoot Bahoot Khoob Pooja ji and Mann Ji .. Aaap dono ne bahoot saare ehsaaso ko bade umda tareeke se joda hai.. bahoot Bahoot Khoob !
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #22 on: July 29, 2009, 05:14:08 PM »
Waah Waah Bahoot Bahoot Khoob Pooja ji and Mann Ji .. Aaap dono ne bahoot saare ehsaaso ko bade umda tareeke se joda hai.. bahoot Bahoot Khoob !
bahut bahut shukriya sophi ji......aapne is thread ko apna waqt diya....bahut khushi hui.....thanx a lot sophi ji
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #23 on: July 29, 2009, 05:20:57 PM »
Bahut Bahut Shukriya Divya.. Waise Kam Hi Likhta hooon Dard Me.. Par Pooja ke Likhe Alfaazon ne unke sath Likhne Ko Majboor Kar Diya.. Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #24 on: July 30, 2009, 04:13:15 PM »
aapne bakhubi jwab diya hai Mann ji....sath hi ek sawal bhi puch liya...

Dil ki baat hum bhi dil se kehte hai
K is dil me ab mohabbat ki koi chahat nahi

Na kaho phir se mohabbat ki duniya me jane ko
Chand lamho ki khushi,phir zakhm milte hai yha
jisse iss dil ko mil sakti rahat nahi


Bahut Hi Udaasi Bhari Line likhi hai Pooja.. aur Bahut Hi Acchi Likhi hain.. Bahut Bahut Khoooooooooob.. Applause Applause


Tumhe Nafrat Hai Khud Se, Ya Mohabbat Se Gila Hai,
Kuch Na Mil Saka To Kya, Dard-o-Gam To Mila Hai.....

Aahiq To isi Ko Mohabbat Ka Nazraana Maante Hain,
Tujhe Bewafaai Mili ,  Idhar Humen Dhoka Mila Hai…..

Par Hum Doston Ki Khushiyon me hi Muskura Lete Hain,
Sath Jiye Har Lamhe Ko, Bas Apna Hi Bana Lete Hain.....

Tu Bhi Is Dost Ki "Pooja", Ek Choti Si Baat Maan Le,
Jee Le Har Lamhe Ko, Har Khushi Ko Apna Bana Le…..!!




**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #25 on: July 30, 2009, 04:35:25 PM »
My pleasure pooja ji

Vicky ji again you have written superbly... Good work.


Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #26 on: July 31, 2009, 07:43:35 AM »
Thank U Divya... Usual Smile Usual Smile


**~** Mann **~**
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #27 on: July 31, 2009, 07:58:51 AM »
Bahut Hi Udaasi Bhari Line likhi hai Pooja.. aur Bahut Hi Acchi Likhi hain.. Bahut Bahut Khoooooooooob.. Applause Applause


Tumhe Nafrat Hai Khud Se, Ya Mohabbat Se Gila Hai,
Kuch Na Mil Saka To Kya, Dard-o-Gam To Mila Hai.....

Aahiq To isi Ko Mohabbat Ka Nazraana Maante Hain,
Tujhe Bewafaai Mili ,  Idhar Humen Dhoka Mila Hai…..

Par Hum Doston Ki Khushiyon me hi Muskura Lete Hain,
Sath Jiye Har Lamhe Ko, Bas Apna Hi Bana Lete Hain.....

Tu Bhi Is Dost Ki "Pooja", Ek Choti Si Baat Maan Le,
Jee Le Har Lamhe Ko, Har Khushi Ko Apna Bana Le…..!!




**~** Mann **~**

khuch gehri baatein kahi hai aapne Mann ji.....bahut khuuuuuuuub Clapping Smiley Clapping Smiley

Pyaar kare jo bewafai to dost saath nibhate hai
Lekin jab dost hi dushman jaaye to koi kha jaaye

Doston ki khushiyon me hum bhi muskurate the bahut
Unki hi meharbaani hai jo hum gum ki duniya me aaye

Chalte hai hum rahon par har baar ek nayi ummid k sath
Na jaane kab kis mod par kaun si khushi mil jaaye

 
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #28 on: August 02, 2009, 05:08:20 PM »
Pooja.. Bahut Hi Dard Bhara Likha hai.. Aisa Laga Padh Jaise Koi Succhi Hi Likh di ho aapne in Lafzon me.. Bahut Hi Lajwab Likha hai.. Applause Applause


Rote Hain Dekh-Dekh Ke, Teri Bebasi ko Hum,
Tere Dil Se Jo Is Dard Ko, Mita Na Sake Hum....

Pyaar aur Dosti, Do Nazraane Hain Khuda Ke,
Kisi Me Dard Zyada Hai, To Kisi Me Thoda Kam....

Aur Kya Kahe Yeh Dost, Itna Hi Kahana Hai "Pooja",
Ke Ab Teri Aankh Me Aansoo, Aane Na Denge Hum...!!



**~** Mann **~**
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #29 on: August 04, 2009, 09:35:07 AM »
aapne jo likha hai uske liye ab mai kya kahu......bahut achha likhte hai aap notworthy notworthy


Kisi k dard ko hum pal bhar me mita sakte nahi
Par dard me uska saath nibhana,uske liye saugaat hai

Kya hua gar aaj labon par muskaan hai thodi kam
Zindagi ko zindagi ka aehsaas karwaaya hai tumne...
Jo khud me hi ek bahut badi baat hai

In ashqon se mujhe bhi parhej hai,waqt-bewaqt aa jaate hai
Par dard beh jaaye dil ka to hi ek nayi shuruaat hai

Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:51:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.174 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer