Zindagi tujhko har ik daur meiN ahsan dekha.

by Dr. Naim Sahil on February 07, 2010, 11:53:01 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1501 times)
Dr. Naim Sahil
Guest
Jab kabhi apni tamnnaoN ka gulshan dekha,
Maine dil-soz zamaane ko bhi dushman dekha,

Apne baare mein ghalat fahmi hui hai jab bhi,
maine har baar purana koi darpan dekha.

Is qadar khoya hua tha main tiri yaadoN meiN,
Sahra dekha na kabhi raah meiN gulshan dekha.

Kaifiyat dil ki byaN karti thi ankheN sab ki,
Maine har shakhs ka bheega hua daaman dekha.

Dushmani meiN bhi muhabbat se vo pesh aata hai,
Uske jaisa na koi dost na dushman dekha.

Ho gaya uski maiN azmat ka jahaN meiN qaail,
Jab kahiN bhi kisi daana ko fir-o-tan dekha.

Tera shaidaee hooN maiN roz-e-azal se 'Sahil'
Zindagi tujhko har ik daur meiN ahsan dekha.

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jabse maine tujhko dekha by fakhruddin in Shayari -e- Husn
~~Jabse maine tujhko dekha~~ by Naya_Daur in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dekha Aaj Jab Tujhko Dekha......... by Nikhaar in Ghazals « 1 2  All »
** Zindagi ki daur mein kya kya hai hote** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Har Shakhs Ko Zindagi Mein Badalte Dekha by Shihab in Share: Poetry of Pain
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 07, 2010, 01:36:39 PM »
Bahut bahut Khoob Sahilji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Umeed Karta Hoon Aap Aur khoobsurat ghazal Likhe.. Thumbs UP
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: February 07, 2010, 07:07:09 PM »
bahut khoob sahil ji Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: February 08, 2010, 10:24:55 AM »
Nice Sahil Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: February 08, 2010, 10:39:31 AM »
Naim Sahab AOA. Bahot behtreen ghazal kahi hai aapne. Taghazzul se pur ye creation waqai tareef ke layaq hai. Shayari ka hunar kya cheezh hai ye is ghazal mein namoodar hota hai. Aapki agli ghazal ka intezaar rahega.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #5 on: February 09, 2010, 07:43:35 AM »
Jab kabhi apni tamnnaoN ka gulshan dekha,
Maine dil-soz zamaane ko bhi dushman dekha,

Apne baare mein ghalat fahmi hui hai jab bhi,
maine har baar purana koi darpan dekha.

Is qadar khoya hua tha main tiri yaadoN meiN,
Sahra dekha na kabhi raah meiN gulshan dekha.

Kaifiyat dil ki byaN karti thi ankheN sab ki,
Maine har shakhs ka bheega hua daaman dekha.

Dushmani meiN bhi muhabbat se vo pesh aata hai,
Uske jaisa na koi dost na dushman dekha.

Ho gaya uski maiN azmat ka jahaN meiN qaail,
Jab kahiN bhi kisi daana ko fir-o-tan dekha.

Tera shaidaee hooN maiN roz-e-azal se 'Sahil'
Zindagi tujhko har ik daur meiN ahsan dekha.

 
Wah wah wah! Sahil Saheb! Ghazab ki shayari ka namoona hai ye ghazal. Aik pur-lutf, pur-weqaar, pur-maGhz aur sheriyat se sarabor ghazal hai ye aapki. BaDi beqaraari ke saath aapki ghazloN ka intezaar rahega. HazaaroN daad qulbul farmaayeN.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: February 09, 2010, 08:43:02 AM »
Bahut pasand aayee aapke kavita Dr.Sahil ji.very touching and mindblowing creation.excellent.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2010, 06:28:57 PM »
BAHUT KHOOB SAHIL SAHAB BEHTREEEN PESHKASH..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:37:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer