ZINDGI RONE KO HAI.

by BHONDU on September 25, 2006, 05:58:06 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2286 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
Aaj hum zindgi se bewafaa hone ho hai..
zindgi gum ke dhuye se aaj phir rone ko hai.
do dariya se samandar aaj phir hone ko hai.
zindgi gum ke dhuye se aaj phir rone ko hai.

ashq ke saye mein rehker ashq chipata raha,
aur.. aapni muflisi ko main gale lagata raha.
aaj wo sagar bhi mera aapna dum khone ko hai.
zindgi gum ke dhuye se aaj phir rone ko hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rone se khusi nhin milatee. by Amit Janglan in Shayri-E-Dard
rone na diyaa by Pooja in Ghazals « 1 2  All »
bachche ko rone deejye!!! by Talat in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 28 29 »
Rone Ki Aawaj by suryamani in Shairi - E - Zindagi
rone na diya NM by ek khwab in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 26, 2006, 06:05:33 AM »
wah kay abaat hai dost kavi, bahoot khoob.,...

bahoot sambhala magar sambhal na saki
zindagi meri, kis haal mai badal na saki
jeet gai kismat, kismat se lad na saki
bahoot sambhala magar, sambhal na saki....

waqat na jo dikhaya wo dekhti gai
kismat ne jo seetam dhaya, wo sahti gai
payaar ke shakal mai, fareb khaati gai
kis tarah ke julmo-seetam main zindagi beetati gai

mila kaya seela, kuch hath na ayya hai
waqat ka khalipan, kismat mai ayya hai
beeta kar salo saal, itna hi jawab ayya hai
zindagi rone ko hai, isko bhi khone ka waqat ayya hai
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: September 27, 2006, 08:50:24 AM »
woo very nice Bhandu ji and Pooja Ji

meri hazraten meri khawishen
sab kho gai sab tut gai
kho gayi meri muskan
kho gaya mera wajood

chute wo zindgi ke tarane
jo kabhi gungunaye the
maine sang tumhare
meri raat ki koi subah nahi
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: September 28, 2006, 05:13:02 AM »

Bahut Khoob Bhondu ji, Pooja di, Vikas....
 =D> =D> =D>
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: September 28, 2006, 05:13:59 AM »

Ho kar subah sey vidaa shaam dhalti rahi,
Bahut royii andheron sey mil kar galey…

Chuntey hai khwab hum band palkon par,
Aur toot jaatey hai jaisey he yeh aankh khuley….

Kahin andar sey siskii sunaii deti hai dil mey,
Aah nikalney naa paaye, baithey hai labon ko siley…

Rakh do mere dhadaktey hue dil par haath tum,
Chain aa jaaye mujhko jo tera saath miley…
[/b]
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: September 29, 2006, 05:02:45 PM »
Bahut achhe bhondu ji pooja ji vikas ji and shikha ji :razz:
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: September 30, 2006, 05:08:53 PM »
Kya Kahein Kis Kadar Zindagi Bitate Hai Hum,
Leke Zamane Se Khushiyan Udhar Kar Dete Hai Aankh Num,
Diya To Bahut Kuch Zindagi Ne Hamein Iska Inkaar Nahi
Tanhaiyonka Beshumar Andhera Bhar Diya Isne Meri Chandni Raaton Mein,
Jin Raahon Pe Saath Chale The Kabhi Mil Ke
Wahan Ab Hum Baithe Hai Akele Yaadonki Chhanv Mein,
Lahoo Thehar Sa Gaya Hai Nabz Mein Behte Behte
Phir Bhi Aye Khuda Zindagi Khoon Ke Aansu Rone Ko Hai...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #7 on: October 15, 2006, 07:13:15 AM »
Quote from: "Pooja"
wah kay abaat hai dost kavi, bahoot khoob.,...

bahoot sambhala magar sambhal na saki
zindagi meri, kis haal mai badal na saki
jeet gai kismat, kismat se lad na saki
bahoot sambhala magar, sambhal na saki....

waqat na jo dikhaya wo dekhti gai
kismat ne jo seetam dhaya, wo sahti gai
payaar ke shakal mai, fareb khaati gai
kis tarah ke julmo-seetam main zindagi beetati gai

mila kaya seela, kuch hath na ayya hai
waqat ka khalipan, kismat mai ayya hai
beeta kar salo saal, itna hi jawab ayya hai
zindagi rone ko hai, isko bhi khone ka waqat ayya hai

bahut acha pooja ji.... pata tha koi tagra jawab apse hi milega.. so ek kosis humari bhi.

chand khusiyon ke gharonde humare dil mein pal na sake
haatho ki in lakeeron ko hum chah ke bi badal na sake .
duniya ke man ke mutabik kabhi dhal na sake
isiliye hum chah ke bhi samahl na sake

zindgi ke gum peete chale gaye,
bas ek laash banker jeete chale gaye
dard ka naasor kuch is kadar bada hai
zakhmo ki sooi se usay seete chale gaye

khusiyaan thi aur.. khusiyon ki gahadi bhi saath thi,
jub wo thi saath mein to kaynath thi,
aaj gum ke aandhere mein tanhaayee saath hai.
isiliye bhondu aaj bhi khali haath hai.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #8 on: October 15, 2006, 07:14:52 AM »

«Reply #9 on: October 15, 2006, 05:10:12 PM »

Ye Zindagi Kuch Yun Basar Ho Rahi Hai,
Jaise Koi ShaMa ShaaM-O-Seher Jal Ke Raakh Ho Rahi Hai,

Jin Raaston Par Chale The TuM Saath Mere,
Wo Raah Abhi Tak Nishan Dhund Rahi Hai,

Faasle Itne Badhenge Ye Kabhi Socha Na Tha,
Aaj Meri Har Saans Jaise Ghoot Ke DaM Tod Rahi Hai,

Na Jane Kab Milenge Ab HuM Apni Zindagi Se,
Abhi To Ek Aas Thi Wo Bhi Meri Aankhon Ke Sath NuM Ho Rahi Hia,

Ye Zindagi Kuch Yun Basar Ho Rahi Hia,
Jaise Koi ShaMa ShaaM-O-Seher Jal Ke Raakh Ho Rahi Hai...
* * * * *
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: October 16, 2006, 04:23:59 AM »
Wonderfull Job all of u.... Usual Smile
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #11 on: October 18, 2006, 10:14:29 PM »
Quote from: "Shikha12"

Ho kar subah sey vidaa shaam dhalti rahi,
Bahut royii andheron sey mil kar galey…

Chuntey hai khwab hum band palkon par,
Aur toot jaatey hai jaisey he yeh aankh khuley….

Kahin andar sey siskii sunaii deti hai dil mey,
Aah nikalney naa paaye, baithey hai labon ko siley…

Rakh do mere dhadaktey hue dil par haath tum,
Chain aa jaaye mujhko jo tera saath miley…
[/b]

kya shikha di...chaah gaye....kavi sahab too good :D:D:D:D
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #12 on: November 14, 2006, 01:28:35 PM »
Quote from: "angel4u"

Ye Zindagi Kuch Yun Basar Ho Rahi Hai,
Jaise Koi ShaMa ShaaM-O-Seher Jal Ke Raakh Ho Rahi Hai,

Jin Raaston Par Chale The TuM Saath Mere,
Wo Raah Abhi Tak Nishan Dhund Rahi Hai,

Faasle Itne Badhenge Ye Kabhi Socha Na Tha,
Aaj Meri Har Saans Jaise Ghoot Ke DaM Tod Rahi Hai,

Na Jane Kab Milenge Ab HuM Apni Zindagi Se,
Abhi To Ek Aas Thi Wo Bhi Meri Aankhon Ke Sath NuM Ho Rahi Hia,

Ye Zindagi Kuch Yun Basar Ho Rahi Hia,
Jaise Koi ShaMa ShaaM-O-Seher Jal Ke Raakh Ho Rahi Hai...
* * * * *

bahut aache angel ji...

zindgi kuch aise basar ho rahi hai
jaise zindgi mere liye zaher ho rahi hai.
pehle to dukh ki ghadi aati thi saalon mein
ab to muflisi shaamo saher ho rahi hai....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: November 14, 2006, 05:38:11 PM »
Thanks dear.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #14 on: November 30, 2006, 03:09:12 PM »
Quote from: "angel4u"
Thanks dear.

angel kuch likha nhi...Huh?
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:48:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer