================revised old Ashaar
जिस बेवफा ने सरे-राह हमें बे - यार छोड़ दिया
हमने भी उस ज़ालिम का अब ख़याल छोड़ दिया
Jis bewafa ne sare=raah hame be-yaar chor diya
hum ne bhi us zaalim ka ab khayaal chor diya
कैसे लोग थे जो काफिले बनाने की बात करते थे .
एक हम हैं जिसका तो साये ने भी साथ छोड़ दिया
kaise log hain qaafile baanane ki baat karte hain
ek hum hain ki jiska saaye ne bhi saath chor diya
कोई ख़ुशी मिले ना मिले मुझे ये ग़म ना था
ग़म तो ये था की हसरतों ने भी साथ छोड़ दिया
khushiya mile na mile mujhe ye gham na tha
gham to ye tha ke hasrato ne bhi sath chor diya
मैंने समझा था हाथ हिला के रोक लेंगे उसे
अब तो मोतबर इशारों ने भी साथ छोड़ दिया
maine samajha tha haath hila ke rok lenge use
ab to motbar isharo ne bhi saath chor diya
कुछ देर खुश हो लेते थे उसके तसव्वुर में
अब तो खूबसूरत ख्वाबो ने भी साथ छोड़ दिया
kuch der khush ho lete the uske tasawwur mein
Ab to khubsurat khwabo ne bhi saath chor diya
जिन रिश्तों पे बड़ा नाज़ हुआ करता था हमको
वक़्त पड़ा तो उन रिश्तों ने भी मेरा साथ छोड़ दिया
Jin rishto pe bada naaz hua karta tha hamko
waqt pada to un Rishto ne bhi saath chor diya
मेरे हालात कुछ इतने भी मखदूश ना थे मगर
लगता है खुदी ने भी खुद का साथ छोड़ दिया
Halaat kuch itne bhi makhdoosh na the magar
magar lagta hai khudi ne bhi khud ka saath chor diya
रौशनी ने भी निगाहों से निगाहें फेर ली अब तो
अब तो अल्फ़ाज़ों ने भी मायनो का साथ छोड़ दिया
Roshni ne bhi nigaho se Nigaahe pher li ab to
Ab to Alfazon ne bhi maayno ka saath chor diya
महरूमियॉं में भी गैरत बहुत थी 'राशिद' मुझको
उसकी बेनियाज़ी देखीं और मैंने ही हाथ छोड़ दिया
Maheroomiyo mein bhi Ghairat bahut thi 'Raashid' mujhko
Uski beniyazi dekhi aur maine hi haath chor diya