Mahutram VB Sahab tasleemat ..
Apka khat masool hua go ke massarat ka baais bana ....Mujhe khushi ho rahi hai ke yoindia per ab ilmi bhs ki gunjaish hai ....sahebe kalam bhi badi shaistagi se kaam le rahe hain ..mahutram lafz sitamgar per apki rai sau fisad sahi hai mere ishara bhr ki taraf nahi maine sahebe kalam ko dusra misra tajweez kiya hai jis me lafz sitamgar thuda bahut sitam kar raha tha so maine usko hazaf kar liya ...bhr ke hisaab se wo apni jaga bar wazn faoolun sahi hai ......Apki amad ne post per chaar chand laga diye hain .....waise 6th sher ke misra e oola ke baare me kya khayal hai mahutram aapka ....wo bhi saaf kar den taake sahebe kalam aur mere dono ke ilm me izafa ho jaye ..chunke mai bhi abhi seekhne ke marhale se guzar raha hun .....ilm ka pyaasa kabhi sairab nahi hota .....Allah apko umre nuh ata kare ..
Khair andesh
qadeertoopchi
Mukarami janab Qadeertoopchi Sahab! Tasleemat-o-aadaab-bil-jawab
Sahab! hum khud bhe shagird he hen aur hamesha rahen gay, Mir-o-Ghalib honay say tu rahay. wo hay na k "na har k sar ba-taraashad qalandari daanad"..
Aap us ki wazaahat farma chukay thay aur hamen is say itefaaq tha so hum ne gurez kiya. Hamaray ilm kay mutaabiq, lafz "kee" men mojood "chhoti ya" ... harf-e-illat hay so giraai jaa sakti hay, lekin lafz "pee" ya "jee" men mojood "chhoti ya" .. harf-e-sahi hay aur isay saaqat kiya (giraya) nahi ja sakta is liyay taqtee men mehsoob ho ge... is hisaab say zer-e-ataab misra men lafz "pee" durust nahi bandha gaya...
Mohtaram ye hamaaray mehdood ilm k hisaab say hay. hum ne aaj tak asaatizaa ka koi aisa sher nahi parha jis men, lafz "jee" ya "pee" ko yak-harfi bandha gaya ho.. agar kisi sahab k ilm men ho to mutalaa farma kar sawab-e-daaren aur hum say shukria wasool karen...
wallah il ilm bis sawwaab ..
dua-go
ahqar - vb