Dard bhari pyaar hai from rahul agarwal

by rahulbam4u on July 31, 2006, 03:21:01 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1050 times)
rahulbam4u
Guest
Tanhaye me jab beete lamho ki yaad aati hai
kya kahey jism se jaan chali jaati hai,
yun tou unki berukhi yaad hai hume
per aakhein band kare tou surat unki nazar aati hai.

Kehta hai duniya ko, chod dega humein
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere doston
Khud hi lagaaye aag, khud hi bujhaaye bhi


Kehte hai Sawarne ke liye hote hai,
Aaine sirf bikharne ke liye hote hai.
Kyo mud kar dekhta hai num aankho se mujhe,
Raastey kewal guzarne ke liye hote hai.

Khwaab dekhe bhi nahi aur toot gaye
woh humse mile bhi nahi aur ruth gaye
hum jaagte rahe duniya soti rahi
ek baarish hi thi jo saath roti rahi.

kisi ka dil na toote aur koi aawaaz na chatke
meri yeh bebasi pak qayamat hoti jati hai
nami-si aankhon mai aur honth bheege huey se hain
yeh bheegapan hi dekho muskurat hoti jati hai

pahle aati thi haal-e-dil per husi
ab kisi baat par nahi aati

pyar paya tou raah saral ho gai
dard paya nigah taral ho gai
sukh dukh ke shan mile kuch is tarah
jindagi poori gazal ho gai

vahi hai dard-e-dil,vahi aansoo hai ab bhi
vahi shola vahi shabnam hai ab bhi
kahan tak tum mujhe gum de sakoge
main kahti hi rahungi, kum hai ab bhi.

tumne tou jindagi bhar karvaya intazaar
par hum ab bhi na hone denge bekarar
janaza uthane walon jaldi kadam badao
kabristan pai suna hai, ho raha hai intazaar.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Iss dard bhari zindagi main by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard Bhari Ghazal by robin_abdul in Shayri-E-Dard
dard bhari mulakaat...... by ranjana in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard Bhari Kahaani,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
<>*Ek pyaar bhari gazal ka mukhda hai wo*<> by *KasaK*....Dil Ki in Occassion Specific Poetry « 1 2  All »
rahulbam4u
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2006, 03:28:27 PM »
Wo Baywafa Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai... Wo Roshni Kay Khayal Main Wo Na Asaka Raah Mian Muntazir Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main Mere Justojoo Ko Khabar Nahi Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai.. Kary Pyar Lab Pay Koi Gila Na Hoo Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai Wo Aankh Hai Mere Ru Baru Ussi Haath Mein Mera Haath Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka Jo Mujhay Qarar Na Day Saka Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar Mujhay Apna Pyar Na Day Saka Wohi Shakhs Mere Talassh Hai Wohi Dard Mer
Logged
rahulbam4u
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2006, 03:34:16 PM »
Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay

Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay

palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay

BeBasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay

zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay

Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay

Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay

Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:56:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer