Darde Dil

by sunilmsn on December 25, 2008, 05:38:08 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1978 times)
sunilmsn
Guest
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe  sad3
 
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
 
Iss jahan mein mohabbat kaash na hoti
Toh safar-e-zindagi mein mithaas na hoti
Agar milti BEWAFA ko sazaaye maut
Toh deewano ki kabre yun udhas na hoti sad6
 
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
 
Tumse rishta tod bhi nahin sakte aur jod bhi nahin sakte
tu Bewafa hai yeh soch ke tumse muh mod bhi nahin sakte
beshaq tu kisi aur ke haathon ki lakeeron mein hi sahi
yeh soch ke hum tumse milne ki aas chod bhi nahin sakte sad8
 
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
 
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta sad11
 
 
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
 
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai.sad10
(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
darde dil by abhishek_gaurav in Shayri-E-Dard
Darde dil by mohdtariq in Other Languages
E darde dil rota... by manishmns in Shayeri for Dard -e- Bewafai
darde sahar by kam15 in Share:Love Poetry
Darde Dil- Yun ruswa by kam15 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 25, 2008, 10:33:20 PM »
Nice sharing Sunil Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: December 25, 2008, 10:59:45 PM »
Kuch likh raha hoon Sunil Ji
Shayad aap ko pasand aaye

Itna nadaan to tum kabhi the nahi
Ki sapno ko bhi haqeeqat samajh liye
Woh to unka apna tha tu the gair unke liye
Use hamsafar samajh nasamjhi kar baithe
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
 Kaash hum neb hi mohabbat ki hoti
To yeh zindagi meri kitni haseen hoti
Woh khud aayee thi hamare kabr par
Hum mil lete agar woh bewafaa na hoti
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Tumse mera rista kya hai hum bataa nahi sakte
Na jaane kyun hum tum ko bewafaa kah nahi sakte
Yeh jaante hue ki tum kisi aur ki ho chuki ho
Hum tum se milne ki aash chord nahi sakte
Logged
sunilmsn
Guest
«Reply #3 on: December 26, 2008, 06:00:18 AM »
wah rajesh ji kaya khub likha hai aap ne Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: December 26, 2008, 09:31:36 AM »
Thanks Sunil Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:43:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer