Dard-E-Tanhai...Rishi

by Rishi Agarwal on November 02, 2009, 11:33:00 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 28
Print
Author  (Read 12794 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #135 on: February 13, 2010, 07:46:50 AM »
Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,
Marne wale ke sath koi nahi marta..
Arre marne ki to baat dur rahi..
Yaha to zinda hai phir bhi koi yaad nahi karta!"

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard~e~tanhai by gumnaam_aashiq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Abb Dard Hi Dard Hai...........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
Dard-e-tanhai by Brijinder in Shayri-E-Dard
Dard -e- tanhai by devvender in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dard e Tanhai by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #136 on: February 13, 2010, 07:47:07 AM »
Dil do to kisi ek ko,
Aur do to kisi nek ko...
Jo samjhe pyaar ke matlab ko..
Jab tak saccha dildar na mile,
try karte raho har ek ko.

Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #137 on: February 13, 2010, 07:47:27 AM »
Har khushi teri taraf mod doon,
Tere liye chand taare tak tod doon,
khushiyo ke darwaje tere liye khol doon,
Itna kaafi hai ya do chaar jhoot aur bol du
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #138 on: February 13, 2010, 07:47:43 AM »
Hame apne dil me basay rakhna,
hamari yaado ke chirag jalaye rakhna
bahut lamba he safar sindgi ka
ek hissa hame bhi banaye rakhna
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #139 on: February 13, 2010, 07:48:05 AM »
Ter awaz suno to keise meri awaz mei tum ho
tujhe bhulaun to keise meri yado me tum ho
mera gulshan ujdega kabhi nhi
meri baharo mei tum ho
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #140 on: February 13, 2010, 07:48:44 AM »
Band aankho me bas sapne hote hai,
duniya me bahut kam log apne hote hai,
apne hi jab bhul jaate hai, to lagta hai
sapne to bas sapne hote hai...
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #141 on: February 13, 2010, 07:49:12 AM »
Zara Si Roshni Mujhko Achi Lagi
Mujhe Apke Ek Lamhe Ki Hansi Achi Lagi
Apse Baat Ki Jo 1 Roz
Us Hi Din Se Mujhe Apni Zindgi Achi Lagi
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #142 on: February 13, 2010, 07:49:52 AM »
Jhuki nazaro se ikrar mat karna
nazre uthakar inkar mat karna
raat bhar tadapte hai wo kisiki yaad mein
aur dusro se kehte hain kisise pyar mat karna
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #143 on: February 13, 2010, 08:57:28 AM »
Har khomoshi mein ek baat hoti hai,
Har dil mein ek yaad hoti hai,
Aapko pata ho ya na ho par aapki khushi k
liye roz fariyad hoti hai.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #144 on: February 13, 2010, 08:57:51 AM »
Beshak kuch waqt ka intezar milla hamko....
par kuda se badkar yaar mila humko .....
na rahi tammna ab jannat ki ....
aapki dosti se jo pyar mila humko....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #145 on: February 13, 2010, 08:58:32 AM »
kuch rishte uper wala banata hai.
kuch rishte log banate hain.
par kuch log bina kisi rishte
ke hi rishte nibhate hain...
shayad wohi dost kehlate hain....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #146 on: February 13, 2010, 08:59:11 AM »
Keh do un padne walo se.
kabhi hum bhi pada krte the.
jitna syllabus pad kar vo top kia karte hain.
itna syllabus to hum chodh dia karte the....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #147 on: February 13, 2010, 08:59:38 AM »
Royege yeh ankhe muskurane ke baad
ayege raat din dhal jane ke baad
kabi roothna na mujh se aye dost !
shayad yeh zindagi na rahe tere rooth jane ke baad
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #148 on: February 13, 2010, 09:00:13 AM »
Do pal ke haseen khwaab,
Do dil ke fasane,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Saanson ki mehak unki,
Mohabbat se kahi hr baat,
Mashook bari zalim thi,
Bari qaatil hai unki yaad,
Bhoole bichare woh waade,
Kache dhaagon si woh kasmein,
Do pal ke the saare,
Na Hue kabhi woh apne,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Do pal ke haseen khwab,
Do dil ke fasaane.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #149 on: February 13, 2010, 09:00:34 AM »
socha nahi achcha bura
dekha suna kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din
tere siva kuch bhi nahi


dekha tujhe socha tujhe,
chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa,
teri khata kuch bhi nahi


jis par hamari aankh ne
moti bichaye raat bhar
bheja vahi kagaaz use,
humne likha kuch bhi nahi


ik sham ki dahleez par
baithey rahe voh der tak
aankhon se ki baatein bahut,
muh se kaha kuch bhi nahi


Pal pal beet ta hai ab saal ki tarah
kyon waqt thaher jata hai kabhi kabhi
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 28
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 09:10:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer