Dard-E-Tanhai...Rishi

by Rishi Agarwal on November 02, 2009, 11:33:00 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 28
Print
Author  (Read 12982 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #150 on: February 13, 2010, 09:01:06 AM »
Aao kaheen door chalain
door bohot door chalain

jahan koi dekhnay wala na ho
jahan koi poochnay wala na ho

chalain wahan jahan piyar ka sama ho
jahan dharti apni apna aasman ho
chand ho apna taray hon apnay
aisa sapna ho

aao kaheen door chalain
jahan koi roknay wala na ho
jahan koi toknay wala na ho

piyar barsay deewaron say aisa makan ho
jahan piyar kay panchi rehtay hon aashiyan ho
piyar ki kaliyan khilti hon jis may
aisa gulistan ho

aao kaheen door chalain
jahan koi taknay wala na ho
jahan koi jhaknay wala na ho


chalo waheen chalay chalain
aao kaheen door chalain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard~e~tanhai by gumnaam_aashiq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Abb Dard Hi Dard Hai...........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
Dard-e-tanhai by Brijinder in Shayri-E-Dard
Dard -e- tanhai by devvender in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dard e Tanhai by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #151 on: February 13, 2010, 09:01:41 AM »
आओ कहीं दूर चलें
दूर बोहोत दूर चलें
जहाँ कोई देखने वाला न हो
जहाँ कोई पूछने वाला न हो
चलें वहां जहाँ प्यार का समां हो
जहाँ धरती अपनी अपना आसमान हो
चाँद हो अपना तारे हों अपने
ऐसा सपना हो
आओ कहीं दूर चलें
जहाँ कोई रोकने वाला न हो
जहाँ कोई टोकने वाला न हो
प्यार बरसे दीवारों से ऐसा मकान हो
जहाँ प्यार के पंछी रहते हों आशियाँ हो
प्यार की कलियाँ खिलती हों जिस मै
ऐसा गुलिस्तान हो
आओ कहीं दूर चलें
जहाँ कोई ताकने वाला न हो
जहाँ कोई झाकने वाला न हो
चलो वहीं चले चलें
आओ कहीं दूर चलें
चलो वहीं चले चलें
आओ कहीं दूर चलें
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #152 on: February 13, 2010, 09:02:18 AM »
Chehra mera tha nigahain uss ki
Khamoshi main bhi woh batain uss ki ,

Mere chehre pe ghazal likhti gaeen
sher kehti hoee ankhain uss ki ,

Shoukh lamhoon ka pata dene lageen
teze hoti hoee sansain uss ki,

Aise mosam bhi guzare hum ne
subhain jub apni theen shamain uss ki ,

Dhayan main uss ke yeh alam tha kabhi
aankh mehtaab ki yadien uss ki ,

Rung joeenda woh aye tu sahi
phool tu phool hain shakhain uss ki ,

Faisla mooj-e-hawa ne likha
aandhiyaan meri baharain uss ki ,

Khud bhi khulti na ho jis ki nazar
janta koun zabainain uss ki ,

Neend uss sooch se tooti aksar
kis tarhan kat ti hain ratain uss ki ,

Dour reh ker bhi sada rehti hain
mujh ko thame hoye banhain uss ki
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #153 on: February 13, 2010, 09:02:43 AM »
हम को प्यार इतना दो क हद ना रहे,
मगर ऐतबार इतना करना क शक ना रहे,
वफ़ा इतनी करना क बेवफाई ना हो,
और दुआ बस इतनी करना क कभी जुदाई ना हो
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #154 on: February 13, 2010, 09:03:14 AM »
Koi ankhonm akhon se baat kar leta hai,
koi ankhon ankhon main mulakat kar leta hai
Bada mushkil hota hai jawab dena
jab koi khamosh reh kar sawal kar leta hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #155 on: February 13, 2010, 09:03:40 AM »
Aasu me na dhundo hame
dil me bas jayenge
tammana ho agar milne ki
to band ankho me najar aayenge
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #156 on: February 13, 2010, 09:04:02 AM »
Lafzon ki justju mein sab kuch ganwa diya,
wo chal diya mein tarz-e-ada dhundta raha,
usko kisi ne Rab se liya mang aur mein
sajde mein gir kar harf-e-dua dhundta raha
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #157 on: February 13, 2010, 09:04:35 AM »
Bhool jayen aapko ye na mumkin baat hai,
na ho yaqeen aapko ye aur baat hai,
jab tak rahegi sans tab tak karenge apko yaad,
ye sans toot jaye to aur baat hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #158 on: February 13, 2010, 09:05:01 AM »
meri zindagi ka ajab rang hai
meri zindagi ka ajab dhang hai
jise bhi apna samjha wo chod chala
jisse ki umeede wabista
wo dil tod chala
mere dil me hazarau umang hai
meri chahat bhi samjho ek jang hai
date hai intizaar me uske
yehi meri zindagi kaa muhim hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #159 on: February 13, 2010, 09:05:41 AM »
Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho

Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho

Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari

Banke khwaab baar baar nazar aate ho

Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi

Bhird ki tanhayon mein her baar nazar aate ho

Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se

Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho

Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki

Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho

Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna

Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho

Suraj ki roshni,chanda ki chandni

Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab

Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho

Ab na poochna mujhse ke kab kab yaad aate ho
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #160 on: February 13, 2010, 09:06:05 AM »
Nakam si kosis kiya karte hai..........

Hum hai ki unse Pyar kiya karte hai........

Khudane takdir me 1 tuta tara nahi likha or..........

Dost hum hai ki CHAND ki arzu kiya karte hai.....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #161 on: February 13, 2010, 09:06:31 AM »
yeh ghazal hai na geet hai koi
yeh mere dard ki kahani hai
mere seene me sirf shole hai
meri aankho me sirf pani hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #162 on: February 13, 2010, 09:06:59 AM »
har subah teri duniya me roshini kar denge
rab tere gum ko khusi kar denge
dubne lage jab sansetumhari
hum apni sanse bhi tujhme shamil kar denge
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #163 on: February 13, 2010, 09:07:23 AM »
"YADEIN TERI RAKH DI HAI SAMHAL KAR,
DOOR KANHI IS DIL SE NIKAL KAR,
SAB KUCH TO LE LIYA HAI AAPNE DOOR JA KAR,
IN YADON KO BHI LE JANA KISI ROZ AA KAR"
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #164 on: February 13, 2010, 09:07:45 AM »
"wo dard hi kya,jo aankho se beh jaye,
wo khushihi kya, jo hontho pe reh jaye,
kabhi to samjho meri baat ko,
wo baat hi kya,jo alfhaj asani se keh jaye.."
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 28
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 27, 2024, 10:03:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer