Dard-E-Tanhai...Rishi

by Rishi Agarwal on November 02, 2009, 11:33:00 AM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 28
Print
Author  (Read 12987 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #180 on: February 13, 2010, 09:15:14 AM »
Rehne de aasma zamin ki talash kar,
Sab kuch yahi hai na kahi aur talash kar,
Har arzu puri ho to jine ka kya maza,
Jine k liye bas 1 kami ki talash kar.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard~e~tanhai by gumnaam_aashiq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Abb Dard Hi Dard Hai...........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
Dard-e-tanhai by Brijinder in Shayri-E-Dard
Dard -e- tanhai by devvender in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dard e Tanhai by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #181 on: February 13, 2010, 09:15:39 AM »
Hamare zakhmo ki vajhah bhi wo hai..
Hamare zakhmo ki Dava bhi wo hai...
Wo namak zakmo pe lagaye to kya hua...
Mohabbat karne ki wazah bhi wo hai...
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #182 on: February 13, 2010, 09:16:14 AM »
Ye duniya aur bhi hasin hoti .
agar humare chahne per dua kubul hoti .
kehne ko to sabhi apne hain .
kash koi aisa hota jise mere dard se taklif hoti .
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #183 on: February 13, 2010, 09:16:45 AM »
"Devdas" ko "paaro" ne nakam kar diya,
"sharabi" ko "sharab" ne badnam kar diya,
"mahobbat" ho ya "sharab", dono ka asar dekh lo,
"Devdas" aur "sharabi" ka, eksa "anjaam" kar diya.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #184 on: February 13, 2010, 09:17:04 AM »
waqt thora hai pas mere
par bahut kuch abhi karna baki hai
wo jakhm jo apno ne diye use abhi bharna baki hai
teri mohabbat ki aadat pad gayi hai mujhe
kuch der tere sath chalna baki hai
samshan mein jalta chhodkar mat jana warna ruh kahegi
Ruk ja abhi iska DIL jalna baki hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #185 on: February 13, 2010, 09:17:32 AM »
Tere Milne Ki AAS Na Hoti
Zindgi U Udas NA Hoti
MIL Jati JO 1Tasvir TERI
Mujko TERI Talash NA Hoti
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #186 on: February 13, 2010, 09:17:56 AM »
Andaz_e_Bayan se Zahir hai Teray Dil ka Khaloos
Teri Tehreer ka Hr Lafaz Tri Mohabaat ka Pta deta hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #187 on: February 13, 2010, 09:18:13 AM »
ittfaq ki zindgi hum jiya nahi karte
dhoka hum kisi ko diya nahi karte
na jane tum per ye dil kaise aa gaya
warna ye dil hum kisi ko diya nahi karte
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #188 on: February 13, 2010, 09:18:32 AM »
Ek Dil Mere Dilko Zakham De Gaya,
Zindagi Bhar Jeeneki Kasam De Gaya,
Lakho Phoolon Mein Se Phool Chuna Tha Humne,
Par Wo Bhi Kaanto Se Gehri Chubhan De Gaya
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #189 on: February 13, 2010, 09:18:53 AM »
Bewafa haseenaao se poocho ki aashiqo ko sataate kyun hain,
zamaane seh poocho ki aashiqo koh rulaate kyun hain,
hawaao se poocho ki hume unse door hataate kyun hain,
ghataao se poocho ki hume wo aise sulaate kyun hain,
chand se poocho ki raat mein andhere mitaate kyun hain,
peena kaun kambakht,chaahata hain is zamaane mein,
saaare aalam se poocho ki maikhaane banaate kyun hain
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #190 on: February 13, 2010, 09:20:06 AM »
patharon ko kisne dekha hai
log dillon ke saath khellte hein
heera samaj ke dil jeet-tey hein
agley he din khillona bana ker phenk dete hein
Kehte hain patthar dil aadmi ke,
aansoo nahi nikalte;
Par teri hi kudrat hai,
pattharon se hi jharne phootte hain.
Dil patthar ke nahin hote,
jamana bana deta hai
Sakhta patthar ke peeche ka dard
kise pata hota hai?
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #191 on: February 13, 2010, 09:20:28 AM »
♥ღ♥*KUCH hanju de gaye ne♥ღ♥*

♥ღ♥* kuch houke de gaye ne♥ღ♥*

♥ღ♥*eh sajjan sanu ki tohfe de gaye ne♥ღ♥*

♥ღ♥*chal chad dila eh gile shikwe♥ღ♥*

♥ღ♥* jo vi de gaye tere apne de gaye ne ♥ღ♥*
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #192 on: February 13, 2010, 09:20:59 AM »
अब अपना रिश्ता ही क्या रहा इन दरो दीवारों से,

जिनके लिए आशियाना बनाया वो तो कभी का नया घर बसा चुके..!!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #193 on: February 13, 2010, 09:21:17 AM »
हम को इस दौर-ऐ-तरक्की ने दिया क्या यारों

कल भी बर्बाद थे और आज भी बर्बाद हैं हम.......
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #194 on: February 13, 2010, 09:21:41 AM »
Muddato se roze rakh raha hu...

rukh se nakaab hate to meri bhi eid ho jaye...
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 28
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 27, 2024, 11:33:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer