Dard-E-Tanhai...Rishi

by Rishi Agarwal on November 02, 2009, 11:33:00 AM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 28
Print
Author  (Read 12785 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #255 on: February 13, 2010, 10:05:24 AM »
main ab teri yaadon ke ghar mai rehna chahata hu
tanahayi ke aandhero mai tere chehre ki roshni chahata hu...

aate hai bahut baar aansu meri aankho jaane kiyon
teri gunguni ungliyon ka palkon pe woh ehsaas chahata hu....

hoti hai jab kabhi barsaat mere aas-paas itni jor se
uss pal tere saath ek baar bheegna chahata hu......

dil mai rakhi hai muddaton se jo mohabbat ki kitaab
woh tere saath baith ke baar-baar padhna chahata hu.....

chhod ke gai thi tu jis gali ke khambe ke paas mujhe tanaha
uss jagha ek baar main tujh se phir milna chahata hu.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard~e~tanhai by gumnaam_aashiq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Abb Dard Hi Dard Hai...........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
Dard-e-tanhai by Brijinder in Shayri-E-Dard
Dard -e- tanhai by devvender in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dard e Tanhai by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #256 on: February 13, 2010, 10:05:53 AM »
kismat har baar hamare saath ho ye zaruri nahi
jo ho jaye waqt par wahi takdeer ban jaati hai....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #257 on: February 13, 2010, 10:06:12 AM »
Log is qadr bejaan kyun hai ..Ya Rabb
Apno se hi pareshan kyun hai.. Ya Rabb!!

Khelte hain ye jazbaat se apno ke
Khoon-e-dil itna aasaan kyun hai.. Ya Rabb!!

Maangne se mohabbat nahi milti hai
Jaankar bhi ye anjaan kyun hai.. Ya Rabb!!

Dhoke dena to jaise riwayat yahan
Toote dil khud ka, hairaan kyuN hai .. Ya Rabb!!

Butt ye patther ke dil hai na dhadkan inme
Kehte sab inhe insaan kyuN hai.. Ya Rabb!!

Dil hazaaron yahan per hai toote "maddy"
phir bhi har lab pe muskaan kyun hai.. Ya Rabb
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #258 on: February 13, 2010, 10:06:31 AM »
Waqt ke saath chalana sikho
Gir ke fir sambhalana sikho

Roshan karne Apano ka jivan
Ek deep ki tarah jalana sikho

AAndhi mei.N date raho aur
Rukh hawaa ka badalana sikho

Dard ki jwaala jalaane lage jab
Barf ban kar pighalana sikho

Kaanto.N se fir khauf kyun ?
Gar Phool jaise palana sikho
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #259 on: February 13, 2010, 10:06:48 AM »
~*~Kaash Dil ki aawaz mein aisa asar ho jaaye
Jise Hum Yaad karte hai use Khabar ho jaaye ~*~
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #260 on: February 13, 2010, 10:07:03 AM »
Yaadon mein tum, khwabon mein tum
Aankhon mein tum, dil mein tum
Yaad karein bhi to kaise karein dost tujhko
Jise bhula na paayein wo hi shaks ho tum.....
jee raha houn magar jeene ki chahat nahi
marna chahata houn magar maut meharbaan nahi
tumhare yaado ne to gher ke rakha hai mujhe
tera saath bhi is jindagi me shayad mumkin nahi
Ishq sabhi ko jeena sikha deta hai,
wafa ke naam pr marna sikha deta hai,
ishq nahi kiya to karke dekho yaar har
dard ko sehna sikha deta hai.
Karke dosti, hum doston ko nahi bhulate....
Zindagi bhar hum dosti hain nibhate....
Na tumhe ho batwaare ka ehsaas....
Isliye ab hum naye dost nahi banate
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #261 on: February 13, 2010, 10:07:20 AM »
Eh aasmaan wale zameen par uttar kar dekh,
hoti hai kaya judai tu bhi bichad kar dekh....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #262 on: February 13, 2010, 10:07:41 AM »
Zholi Mein Kuch Hai Baki.. To Gazal Hai Meri..
Mera Roop Meri Pehchaan .. Gazal Hai Meri..

Koi Puche Kyaa Hai Mazhab Tera..Kahaa Ye Maine..
Shayari Deen Hai.. Imaan Gazal Hai Meri..

Kyaa Sukoon Ismein.. Oos Ki Boondon Ki Tarah..
Jindgi Ke Liye Muskaan... Gazal Hai Meri..

Zaalim Zamana Zakhm Chahe Jitne Bhi De de Mujhe...
Dil Ke Har Dard Ka Malham.. Gazal Hai Meri..

Koi Lamha .. Koi Ehsaas ... Ek Naya Khayal..
Mere Zinda Rehne Ki Vajah.. Gazal Hai Meri..

Ishq Ke Len-Den Me.. Aashique Tera Nuksaan Hai..
Faida Gar Hai Koi.. To Gazal Hai Meri...

Zholi Mein Kuch Hai Baki.. To Gazal Hai Meri..
Mera Roop Meri Pehchaan .. Gazal Hai Meri..
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #263 on: December 20, 2010, 08:39:11 AM »
Mere dil ko todakar tum jaaoge jaha,
Meri baate yaad tumako aayegi wahaa,
Main to apna samajhkar tumhe maaf kar dunga,
Magar maaf na karega tumako ye jahaan.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #264 on: December 20, 2010, 08:39:35 AM »
Woh chalte chalte itne door chale gaye,
Hamein rokna bhi na aaya.
Hamne unka naam liya phir bhi,
Shayad unhein sunna na aaya.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #265 on: December 20, 2010, 08:40:04 AM »
Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Ha
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaysi Ha
Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Ha.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #266 on: December 20, 2010, 08:40:36 AM »
Tum dur ho¦ aur pas bhi,!
Tum hansi ho¦ aur aansu bhi!
Tum Mere man ki shanti ho.. aur dil ki bechaini bhi!
Tum meri amanat ho.. aur ek sapna bhi!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #267 on: December 20, 2010, 08:41:13 AM »
Chaha to bahot tha lekin woh mila naahin
Lakh koshisho ke bawjood humare beech ka fasla meeta naahin
Is kadar majboor kar diya zamane ne hume
Ki woh meri kisi sada pe tehra hi naahin
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #268 on: December 20, 2010, 08:41:46 AM »
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #269 on: December 20, 2010, 08:42:07 AM »
Apne khwaabon khyaalon me tujhe paaya hamane,
Tere pyaar me khud ko mitaya hamane,
Suna hai andhero se bahut ghabraate ho tum,
Roshani ke liye apne dil ko jalaya hamne.
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 28
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:31:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer