Dard-E-Tanhai...Rishi

by Rishi Agarwal on November 02, 2009, 11:33:00 AM
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 28
Print
Author  (Read 12965 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #285 on: December 20, 2010, 09:13:59 AM »
Milta nahi hai pyaar aasaani se zindagi mein,
mera naseeb bhi kabhi khula tha…
par ab toh dil mein pathjhad hi hai,
fir bhi aisa lagta hai ki tum aayethe
kal bahaar banke meri zindagi mein…
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard~e~tanhai by gumnaam_aashiq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Abb Dard Hi Dard Hai...........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
Dard-e-tanhai by Brijinder in Shayri-E-Dard
Dard -e- tanhai by devvender in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dard e Tanhai by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #286 on: December 20, 2010, 09:15:19 AM »
Dil ki ek baat tumhe batata hoon,
phir chahe tum ise maano ya na maano,
kehta to hoon sabse ki tum mere dost ho…
magar pyaar ka ddeep dil mein tumhare liye hi jalata hoon…
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #287 on: December 20, 2010, 09:16:21 AM »
Kabhi Kisi Se Pyaar Mat Karna
Ho Jaaye To Inkaar Mat Karna
Nibha Sako To Chalna Uski Raah Par
Varna Kisi Ki Zindagi Barbaad Mat Karna…
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #288 on: December 20, 2010, 09:19:09 AM »
Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #289 on: December 21, 2010, 07:28:27 AM »
Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
saath chalne ki soch bhi uski thee,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
aaj akele hain…dil sawaal karta hai…
Log to uske the, kya khuda bhi uska tha?Huh?
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #290 on: December 21, 2010, 07:29:04 AM »
Muhobat ke bhi kuch andaj hote hai,

jagti nkho ke bhi kuch khwab hote hai,

jaruri nahi ke gam me hi ansu nikle,

muskurati ankho me bhi sailab hote hai.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #291 on: December 21, 2010, 07:29:25 AM »
Apne khwabo ki tabir ki khatir
Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
Yad kar wo din ek isara par maine
Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
Mujhe beijjat aur badnam kar dala
Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
Par tune khun ke aansu rula dala
Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
Par tune mujh se bewafai kar dala.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #292 on: December 21, 2010, 07:29:47 AM »
Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya…………..
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #293 on: December 21, 2010, 07:30:10 AM »
Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume is dunia se,
jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila hume is dunia se,
saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me hum,
unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha is dunia se…
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #294 on: December 21, 2010, 07:30:34 AM »
Bewafai ki kya dava hai yaroo!
Kush kismati uski jiski
Mayyath nikli mehboob ki gali se….
Bathkismathi uski jiski
Mehboob ki baraath nikli uski gali se….
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #295 on: December 21, 2010, 07:31:04 AM »
Teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota!!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #296 on: December 21, 2010, 07:31:30 AM »
Taras jaoge tum mehfil-e-wafaa ke liye,
kisi se pyaar na karna KHUDAA ke liye,
jab lagegi ishq ki adalat ek din,
tum hi chune jaaoge ae zaalim SAZAA ke liye…
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #297 on: December 21, 2010, 07:32:44 AM »
Jihdi Khushi Layi Aasi Mangde Rahe Duavaavan,

Aaj Kinj Keh Diyan Ke Oh Sajjan Ujjar Jave,

Jihdi Paireen Aasi Phul Vishaey,

Jehar da Kauda Ghut Pita,

Kinj Keh Diyan Oh Rabba,

Mere Dillon Ohda Hun Na Hi Mit Jaye…
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #298 on: December 21, 2010, 07:33:30 AM »
Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan…
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #299 on: December 21, 2010, 07:34:04 AM »
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai…
Logged
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 28
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:00:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer