Dard-E-Tanhai...Rishi

by Rishi Agarwal on November 02, 2009, 11:33:00 AM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 28
Print
Author  (Read 12781 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #300 on: December 21, 2010, 07:34:34 AM »
Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard~e~tanhai by gumnaam_aashiq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Abb Dard Hi Dard Hai...........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
Dard-e-tanhai by Brijinder in Shayri-E-Dard
Dard -e- tanhai by devvender in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dard e Tanhai by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #301 on: December 21, 2010, 07:35:08 AM »
Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya…
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #302 on: December 21, 2010, 07:35:41 AM »
Bewafa dil ki rahon me na bhatke hote,
sisse se najuk dil ko sine me chhupa ke rkhte,
agr hum karte unse bewafai,
to aaj iss kabr me na lete  hote.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #303 on: December 21, 2010, 07:36:11 AM »
Dua krta hun ki koi pyaar na kre,
agr dil kisi ka tutte to fryaad na kre,
bewafaao se wafa ki tamanna rkhne wale,
kal meri kabr ke paas teri bhi na mile.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #304 on: December 21, 2010, 07:36:37 AM »
Bewafai unhone ki saja hume mili,
pyaar humne kiya,gunah unse hue,
chot usse lagi to dard mujhe hua,
ghav to uske bhar gye,
par nissaa mere baaki reh gye.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #305 on: December 21, 2010, 07:37:14 AM »
Yaad teri hume itni aayi,
ke teri yaado ke saaye me jine laga,
dost to dost meri halat ko dekh,
khud khuda bhi rone laga..
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #306 on: December 21, 2010, 07:37:50 AM »
Dard~e~dil bekraar hua,
humko bhi unsse pyaar huaa,
itna khub surat unka chehra tha ki,
qatll mera sar~e~aaaaaam huaaaa..
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #307 on: December 21, 2010, 07:38:46 AM »
Yaad tumhari bahut aati hai,
Mere dil ki bechaini ko badhati hai.
Ek pal bhi bhool na paun tujhe mein,
Ab to hawayen bhe teri kahani sunati hai.
Har pal mere sath rahti ho,
Mere har khwab tum sajati ho.
Akele me izhaar karti ho mohbbat ka,
Par duniya se na jane kyon chhupati ho.
Jahan dekhun vahan tera hi aksh milta hai,
Har par saaya tera sath mere chalta hai.
Ek pal bhi bhool na paun tujhe mein,
Ab to hawayen bhe teri kahani sunati hai.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #308 on: December 21, 2010, 07:39:17 AM »
Mohabbat ka ajeeb karobaar hum ne kiya,
Woh be wafa sehi magar pyaar hum ne kiya,
agar woh chor gya to mat keho bura us ko,
Qasoor uska nhe “Aitebaar” hum ne kiya !
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #309 on: December 21, 2010, 07:39:37 AM »
Unhe to fursat nahi hume yaad karne ki
humara waqt guzarta hai unki fariyad karke
wo aaye mere lash pe to kehna
abhi soya hai tujhe yaad karke !
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #310 on: December 21, 2010, 07:40:01 AM »
Pal bhar mein tut jaye wo kasam nahi,
ishq ko bhool jaye wo hum nahi,
tum bewafa bano is baat mein dam nahi,
kyunki hamari wafa bhi kuchh kam nahi.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #311 on: December 21, 2010, 07:40:25 AM »
Chahte the jinhe unke dil badal gaye
samandar gehre the sahil badal gaye
Katal aisa hua tukdo me mera
kabhi badle khanzar to kabhi katil badal gaye.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #312 on: December 21, 2010, 07:40:55 AM »
Hum uski yaad mai barso rote rahe
Bewafa wo nikle badnam hum hote rahe..
pyar me madhoshi ka aalam to dekhiye,
dhul chehre pe thi aur hum aaina dhote rahe.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #313 on: December 21, 2010, 07:41:14 AM »
Gamo ki Barsaat Samete Huay Betha hu.
Kisi Bewafa se Dhokha Khai Bhetha hu.
Jane Kab Dega Uper wala Mot Mujh ko,
Ab To bas Khuda ke Bharosay Aas lagay Betha hu.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #314 on: December 21, 2010, 07:41:38 AM »
Unko Apne Haal ka Hisaab Kya Dete?
Sawal Saare Galat The, Hum Jawab Kya Dete?
Wo Toh Lafzo Ki Hifazat Bhi Naa Kr Sake…
Phr Unke Hath Mein Zndgi Ki Puri Kitaab Kya Dete???
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 28
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 10:30:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer