!! haha lollzz jara idhar bhi najar daaliye !!

by myheart_ursonly on January 26, 2005, 07:16:16 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 937 times)
myheart_ursonly
Guest
Ek baar ek Pakistani ko bahut jyada deshprem ho gaya aur usse Jinnah se milne ka bahut shauk ho gaya. Bahut baar namaz ada ki par Allah ne kabhee darshan hi nahi diya ki wo unse request karta Jinnah ki darshan karane ki.
Pakistani tha software ka banda, usne Allah ke System ke load ka calculation kiya. Kareeb 2 billion muslim honge world me, daily 5 times * 2 billion= 10 billion namaz requests a day from different parts of the world, causing poor network bandwidth and congestion. Certainly wo system bahut overloaded hoga, to usne socha ki Hindu ke to 33 crores God hain aur upar se population bhee kam hai, aadhee Hindu janta to Bhagwan ka naam hi nahin leti aur bakee din me ekadh bar....kafee "underutilized" systems hai. Kyu na us channel se try karke kisi bhee Bhagwan ka darshan kar lu aur uske baad darshan milne par Jinnah se milwane ka request kar lunga.
Bas wo us din se Shankar bhagwan ki tapasya karne lagta hai. Hafte bhar me Shankar Bhagwan darshan de dete hain, bolte hain- "Vats mango, kya mangte ho..!"
Paki Bhakt bol uthta hai- " Huzur-e-aala, mujhe Jinnah Sahab se ek mukhtsar ru-ba-ru kara dijiye...!"
Shankar Bhagwan to waise Sanskrit jyada samajhte hain par aajkal Urdu bhee samajhne lage hain (kyuki kafee log is Paki ki tarah unse minnate karne lage hain). To unhone kaha - " Vats, Chai piyoge...!"
Paki Bhakt ko kuchh samajh me nahi aaya, wo sochne laga Chai peene ki baat kyo kar rahe hai, use laga shayad kuch language problem ho gaya hoga, usne kah diya - "Nahi.." aur Shankar je nazaro se ojhal ho gaye...
Paki Bhakt, bahut mayus ho gaya. Usne is baar kareeb 100-200 Hindi Video cassattes la kar pahle apnee Hindi theek ki aur is baar Hanumanji ki tapasya me leen ho gaya. Kuchh hi dino me Hanumanji prakat ho gaye aur bole-" Vats, kaun sa sankat more gareeb ko, jo tumse nahi jaat hai taro...?"
Paki bhakt kabhie Hanuman Chaleesa padha nahin tha, is liye usko Hanuman ji ki Kharee Awadhee bhasha samajh me nahi aaye, par phir bhi usne apnee mansha jahir kar di - " Prabhu, mujhe Jinnah sahab se mila dijiye..!"
Turant Hanumanji ne kaha- " Chai piyoge?"
Paki bhakt fir chakkar me aa gaya. Is baar to usne kafee soch samajh kar apne hisaab se bahut simple Hindi me apna prashn kiya tha, par ye bhee same jawab...lekin wo socha ki nahin kuchh to gadbad hai aur bol diya-"Nahin..mujhe chai nahi peena hai...mujhe to...!" Jab tak wo apne sentence pura karta, Hanumanji vilupt ho gaye.
Ab usse samajh me nahi aa raha tha ki kya kare. Usne ek pandit ko e-mail ke through contact kiya aur chat karke apnee saree kahanee bata di. Pandit ne on-line use samjhaya ki - "Devta gan, antaryamee hote hain. Unke har prashn me kuchh na kuchh nihit hota hai, atah tum jo wo puchhe uska uttar haan me karna...!"
Is baar Pakistani bilkul taiyar tha ki agar Sri Ram ne darshan diya to wo jo bhee bolenge main jawab haan me dunga. Lag gaya fir se Sri Ram ki tapasya me. Sri Ram ji Prakat hue aur bole- "Vats, kya kasht hai tumhe...kyu smaran kiya?"
Paki bola- "Prabhu, mujhe Jinnah se ek baar mila dijiye..."
Sri Ram ne kaha - "Chai piyoge?"
Paki ne kaha - "Jee haan, main piyunga...!"
Sri Ram ne kaha - " Jinnah...Do chai idhar, malai maar kar....!"

*** no hard feelings for pakis... this is just a joke!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: HaHa :: HaI rE : MuMbAi GaYeE hAi DeGrEe LeNe :: by myheart_ursonly in SMS , mobile & JOKES
Najar - Najar se by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
~Garfield~ Is BaCK!!!! ehhe eeh haha haha by ~Garfield~ in Chit - Chat & General Discussion
Idhar Bhi Hai Udhar Bhi...(NM) by maya01 in Shayri-E-Dard
Sabhee soofiyaanah: jalaa daaliye? by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2005, 07:25:17 PM »
ha ha ha ha!!!! Touba hai touba!!!!!!!
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2005, 07:36:14 PM »
lolz pooj
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:47:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.085 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer