Main aur merra dard...NOT MINE...

by brokenbyluv on August 16, 2009, 06:06:34 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 43
Print
Author  (Read 18087 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #150 on: August 30, 2009, 05:53:23 PM »
MERI ZINDAGI KI RAAT KI SUBAH HOGI..EK DIN

MERE PAS BHI JINE KI WAJAH HOGI..EK DIN

KABHI NA KABHI MERI AANKHON MEIN UTRENGI ZINDGI

KE MERE LIYE BHI DIL MEIN KISI KE JAGAH HOGI..EK DIN

WO DIN KABHI TO AAYEGA, KHUSHIYAN KABHI TO AAYENGI

KABHI NA KABHI TO KHWAISHEIN MERI MANJIL KO PAYENGI

MHBT KI JUNG MEIN MERI BHI JEET HOGI..EK DIN

MERI ZINDGI KI RAAT KI SUBAH HOGI..EK DIN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Merra pyar... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Merra naam... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
Vo merra ajnabi...... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Kya kasur hai merra... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
brokenbyluv
Guest
«Reply #151 on: August 30, 2009, 06:10:22 PM »
hamari zindagi ki har khusi unhe mil jaye,
ki unka daaman chota pad jaye.
unki raahoo ke kaante hamari raahoo mein bich jaaye,
ki unke daaman ko choo bhi na paaye .
par bhagwan unhe koi itna payar karne vaala na de,
ki woh hamhe bhool jaaye......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #152 on: August 30, 2009, 06:14:16 PM »
Tujhse dard ke ehsasho ko chhipaane ke,
mere nuskhe ko duniya kaayri kehti hai,
par pata nahi kaisi ye mujh jaise,,
chand paaglo ki basti hai..jo ise shayri kehti hai......

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #153 on: August 30, 2009, 06:16:35 PM »
Chehra mera tha nigahe thi uss ki,
Khamoshi mein bhi woh baate uss ki,
Mere chehre pe ghazal likhta gaya,
Sher kehti gayi aankhein uss ki...... tearyeyed tearyeyed
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #154 on: August 30, 2009, 06:19:44 PM »
Khamosh lafzon se door bezuban hoon main
mere pas tere liye koyi ilzam nahi,
jab sher bhi khatam shayri bhi khafa..
mere tere rishte ka koyi naam nahi......

Samjhe aap...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #155 on: August 30, 2009, 07:13:37 PM »
SIKHA DIYA

Har Thokar Ne Meri Mujhko
Chalna Sikha Diya,
Mere Aankho Ke Aansuo Ne
Mujhe Khul Ke Hasna Sikha Diya,
Samundar Ki Lehro Ne
Mujhe Ghir Kar
Phir Se Ubarna Sikha Diya,
Baarish Ki Boondo Ne
Zameen Pe Rehna Sikha Diya,
Phoolo Ne Toot Kar Bhi
Mehakna Sikha Diya,
Tara Toot Jane Par Bhi
Kisi Ke Kaam Aata Hai
Zindagi Ki Sachaiyo Ne
Mujhe Chalte Rehna Sikha Diya,
Woh Fakeer Jo Do Roti Ke Liye
Taras Jaata Hai
MAJBURIYO MEIN JAZBATO KA HADH SE GUZARNA SIKHA DIYA,
Aage Yu To Karvaan Chalte Rahega "GEET"
Waqt Ne Aankhon Ki Nami Ke Saath-Saath
Muskuraane Ka Hunar Sikha Diya,
Gile-Shikwe Se Kuch Nahi Haasil "GEET"
WAQT NE HALLAT SE LADNA SIKHA DIYA......
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #156 on: August 30, 2009, 08:39:56 PM »
kahaan chupaye the ye taraashe hue heere

Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #157 on: August 31, 2009, 10:53:20 AM »
Thnx reaper ji...maine tou bus yahan share kiya hai tarrif k kaabil tou vo hai jinhone ye likha hai...

Ye Udaas Din Ye Udaas Shaam
Kat Ti Nahin Ab Tum Aa Jao
Mere Aansu Awaaz Dete Hain
Kya Unhe Tum Sun Rahe Ho ?
Akeli Rahguzar Pe Khadi Hoon
Shayad Tum Yahan Se Guzro
Ye Mere Adhure Se Khwaab
Inko Le Ke Main Kahan Jaaon
Meri Zindagi Guzar Gayi Saraab Me
Maine Kya Paya, Tumhi Batao
Khwaab Dhal Gaye Aansu Ban Kar
Bohot Hua Ab Tum Aa Bhi Jaao......
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #158 on: August 31, 2009, 11:12:57 AM »
shayari to nahi ek doha yaad aata hai
 
"Guru gobind dono khade kaake laage paanv
Balihari guru apne , govind dhiyo bataye"

Is liye mein aapke shukriya keh raha hoon kyunki maine yeh shayari nahi pade the lekin aap na hote to shayad padta bhi nahi

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #159 on: August 31, 2009, 11:23:18 AM »
shukriya ji..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #160 on: August 31, 2009, 11:27:05 AM »
Mudat Beet Gayi,Humare Honth Hai Aaj Bhi Sile Hue
Kal Hi Bichade The,Par Laga Jaise Sadiya Beet Gayi Hai Mile Hue

Jab Milti thi Unse To Sochti thi Apne Dil Ki Baat Keh Doon
Par Jab Bhi Lab Khule,Dono Taraf Se Sirf Shikayate Aur Gile Hue

Ek Umang Si Thi Dil Mein Ke Woh Hume Kabhi Gale Lagayenge
Aaj Gale Lagaya Bhi To Usne Alwida Kehne Ke Liye,
Khoob Inaam Hai Hume Mohabbat Mein Mile Hue

Kya Kahoon Apni Kismat Ke Baare Mein,
Kaanto Se Bhar Gaye The Pair Mere
Yeh Dekh Kar Pucha Har Shaks Ne,
Yeh Kaanto Ke Zakhm Pairo Par Kaise?
Jab Ki Teri Raahon Mein The Sirf Phool Hi Khile Hue

Meri Aankhon Mein ae Dost
Kabhi Utar Kar Dekhna Zara
Toote Hue Sapne,Bikhre Hue Khwaishe,
Tadapte Hue Aansu Hi Milenge Tujhe,
In Aankhon Mein Dard Ke Saath Mile Hue

Aur Kuch Na Keh Sakoongi Main Tujhe,
Aaj Likhte Hue Kalam Ne Bhi Mujhe Thaam Kar Kaha
"Na Likh Ab Khwaish Apne Dard Ki Dastaan
Dekh Tere Ashko Se Aaj Kaagaz Bhi Geele Hue"......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #161 on: September 01, 2009, 04:55:38 PM »
Jeene De Mujhe Apne Saath
Ya Phir Mujhe Khud Se Juda Kar
Par Aaj Kuch To Faisla Kar......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #162 on: September 01, 2009, 05:00:11 PM »
Kise Pukarain Hum Is Gham Main
Ke Sub Hi Hamaray Aazamaye Hue Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Wrna Hum To Rishta Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte Hain
Ke Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Bharosa Kaisay
Ke Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hai Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain...... sad11
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #163 on: September 01, 2009, 05:02:44 PM »
Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai

Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai

Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai

Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafai Hai To Bewafai Ki Raat Hai

Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai

Yu Is Zindagi Mein Mujhe Akela Chhod Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Ye Raat Hai......

HAPPY BIRTHDAY SWEETU...MISS U SOoooo MUCH... tearyeyed
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #164 on: September 01, 2009, 05:10:16 PM »
Bhool Jaana Tum Ko Hum Se Pyaar Tha Kabhi
Khushion Ki Tere Jeevan Mein Na Ho Koi Kami,
Mujh Par Karo Koi Zulm, Aaj Mujhko Rula Do
Aisa Zakhm Do Ki Zindagi Bhar Ke Liye Sula Do...... tearyeyed
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 43
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 09:30:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer