Saayeris frm rahul

by rahulbam4u on August 15, 2006, 03:09:13 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1305 times)
rahulbam4u
Guest
Mana ki bhulna hamari aadat hi sahi,Magar aapko bhul jana hamare bas mein nahi. Dil chahe to aazma ke dekh lo,Hum bhulna bhul jayenge par aapko nahi...     
Last Night A Tear Rolled Out From My eye. I Asked It Why Did U Come Out? It Replied There Someone So Special In Ur Eyes So There Is No Space For Me
Gile kagaz ki tarha hai jindgi apni, koi jalata bhi nahi or koi bahata bhi nahi, is kadar akele hai raahon me dil ki, koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi........!    
If I could give u one thing in life, I would give u the ability to see yourself through my eyes, only then would u realise how special u r to me!!
Maine sukhe patto se poocha Yuin per se bichad ke ji kaise rahe ho? Usne Kaha adat si par gayi hai! Tanhai raton se poocha Itni gumsum si kyun rehti ho? Usne kaha adat si par gayi hai! Maine dil se poocha Jaam me dard mila kar kyun pite ho? To dil ne kaha Yeh adat hai jo badalte nehi! Main lakh chahta hu, Phir bhi yeh sudharte nehi!    
Khamosh nigahein aapki bohut kuch samjha gayi, Chup hai hum kyunki majboori hai aapni, Beshaq hume pyaar hai aapse, Par itna bhi nehi ke hum wajood badal de aapni.
Zindagi hai nadan isliye chup hoon,Dard hi dard subah shaam isliye chup hoon,Keh du zamane se dastan apni,Usme ayega tera naam isliye chup hoon.
   
In aakhon mein aasu aaye na hote.. Wo jo mud mudkar yu muskuray na hote.... Unke jane ke baad ye Gam hota hai..... Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote....
Main musaffir hu, khushiyon ki talash me chala ja raha hu, Ankhon me asoonwon ka toofan, dil me dard ka ehsas liye, anjani raho me bhatak raha hu...shayaad yeh soach kar ke Dard ke us mor par kahi na kahi, kabhi na kabhi meri manzil mujhe mil jaye. Main Musaffir Hoon...ha yaaron main musaffir hoon.
   
Ishq ne thukraya to kya? Ashq ne saath to nibhaya!Mehfil ne thukraya to kya? Tanhai ne saath to nibhaya! Kyun sikwa kare zindegi se? Kyun badnaam kare usey? Ashique na ban paya to kya? Sukhr hai ke zindegi ne Sayair to banaya.
Mohabbat sabko mil jaaye jaruri to nahi.Woh bhi hame chahein jaruri to nahi.Kuch log bahut yaad aate hain dil ko,Hum bhi unki yaad ban jaaye jaruri to nahi....
   
Woh GUL hoon jo GULISTAN se nikala gaya hoon, MAUT ke bazar me bikne ke liye dala gaya hoon, Jo dava karte hain mere JINDA hone ka puchho jara jakar unse jinke hatthon mara gaya hoon.
Dono aankho mein ashq liya karte hain,Hum apni neend mein tera naam liya karte hain.Jab bhi aaye Hichkiyaan tumhe,Samajh lena hum tumhe yaad kiya karte hain....
   
Gile kagaz ki tarha hai jindgi apni, koi jalata bhi nahi or koi bahata bhi nahi, is kadar akele hai raahon me dil ki, koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi........!
mitti meri kaber se chura raha hai koi markar bhi yaad aa raha hai koi eh khuda do pal ki zindagi aur dede mujhe udas meri kaber ja raha hai koi
   
Phir aaj ek baar jeene ko maan karta hai, Phir aaj ek baar hawaon ki sarsarahat me dil jhum utha hai, Phir aaj ek baar mausam nayi geet gunguna rahi hai, Phir aaj ek baar tumhari maujutgi meri zindegi badal rahi hai...
Mujhe sudharne ki tumhari nakaam koshishey yaad hai, nakar nigahon ki woh unkahi batein yaad hai,meri baton me chupi karwahat yaad hai, tumhari ankhon se chalka pani yaad hai, ro ro ke jo ratein guzari tumne, woh sari ratein yaad hai, jete ji tum humko kuch na sikha paye, aaj tumhari maut ne rishton ki ahmiyat sikha di.
   
Nazron se nazron ka takrar hota hai..Har mod pe kisi ka intezar hota hai dil rota hai zakham hansta hai shayad yehi pyar hota hai..
Na KOi Kissi Se dur Hota Hai Na Koi Kissi Ke Kareeb Hota Hai Pyaar Khud Chal Kar Aata hai Jab Koi Kissi Ke Naseeb Me Hota Hai..
   
Bin sawan Barsat Nahi Hoti Suraj Dube Bina raat nahi Hoti Is liye Dost kissi ka dil na todna kyon ki Dil tutne ki awaz nahi hoti.
Zakham dene ka aandaz kuch aaisa hai zakham de kar poochte hai ke aab haal kaisa hai kissi ek se gila kya karna yaro sari duniya ka mizaz ek jaisa hai..
   
Khamoosh the hum to magrur samaj liya chup the hum to majboor samaj liya yehi aapki galti hai ke itne kareeb the hum phir bhi aapne door samaj liya.
kal raat sitaron mein dund raha tha chehra tera jab nazar aa ya chand toh nazar aaya chehra tera
   
Bag ki bat bag ka mali hi samje
Fulo ka dard zukti dali hi samje
Ye kaisi rit banai duniya walone
Diya ka dil jale aur log diwali samje
Jindagi Ne Khushiyon Ko Pukara Hai! Sada Mukurao Tum Tumhara Har Gum Hamara Hai! Phool Khilte Rahe Jivan Mai Kaanto ke Liye Daman Hamara Hai!
   
Dil ko aadat ho gayee hai chot khane ki, Bhigi palkon ke sang muskurane ki, kaash anjam hum pehle jaan jate,to koshish bhi na karte Dil lagane ki...?
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah dono khamosh par baat karli… Mohabbat ki fiza ko jab khush paya, in aankhon ne roh roh ke barsaat kar li… .......
   

phir aaj itna suroor kaise?
yeh mujhe itna junoon kaise?
na teri aankhon k jaam piye, na tere honthon k pemane chhuye,
phir aaj itna suroor kaise? ye mujhe itna junoon kaise?

taqta raha bas tujhe taqta raha,
muh se kuchh n kuchh baqta raha,
shayad yehi ho mera kusoor jaise,
phir aaj itna suroor kaise? ye mujhe itna junoon kaise?

wo nazren jhuka k wo nazren uthana,
honthon ko apne danton tale dabana,
nahin ho khud me koi guroor jaise,
phir aaj itna suroor kaise? ye mujhe itna junoon kaise?

dekh kar tujhko main fida ho gaya,
jaise teri ankhon k samandar me kho gaya,
nasha chadh gaya tumhara mere huzoor jaise,
phir aaj itna suroor kaise? ye mujhe itna junoon kaise?

peene ka dil ab karta nahi hai,
dekh kar tumhen dil bharta nahi hain,
pyaas peene ki ho gai ho kafoor jaise, {gareeb}
phir aaj itna suroor kaise? ye mujhe itna junoon kaise?
Mohabbat ki shama jalake to dekho, Zara dil ki duniya saza kar to dekho, Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna, Zara humse nazrein milake to dekho....
   
Kali usey dekhe to jaal jaye, chand kahi nazar hi na aye, pyaar se bhi pyaari ai woh, labzo se bhi meethi... woh thodi sayani hai aur thodi masoom bhi... kehta hu main saach ek baat mano mera kehna... khwabo se bhi haseen hai meri bholi behna !!!
Zindagi ke tohfon ka sahil hai teri dosti,Dil ke armaano ki manzil hai teri dosti.Zindagi ban jayegi jannat agar sada saath rahegi teri dosti
   
Rath kya dhali sitarae chale gaye , gayrose kya kahe hum jub apnae hi chalae gaye , jeet tho sakte te hum bhi ishq ki baazi , par tumhae jetane ke liye hum harte chale gaye
Yaad aane wale yaad aae ja rahe hain,Mere khyalon ki duniya par chae jaa rahe hain.Hum kuch keh rahe hai par wo chup hai,Bas mera msg padh kar muskurae ja rahe hai..
   
tum kya karoge hum se sawal thumhare har sawal ka jawab rakhte hai tun karo na karo hun se mohabbat chahe lakin ye jamana janta hai hum tunse dil ka rishta rakhte hai
Hasino ne Hsi bankar Gunah kiya.... auro ko thik hame bhi tabah kiya.... pesh kiya jab gazalo mein unki bewafai koi , auro ne thik unhone ne bhi WAh Wah Kiya
   
Ajnabi galiyon se hum gujra nahi karte, dard-e-dil liya aur diya nahi karte, Ye dosti ka rishta sirf tum se hai, varna itne SMS hum kisiko kiya nahi karte
Aankhon Mein koi khawaab utarney nahin deta Woh shaks Mujhey chayn sey marney nahin deta Bichhray tou ajab Pyaar jataata hai khaton mein Mil jaaey tou phir Had sey guzarney nahin deta
   
Kash banane wale ne hame kitab banaya hota,
Aap padhte padhte so jate aur hame sine se lagaya hota... Aadab arz hai miya!!!
Khud ki Mohabbat tabah kaun karega.Sabhi nek benenge to gunah kaun karega.Ae khuda Sanam Bewafa ko bachaye rakhna warna hamari maut ki dua kaun karega...
   
Aankh wo chahat jis mein dil ki zubaan hoti hain, Sachi chahat to bejuban hoti hain, Pyar main dard mila To ghabrana kaisa, Dard se chahat aur jawaa hoti hai
Dono aankhon mein ashq diya karte hain,Hum apni neende tere naam kiya karte hain.Jab bhi palak jhapke tumhari samajh lena hum tumhe yaad kiya karte hain...
   
Gum ne hasne na diya,Zamaane ne rone na diya.Is uljhan ne chain se jine na diya,Thak ke jab sitaroon se panah li,neend aayi to teri yaad ne sone na diya...
Tamaam umar zindagi se door rahe,Apki khushi ke liye apni khushi se door rahe.Ab is se badkar wafa ki saja kya hogi,ki apke hokar bhi aapse door rahe...!!!
   
Humne chaha tha jinhe kisi zamane mein,woh aaj palat kar humse hamara naam poochte hain...Ek pal bhi hamari yaad na aai aur aaj haal-chaal poochte hain.
Hothon pe dosti ke fasane nahi aate,Sahil pe samandar ke khazane nahi aate,Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein,Fil laut kar college ke zamane nahi aate...!!
   
Hamare sabr ka imtihaan na lijiye,Hamari khamoshi ko saza na dijiye,Jo aapke bina jee na sake,Unhe jeene ki dua na dijiye......
khusiyon par fizao ka pehra hai na jaane kis ummeed par dil thehra hai teri aakho se chalkte hue gam ki kasam yeh dosti ka rishta pyaar se gehra hai
   
Aaj khushio ki koi duhai dega,Nikla hai chand to dikhai dega. Ae Mohabbat karne walo zara dekh ke Mohabbat karma ,Ek Aansoo bhi gira to sunai dega
Ruth gya hai mujhko manane waalaAb koi nahi naaz mera uthaane walaPer jaane kya sonchta hai Yeh khula darwaazaShayad rasta bhool gaya, aaane waaala
   
Nazarandaz kaise kare apko,Nazaron mein bithaya hai aapko.Yaad aane par roue bhi to kaise,Darte hain jhuki jo palkein to chubhengi aapko.
Ahsaan hai tera dil par , ke ishq toone sikhaaya, Doondha kayi baar dil ko , dariya -e- gum hi paaya Lutaaya kayi baar is dilko , humne teri khaatir, Rang teri wafa ka mere , ashko mein nazar aaya Hoti hai band saanse , na hoga shikva kisiko Samjhenge wo ke unko, koi khwaab bura aaya ..........
   
Ishq wale aankho se aankho ki baat samajh lete hain, Sapne mein mil jaaye to mulaqat samajh lete hain. Rota to aasman bhi hai apni dharti ke liye,Log uske ashkon ko barsaat samajh lete hain....
Seeing u smile is more than enough to pay for all the hardships & difficulties that I have to go through that day. Have a good smiley day!
   
Aankhen oonchi hui to dua ban gayi,Aankhen nichi hui to haya ban gayi.Jo jhuk kar uthi to khata ban gayi,aur uth kar jhuki to ADA ban gayi...
Humne chaha tha jinhe kisi zamane mein,woh aaj palat kar humse hamara naam poochte hain...Ek pal bhi hamari yaad na aai aur aaj haal-chaal poochte hain.
   
Pyar aankho se jataya to bura maan gaye,Haal-e-Dil humne sunaya to bura maan gaye,Woh to har roz rulaya karte they,Ek roz humne rulaya to bura maan gaye!!!

Mohabbat sabko mil jaaye jaruri to nahi.Woh bhi hame chahein jaruri to nahi.Kuch log bahut yaad aate hain dil ko,Hum bhi unki yaad ban jaaye jaruri to nahi....
   

Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai,Pyaas bujhti nahi barsat guzar jaati hai.Apni yadon se keh do is tarah naa aaya kare,Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai...

Kaun jaane kab maut ka paigam aa jaye, zindagi ki aakhari shaam aa jaye. Hum toh dhundten hai waqt aisa, jab hamari zindagi apke kaam aa jaye: )
   

Kitni parwa karte hain hum unki, kaash unhe bhi yeh ehsaas ho jaye, kahin aisa na ho woh hosh main aayein, jab hum gehri neend main soh jaayein…
Waqt ke iss mod pe yeh kaise waqt aaya hai, zakham iss dil ka zubaan pe aaya hain, nahi rote thae hum kaaton ki chubhan se, aaj phulo ki chubhan ne humko rulayaa hai…
   
Kyo banate hai hum aise rishte, joh pal doh pal me tut jate hai. Wada toh akrte hai umer bhar saath nibhane ka, per chote se tufan me hi bikhar jate hain…

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain Yeh to unke bachche hee kaminey hain, Jo Mama Mama kehke bulaate hain
   

Ehsaas bohut hoga jab chod ke jayege Royenge bohut magar aasu nahi aayenge, Jab saath na de koi toh awaaz humein dena Aasmaan per bhi honge toh laut aayenge.

teri har berukhi ko bhi rutba diya humne..... mohabbat ka har karz ada kiya humne..... mat soch humne tujhe bhula diya.... khuda se pehle tera hi sajda kiya humne .......
   

"Dosti ka paigam jo aapka mila, Dil ho gaya khush mit gaye saare gila, Kisi Dost ko nahi mila hoga, Dosti ka aisa sila, Ki Saare Ghum Hogaye dooor mere, Jab doston ke pyaar ka nazraana mila"

gujarte hai meri saaso me tera naam aaj bhi, dhalti hai tere intezar me meri shaam aaj bhi, tujko mujh se bichde zamana ho gaya, magar hoti hai tere naam se meri pahchan aaj bhi
   

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain Yeh to unke bachche hee kaminey hain, Jo Mama Mama kehke bulaate hain

Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai Bandar jab koi aas-paas hota hai..
   

Mohabbat ke Diye jalakar to dekho Jara dilki duniya sajakar to dekho Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna Zara hamse Najre milakar to dekho

Bhunwer ki gaud may jaisay kinara saath rehta hai kuch aisay hi tumhara aur hamara saath rehta hai mohabbat ho kah nafrat ho usi say mushwara ho ga meri her kaifiat may istikhara saath rehta hai safer may an mumkin hai mai khud ko chhore doon lakin
   

gujarte hai meri saaso me tera naam aaj bhi, dhalti hai tere intezar me meri shaam aaj bhi, tujko mujh se bichde zamana ho gaya, magar hoti hai tere naam se meri pahchan aaj bhi

If friends were flowers surely I would not pick you! I'd let you grow in the garden and cultivate you with love and care so I can keep you forever
   

Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai Bandar jab koi aas-paas hota hai..

nazar andaaz kaise kaen apko palko pe bithaye hain appko yaad aayegi to royenge hum magar hum nahi royenge kyunki palkien chubengi appko
   

: Pee hai sharab har gali har mehkhane se,ek dosti si ho gai hai sharab ke jam se,gujre hai hum kuch aise mukam se ki nafarat si ho gai mohabbat ke naam se.
Sehmi si nigaho me khawab hum jaga denge, suni si raho me phool hum bicha denge, hamare sang muskura kar toh dekhiye, hum aapka har gham bhula denge…
   
Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi jo lehron sai mit jati hai, Main baarish ki barasati boond nahi jo baras kar tham jati hai, Main khwab nahi jisai dekha aur bhula diya, Main shama nahi jisai phoonka aur bujha diya, Main chand b nahi jo raat k baad dhal jaya, Main to woh ahsaas hoon jo tujh main lahoo ban kar gardish karain, Main to woh rang hoon jo teray dil pay charay to kabhi na mitay, Khwab, ibaarat, Hawa ki tarah Chand, Boond, shama ki tarah Meray mitnai ka sawaal nahi kyun ka main to MOHABBAT HOON AUR MOHABBAT KO KOI ZAWAAL NAHI!!!!!!!!!
Pyaar aankhon se jataya to bura maan gaye.Haal-e-Dil humne sunaya to bura maan gaye,Woh to har roz rulaya karte thei.Ek roz humne rulaya to bura maan gaye....
   
pyar me aakhe zuban hoti hai sachii baat to bezuban rehti hai pyar mein dard mile to kaisa ghabrana suna hai dard se pyar jawan hoti hai aapke dilmein kya hai bata dijiye yu khamosh rehkar na satiye
Lamhe yeh sunhare, kal saath ho na ho,kal me aaj jaisi baat ho na ho,yadon ke haseen lamhe dil me rahenge,tamam umar chahe mulaqat ho na ho..
   
Chale gaye ho door kuch pal ke liye ,door reh kar bhi kareeb ho har pal ke liye,kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye,jab dil mein ho har pal ke liye....
Har lafz ko kagaj pe utara nahi jaata,Har naam ko sar-e-aam pukaara nahi jaata.Hoti hai pyar mein kuch raaz ki baatein,Yunhi to is khel mein harra nahi jaata....
   
Phoolon mein haseen Gulab hai,Husan ke saath zaruri sharab hai,Duniya mein har sawal ka jawab hai,Agar koi tumse mere baare mein poochhe to kehna wo lajwab hai...
Ek pathhar kafi hao sisha tod ne ke liye,ek baat kaafi hai dil todne ke liye aur ek dost kaafi hai zindagi jee lene ke liye good morning..
   
raate gumnaam hoti hai, din kisi ke naam hota hai hum zindagi kuch is tarah jeete hain ki har lamha sirf doston ke hi naaam hota hai
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata
   
Pata hi nahi chala kab woh dost se hamara pyar ban gaye Saath gujare hua kuch pal aaj yaadgar ban gaye Kar na sake unse izhaar hum is baat ka Aur dekhte hi dekhte woh kisi aur ke dildar ban gaye
pyar ki rahon main koi haar kar bhi jeet jata hai oer koi jeet kar bhi haar jata hai jamana bhale hi tumhe lakh bura khae naa jane hume phir bhi kun thmhe par pyaar ata hai
   
sari duniya thai mere janaje ke piche, ek wo hi nahi thai mere janaje ke piche, ho bhi to kese ho mere janaje ke piche, uska janaja tha mere janaje ke piche.
Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain.Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain.Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain,Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain...
   
Maut pe hume yakin hai,Unpe bhi hume aitbar hai. Ab dekhna hai ki kaun aata hai pahle,Humein to dono ka intezaar hai...
Ghunghat nein tujhe dekha to deewana hua.Sangeet ka tarana hua,Shamaa ka parwana hua,Masti ka Mastana hua,Jaise hi ghunghat uthaya is duniya se ravaana hua...
   
Tumhara Name Likhnay Ki Ejazat chin Gai jab se ...Koi Bhi lafz Likhta ho Ankhen Bheg Jati hain Happy Birth Day Pinkay May I god Pray So Fulfil yours All Dreams Whises Deep
Hansi bhi mili aur khushi bhi mili, Socha bahut khusnaseeb hai hum. Magar jab apne pyare dost ko 1 muskurahat nahi de sake tab pata chala kitne GARIB hai hum...
   
diya hai tune jo jakhm, wo waqt ke saath mit jaayega, na mitega to bas jakhm ka nishan khush hai hum k woh nishan bhi tumhaari yaad laayega....
Kal raat phir ashkon ki barsat hui, barse aaise mano puri unki muddaton ki pyas hui, dekhkar unko pathar bhi pighal jaata, par isliye duniya dil ki viraan hui, jeete ji tanha tanhaiyon k beech aaise jaise sansen hi sanson pe ehsan hui, jab tutegee sanson ki dore ek din, tab lagega hum par bhi shayad zindagi meharban hui…
   
Aankhon ko tanha chodkar woh jaise hi gire gaalo par, toh kuch bewafa labo ke ho gaye galo ko chodkar. Chupaakar rakha jise duniya ki nigaahon se, hamare haste hi kambakht, chalak pade inn palkon ki kataaron se…
Chaahne se koi chiz apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehana toh chahte hai bahut kuch, magar kabhi waqt toh kabhi jubaan saath nahi hoti…
   
Tum ho gham ko chupaye, mai hu sarr ko jhukaye, tum bhi chupp ho, mai bhi chupp hu, Kaun kiss se samjhaye, Ab duniya itni hai toh milna yaha kal ho na ho…
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:38:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer