shayari

by chahat on October 31, 2006, 05:41:42 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Author  (Read 11286 times)
chahat
Guest
«Reply #30 on: November 30, 2006, 04:49:00 AM »
Ulfat mein kabhi yeh hal hota hai
Ankhen hasti hai magar dil rota hai
Mante hai jise hum manzil apni,
Humsafar uska koi aur hota hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
shayari ( SMS ) by zindagi_kal_ho_na_ho in SMS , mobile & JOKES
shayari.... by amritflora in Shayri-E-Dard
SMS Shayari by shieldwolf in SMS , mobile & JOKES
Aye Shayari..... by Ghayal in Shayri-E-Dard
New Shayari .... by saadusmani4u in SMS , mobile & JOKES
_Vicky_
Guest
«Reply #31 on: November 30, 2006, 05:07:50 AM »
wah wah! CHAHAT JI.. bahut khoob..
har ek kalaam khubsoorat likha hai aapne...!!! Usual Smile
Logged
chahat
Guest
«Reply #32 on: December 01, 2006, 05:15:18 AM »
Har kise ko nahi milata
yahaa pyaar jindage mein
khushanasib hain wo..... jinako hain mile
ye bahaar jindage mein

hothhon se honthh mile naa bhale
chaahe mile naa baahen baahon se
do dil jindaa rah sakate hai
chaahat kee bharee nigaahon se

julfon ke narma andheren hai
jismon ke garma ujaale hai
jeete jee jinko ko pyaar mila
Wo log bhi kismatawaale hai
Logged
chahat
Guest
«Reply #33 on: December 04, 2006, 10:21:33 AM »
koi aankhon aankhon main iqraar kar leta hai,
koi baaton baaton main mulaqaat kar leta hai,
bada mushkil hota hai jawaab dena,
jab koi khaamosh reh kar sawaal kar leta hai.
Logged
chahat
Guest
«Reply #34 on: December 04, 2006, 10:23:00 AM »
koi aankhon aankhon main iqraar kar leta hai,
koi baaton baaton main mulaqaat kar leta hai,
bada mushkil hota hai jawaab dena,
jab koi khaamosh reh kar sawaal kar leta hai.
Logged
chahat
Guest
«Reply #35 on: December 06, 2006, 05:01:37 AM »
Dard ka ehsaas janna hai to pyar kar ke dekho ,
Apni aaknon mein kisi ko utar kar dekho,
Chot unko lagegi aansoo tumhe aa jayegen,
Yeh ehsaas jan-na ho to dil haar kar dekho
Logged
chahat
Guest
«Reply #36 on: December 07, 2006, 05:53:54 AM »
Kabhi tumne ye socha hay
Kabhi tumne ye dekha hay
K lafzon main
K lafzon se tasaadum kaise hota hay
Tabaahi kaise aati hay
Wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain
Dilon main rabt rakhtay hain
Or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den
Wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain
Wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain
Bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay
Behnen bayn karti hain
Pahaarron se jawaan bhai
Unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain
To maayn aasmaan sar pe utthaati hain
Yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain
Farishte kaanp jaatay hain
Yahi alfaaz phir allah ki rehmat main ddhalte hain
Hamaaray din badalte hain
To phir ye sochna hoga
To phir ye dekhna hoga
K ye alfaaz khud qaatil nahi hotay
K ye alfaaz khud andhay nahi hotay
Ye alfaaz khud zaalim nahi hotay
Magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain
Magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain
Baseerat se
Diyaanat se
Sadaaqat se
Muhabbat se
Ta'alluq torr lete hain
Logged
chahat
Guest
«Reply #37 on: December 08, 2006, 05:16:33 AM »
palbhar mein tut jaye who kassam nahi,
dosti mein bhool jaye woh hum nahi,
tum bewafa bano is baat mein dum nahi,
kyuki hamari wafa bhi kuch kum nahi

sapno ki tarah aah kar chale gaye ,
apno ko bhulakar chale gaye,
kis baat ki sazza di aapne hume,
pehle hassaya phir rulakar chale gaye!

Zahar deta hai mujhe koi dava deta hai
Jo bhi milta hai mere gam ko badha deta hai.
Logged
chahat
Guest
«Reply #38 on: December 10, 2006, 05:20:04 AM »
Zara si Baat per her Rasam tor aayaa tha
Dil-e-Tabaah ne b kyaa Mijaaz paya tha

Maaf karna saki Meri Zindagi Mujh ko
Wo ek lamha, k mai Tujh se Tang aaya tha

Shagufta Phool Simat ker Kali bane jese
Kuch is tarah se Tum ne Badan churaaya tha

Guzar gaya hai koi Lamha-e-Sharar ki tarah
Abhi to mai use Pehachaan b na payaa tha

Pata nahi k Mere baad un per kyaa guzri
Mai chand Khuwaab Zamaane mai chor aaya tha
Logged
chahat
Guest
«Reply #39 on: December 10, 2006, 05:22:10 AM »
Zara si Baat per her Rasam tor aayaa tha
Dil-e-Tabaah ne b kyaa Mijaaz paya tha

Maaf karna saki Meri Zindagi Mujh ko
Wo ek lamha, k mai Tujh se Tang aaya tha

Shagufta Phool Simat ker Kali bane jese
Kuch is tarah se Tum ne Badan churaaya tha

Guzar gaya hai koi Lamha-e-Sharar ki tarah
Abhi to mai use Pehachaan b na payaa tha

Pata nahi k Mere baad un per kyaa guzri
Mai chand Khuwaab Zamaane mai chor aaya tha
Logged
chahat
Guest
«Reply #40 on: December 11, 2006, 07:17:11 AM »
Tere DIL mein rahenge SMS bankar,
Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,
Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,
Hum tere saath chalenge NETWORK bankar!
Logged
chahat
Guest
«Reply #41 on: December 13, 2006, 08:13:29 AM »
Sapno ki tarah aah kar chale gaye ,
Apno ko bhulakar chale gaye,
Kis baat ki sazza di aapne hume,
Pehle hassaya phir rulakar chale gaye!
Logged
chahat
Guest
«Reply #42 on: December 15, 2006, 05:26:25 AM »
Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge
Logged
chahat
Guest
«Reply #43 on: December 17, 2006, 05:10:36 AM »
Dil se dil lagakar dekh,
Meri yaad me ansu bahakar dekh,
SMS kya CALL bhi karenge,
Ek baar mere mobile ka bill Chuka kar dekh.
Logged
chahat
Guest
«Reply #44 on: December 18, 2006, 05:08:19 AM »
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:07:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer