aziz ^*<* songs....................

by aziz_khan on February 23, 2005, 06:19:40 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1262 times)
aziz_khan
Guest
Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Tum the ke thi koyi ujli kiran Tum the ya koyi kali muskaayi thi Tum the ya tha sapnon ka tha saawan Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi Tum the ke tha koyi phool khila Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aa... aa... aa... Tum the aa khushboo hawaaon mein thi Tum the ya rang saari dishaaon mein the Tum the ya roshni raahon mein thi Tum the ya geet goonje fizaaon mein the Tum the mile ya mili thi manzilein Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama Do pal ruka, khwaabon ka kaarvaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan





Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye Tere liye, tere liye Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye Tere liye, tere liye Aa...... Zindagi, le ke aayi hai, beete dinon ki kitaab -2 Ghere hain, ab hamein, yaadein be-hisaab Bin poochhe, mile mujhe, kitne saare jawaab Chaaha tha kya, paaya hai kya, hamne dekhiye Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye Tere liye, tere liye Kya kahoon, duniya ne kiya, mujh se kaisa bair -2 Hukam tha, main jiyun, lekin tere baghair Naadaan hai woh, kehte hain jo, mere liye tum ho ghair Kitne sitam, hampe sanam, logon ne kiye Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye Tere liye, tere liye Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye Tere liye, tere liye






Huh.. ab jacket pehno, bike nikaalo, Goa jaao Bedroom ka paisa, raaste mein naachta, dimaag ka bheja banaaye Na raaste ka bharosa, na mausam ka bharosa, kaun bharega paisa? Kaun khaayega goli? Main? Nahin nahin umm..hmm..umm..hmm.. Apna bas ek usool, saare jahaan qubool hai -2 Jaan jaaye toh jaan jaaye, par mera maal na jaaye Maal jaaye toh kissi na kissi ki, jaan jaaye Koyi rehmat maange, koyi maulat maange -2 Apun ka ek hi jawaab hai yaar Tez dhaar…umm hmm tez dhaar hmm..tez dhaar, bas tez dhaar Kitna samjhaaya hero ko Is desh mein har hindustaani ka favourite time pass hai gaana aur bajaana Aur naahin toh gaane ke liye rukega na bajaane ke liye letega Lekin woh saala, ruk gaya aur billo ka dil, tok gaya Mauka chunega kahaan chunega woh, mauka chunega kahaan chunega Aisi koyi jageh nahin jaha bachega, mauka chunega, mauka chunega Haddon ki kya hai kimmat, kimmat toh bas, jaan ki hai, jaan ki hai Muntazir ki kimmat, ha ha bas, jaan hi hai Umm hmm hmm seena zori chori haraam khori Apna toh ek hi jawaab hai yaar Tez dhaar…umm hmm tez dhaar hmm..tez dhaar bas tez dhaar Jaan bach gayi toh neend chali jaayegi Neend kabhi aa bhi gayi toh cheekta huwa, darrta huwa Kaampta huwa jaagega tu! mauka Tez dhaar…hmm tez dhaar Mauka chunega kahaan chunega woh, mauka chunega kahaan chunega Aisi koyi jageh nahin jaha bachega, mauka chunega, mauka chunega Abbe saale, taqdeer teri jhukti pehle, maut tere sar pe hai Lekin baatein aisi karta hai, jaise zindagi tere bistar pe hai Mauka chunega kahaan chunega woh, mauka chunega kahaan chunega Aisi koyi jageh nahin jaha bachega, mauka chunega, mauka chunega Umm…zindagi… aur mauke ke peechhe, aur ye tez, tez dhaar Umm hmm hmm seena zori chori haraam khori Apna toh ek hi jawaab hai yaar Tez dhaar tez dhaar umm tez dhaar tez dhaar…tez dhaar tez dhaar… Mauka chunega kahaan chunega woh, mauka chunega kahaan chunega Aisi koyi jageh nahin jaha bachega, mauka chunega, mauka chunega Kya karta boss? Public ki demand thi, toh Billa ko aana hi pada Kahaani khatam hone ko aayi, aur saala action shuru hi nahin huwa Ha! Ab main aa gaya hoon na Ab dikha doon tamaasha, dikha doon tere ko be pasha samjha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
]|I{•------» Âzïz «------•}I| by aziz_khan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
aziz...(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Har sitam un ka hai ja say bhi aziz by sushilbansal in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek tu jo dilke aziz he, by jyuthika in Share:Love Poetry
Aziz Dost... ...Saavan by Saavan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
aziz_khan
Guest
«Reply #1 on: February 23, 2005, 06:20:22 PM »
wahhhh wahhhhhhhh wahhhhhhhh wahhhh wahhhhhh wahhhhhhhh wahhhhhhhhh
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #2 on: February 26, 2005, 01:30:41 PM »
yeh kya haal bana rakha hai?? kuch lete kyun nahi?
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:13:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer